Sei sulla pagina 1di 4

Hari Om,

Narayan Narayan, Narayan Narayan...

Param Pujya SadGurudev ke Amdavad mein huey Ekaant vaas Satsang ke


kuch Amrit Bindu aapke samaksh rakhne ka prayaas kar raha hoon. Aaj
(22nd Jun'08) ke Sadhna-Special Satsang mein Pujya Gurudev ne
Vishraanti Yog ki kunji paane ka tareeka bataaya aur Bhagvaan ki
sharan kaise jaayein yeh bhi bataaya; Param Pujya SadGurudev ne kaha -

"...Parmaatma ki srishti mein kuch bhi anuchit nahin hai; jo hua achha
hua, jo ho raha hai, achha hai, jo hoga woh bhi achha hi hoga; kyonki
srishti ka niyaamak Param suhrid, Param samarth, aur sabka hitkaari
hai;

....Hey Prabhu daya kar! Main tumhaara hoon! teri Preeti de, teri
Smriti de, tera Gyaan de - itna to hum bol saktey hain aur vey khush
hongey; aisa karke unka palla pakdo; Parmaatma ki god mein chaley
jaao;

...Koi bhi paristhiti aayegi, main fariyaad nahin karunga, sam rahunga
- yeh vrat le lo; arey tumhaara to mangal hoga, tumhaara darshan karne
waley ka bhi mangal ho jaayega;"

For more, pls read below -

--------------------------------------------------------------------------------\
-----------------------

1. Vishraanti yog sabke liye bahut upyogi hai, sheghra Pramaatma se


milaane wala hai; (Bhagvan-naam uchharan karke shaant baithna - isko
Vishraanti yog kehte hain)

2. Sumiran Bhagvaan ka hota hai, aur preeti-poorvak hona chahiye.

3. Raat ko soney se pehle aisa chintan karein -

Main Parmaatm-shaanti mein jaa raha hoon; main Bhagvaan ki sharan hoon
aur Bhagvan ke vishraanti yog mein jaa raha hoon; shvaas andar aaye
Om, baahar jaaye to ginti, is prakaar shvasoshvas ki ginti karte karte
so jaayein;

Mala shvasoshvaas ki, jagat bhagat ke beech,


Jo phere so Gur-mukhi, na fere so neech;

Bahut jaldi aap dharmaatma ban jaayeingey; mahaan aatma ban jaayengey;
bhaley kaam karne se aadmi bhala nahin hota; buraai chhodney se aadmi
bhala hota hai; aur buraai tab chhut-ti hai, jab Bhagvaan ki preeti
hoti hai, aur Bhagvad ras milta hai;

Andar ka ras nahin hota to aadmi vikaaron mein girta hai; baahar ka
ras bhar bhar ke veeras ho jaata hai;

4. Raat ko soney se pehle haath-pair dho lene chahiye; lekin giley


pair, geley kapdey sona nahin chahiye;

5. Bhagvadaakar vritti ho aur preeti ho, to tumhaari buddhi vishraanti


yog mein chali jaayegi;

6. Raat ko soney se pehle 10 min Hari Om ka gunjan karein; 8 minute hi


karo; Gau-chandan dhoop batti ko ghee mein dubokar dhoop karein; is
prakaar raatri ko soney se pehle shaktishaali bhojan karein; Gunjan ke
waqt aankh ki putli upar-neechey, daaye-baaye na jaaye;

Hriday ke andar chhupi hui shaktiyan viksit hongi; thodey hi din mein
aapko vishraanti yog ki kunji mil jaayegi;

7. Phir, Subah neend mein se uthhkar thoda chup baithhein; jaise


bachha maa ke god mein nishchint baithta hai, aisa hi neend mein se
uthkar thodi der chup baithein; (nisankalp avastha hoti hai subah
neend se uthtey hi; iska hum log faayda lein, vishraanti paayein;)

8. Vishraanti yog mein sabka adhikaar hai; is se aapke nirnaye achhey


hongey, mitron ke bhaav achhey hongey, sankalp achhey hongey;

9. Jaise mithhai ke zarre-zarre mein shakkar vyapt hai, aise hi,


zarre-zarre mein Parmeshvar vyaapt hain; vey Sat, Chit, Anand svaroop
hain; aakritiyaan ban ban ke nasht ho jaati hain, phir bhi jo nahin
badalta, woh Parmaatma hamaare hain;

Vaastav mein hum Parmaatma ke hain aur Parmaatma hamaare hain; Vaastav
mein hum vyaapak Brahm Parmaatma mein hain aur Parmaatma hum mein hain
- is Satya se hum door ho gaye;

10. Pujya Gurudev ne bataaya ki Delhi mein unse kisi ne kaha ki news
channel wale khabar dikha rahe hain ki 2012 mein pralaye ho jaayega;
to unhone Delhi ke Satsang mein kaha thha - 4 prakaar ke parlaye hotey
hain:

a. Nitya Parlaye - roj nidra mein jaate hain sab kuch chhod kar, bhool
kar; isey nitya pralaye kehte hain;

b. Naimittik Parlaye - jaise Bhopal gas kaand, aadi;

c. Aatyaantik Parlaye - 12 Suraj taptey hain, prithvi par sab kuch


parlaye ho jaata hai; lekin Brahmaji, Vishnu ji ke lok is ke baad bhi
rehte hain;

d. Maha Parlaye - Brahma ji, Vishnu ji bhi Brahm Parmaatma mein laye
ho jaatey hain;

11. Bhavishya ka bhaye na karo, bhoot kaal ki baat yaad kar kar ke
dukhi na ho; aur vartmaan mein vikaaron mein samay barbaad nahin karna
chahiye;

12. Jitni tadap jaada, utna jaldi woh Parmaatm-prasad pragat hoga; aur
"prasaadey sarv-dukhaanaam haanirasyopjaayte" - Bhagvad prasad se sab
dukhon ka ant ho jaata hain;

13. Parikshit Raja ne Shukdev ji se prashn kiye -

a. Manushya ko apne jeevan kaal mein kya karna chahiye?


b. Mrityu nikat ho, to kya karna chahiye?

Shukdev ji prasann huey aur boley ki hey Rajan! yeh tumne


lok-maangalya ka prashn poocha hai; Manushya ko jeevan kaal mein
Bhagvaan ke vishay mein Gyaan pa lena chahiye; Vey dur nahin hain,
paraaye nahin hain, durlabh bhi nahin hain, hamaare param hiteshi
hain;

"Aur Bhagvaan ko hamaari padi hai" - agar padi na hoti, to hum yahan
baith nahin saktey; unko hamari padi hai, isiliye hum Satsang mein
jaane ki prerna karte hain, der saver hamaare hridaye mein pragat hona
chahtey hain, hongey;

14. Hey Bhagvaan! hum tumhaare hain - yeh suntey hi Bhagvaan aanandit
ho jaatey hain; hamaari buddhi aapko nahin jaan sakti prabhu; hum to
ek machhar ko bhi theek se nahin jaan saktey (to aap ko kaise
jaanengey);

Hey Sarv-Lok-Maheshwar! Hum jaise taise hain, tumhaare hain;

Hey Prabhu daya kar! Main tumhaara hoon! teri Preeti de, teri Smriti
de, tera Gyaan de - itna to hum bol saktey hain aur vey khush hongey;
aisa karke unka palla pakdo; Parmaatma ki god mein chaley jaao;

Bhagvaan ki sharan aa jaao; sharan matlab moorti ke pair nahin


pakadney hain; preeti karte jaao, shaant ho jaao - ho gayee sharan;

15. Upnishad mein aata hai -

- Upaasna se mann ki shuddhi hoti hai;


- Dhyan se buddhi mein vishraanti aur divya yogyta viksit hoti hai;

16. Bhagvaan ki keerti ka shravan karo; Bhagvan ke svaroop ka Gyan


honey ke liye "Narayan Stuti" pustak padhein; jinko paana hai, unka
Gyan to hona chahiye na?

17. Pujya Gurudev ne kaha ki jagat ke svabhaav ka gyan ho jaaye to us


se upraam huey bina hum nahin rahengey; sansar ka svabhaav kya hai?

a. Sansaar bahar se jitna badhiya dikhta hai, utna hi khatarnaak


dukh-daayi hai; baahar se sansaar sukh dene wala lagta hai, lekin
dukhaalaye hai;

Shatru saamne se tapaata hai, to mitr roothh kar, bimaar hokar tapaata hai;

b. Sansaar parivartan-sheel hai; shareer, jagat, sambandhi ek jaise


nahin rehtey; jo rakhne ka duraagrah karta hai, woh dukhi hota hai;

18. Pujya Gurudev ne is prakar ke vrat lene ko kaha -

- Maha-manasyaat: badey mann waley bano;


- Lokaan na nindet: logon ki ninda na karo;
- Ritum na nindet: hai! garmi ho gayi, sardi ho gayi, ninda na karein;
- Pashum na nindet: pashu ki ninda na karo;
- Pakshim na nindet: pakshi ki ninda na karo;
- Madyapaan (sharaab) na karein;
- Maansahaar na karein;
- Bhagvaan mere, main Bhagvaan ka;

- Koi bhi paristhiti aayegi, main fariyaad nahin karunga, sam rahunga
- yeh vrat le lo; arey tumhaara to mangal hoga, tumhaara darshan karne
waley ka bhi mangal ho jaayega;

19. Bhagvaan mein preeti, dhyan, vishraanti; Bhagvaan ka ras paana


seekho, to kaam aadi rason mein jo barbaadi hoti hai us se bach
jaaogey; itni baat jaan lo, to dukh tikega nahin aur sukh mitega
nahin;

20. Parmaatma ki srishti mein kuch bhi anuchit nahin hai; jo hua achha
hua, jo ho raha hai, achha hai, jo hoga woh bhi achha hi hoga; kyonki
srishti ka niyaamak Param suhrid, Param samarth, aur sabka hitkaari
hai;
21. "Moorkhaanam dukham aushadham", danda aushdham; Bhagvaan humein
sneh se unnat karne mein ruchi rakhte hain; dandey wali neeti vey
jaldi nahin apnaatey;

22. Bhagvaan ko apna maanein, unse preeti karein, vishraanti paayein


aur Bhagvaan ki prasannta ke liye logon se vyavhaar karein;

23. Yeh shrikhand khaani ki season nahin hai; garmiyon mein jaada
lassi bhi nahin peeni chahiye; jinke kandhey dugtey hain, vey
koshthh-shuddhi ki goli le lein;

24. Bhagvaan ka Gyaan ho jaaye, to hum rasmaye huey bina nahin


rahengey; Uma Raam subhaau je hi jaana, ta hi bhajan taji bhaav na
aana..

25. Jitna jagat se sukhi honey mein lagta hai, utna tanaav badhta hai;
jaise naukar se 24 ghantey kaam karao, to vo paagal ho jaayega; aise
hi mann ko ras milna chahiye asli; mann, budhhi ko Bhagvad ras,
shaanti, gyaan do;

26. Aap to har paristhiti ka sadupyog kariye; hum Bhagvaan ki kripa ko


dekhein, fariyaad na karein; Bhagvaan ki kripa ki prateeksha nahin,
sameeksha karein;

27. Hari Om gunjan thoda ekaagr honey ke liye karo; phir chhod do apne
ko uski shaanti mein; karta ban ke nahin karo;

Apne bal se Ishwar ko nahin paana hai, unki kripa se; aur
prayatn-sheel par hi kripa hogi, isliye prayatn chhodo nahin; So jaane
jasu dev janaahi..

28. Kaliyug keval naam aadhaara, japat nar utrahi sindhu paara...

Potrebbero piacerti anche