Sei sulla pagina 1di 1

Zulf raton si hai rangat hai ujalon jaisi par tabiat wohi hai bhoolnay walon jaisi Ik zamanay

ki rifaqat pe bhi ram-khurda hai us kam aamaiz ki khu bu hai ghazalon jaisi Dhoondta phirta hoon logon mein shabahat uski ke woh khwabon mein bhi lagti hai khayalon jaisi Kis dil azaar musafat se mein lauta hoon ke hai aansu-on mein bhi tapak paoon ke chalon jaisi Uski batein bhi dil awaiz hain soorat ki tarah meri sochain bhi pareeshan mere balon jaisi Uski ankhon ko kabhi ghaur se daikha hai Faraz sonay walon ki tarah jagnay walon jaisi

Potrebbero piacerti anche