Sei sulla pagina 1di 2

Allah kahan hai?

Yeh sawal jaise kisi se kiya jaaye to aam awaam yeh kehti
hai Allaah hamaarey dil mein hai. To kuch log kehte hai
Allaah har jagah maujud hai.

Pehli baat jo kehte hai Allaah hamaarey dil mein hai to wo


jaan le Allaah khud hamaarey dil mein nahin basta.
Hamaarey dil mein Allaah ki muhabbat Allaah ki khauf Allaah
se ummeedein basi hoti hai na ke khud Allaah.

Jo kehte hai Allaah har jagah hai to kya gandagi mein bhi
hai? Nauzubillah. Yeh to Kuffar wala aqeedah ho gaya har
kankar mein shankar.

Darasal Allaah apne makhlooq se alag aur makhlooq se upar


yani aasmaan ke upar Arsh par mustawi hai.

Dekhye Quran Surah Araaf: Ayat 54, Surah Taha : Ayat 5,


Surah Sajdah : Ayat 4-6, Surah Aal e Imran Ayat 3:55, Surah
Anaam : Ayat 18, Surah An-nahl : Ayat 50, Surah Faatir :
Ayat 10, Surah Mulk : Ayat 16-17, Surah Haa Meem Sajdah :
Ayat 11, Surah Mominun : Ayat 36-37, Surah Al-Maarij : Ayat
3-4, Surah Kahaf : Ayat 1.

Inn Ayato ko tarjuma saath parhye aur ghaur o fikr karye.

Iske baad Sahih Muslim Kitab ul Masaajid Hadees No. 1199


mein ek hadees hai jis mein Rasoollullah sallahu alayhi
wasallam ek ghulam ladki se puchte hai Allaah kahan hai to
wo jawab deti hai Aasman se upar. Phir Rasooullah puchte
hai main kaun hoon to wo jawab deti hai aap Allaah ke

Rasool hai. Yeh jawab sunkar Rasoolullah uss ladki ko


momina bataatey hai.

Yani ke Allaah ko aasman ke upar maanna darasal eeman ka


masla hai

Potrebbero piacerti anche