Sei sulla pagina 1di 7

my poem is only this

HE is there
on the other side
and I wander
forget path
then find
get bitten by sakes
every creature
trying to be obstacle
hurt me
and blood is coming out
of my eyes
my body
hands and feet
i hv blisters
but i see
at the other end
HE is there
i seek
and seek
and then i see light
the light
illuminates
shows me the way
in this light
nothing comes or dares
to be near
with the light i hear
soft music
it soothes my pains away
and i walk
this time
without fear
go near
and near
and near
at the other end
my beloved is there
iss ko theek krna
whn u hv time
Assalamu’alaikum wrh wbkt, oh Seekers.

You have not arrived at this portal, by accident. Nothing in this Universe happens without
a reason. Nothing happens without infinite wisdoms hidden within it, even if it is a trivial
occurence. Even the creation of a humble leech brings so much benefit to Man.

You are here, because it has been written that you would be guided to this portal. It has
been Divinely ordained, since the Day of Promises, long before you were despatched to
this earthly realm, that you would be guided by His hand, to the Door that leads to eternal
Bliss.

Each one of you took a different journey to get here, ‘for the Ways to Allah are more
varied that the breaths of Man’, and now you stand at the threshold of self discovery and
self realization.
MY ANSWER TO YOU

As you know well, I m not an Aalim but a person who has been at the threshold of the
Awliyas. Unki jootiyo(n) kay sadqay may kuch baat karna chaahunga.

The crux(nichod) of the Qur'aan is Surat Al Faatiha. In this Surat al Faatiha you Praise
Allah and you make dua.Here it is very important to note that in every Namaaz, you have
to pray Surat Al Faatiha.(Agar hum Namaaz padhtay hai to hum samajhtay hai ke hum
seedhay raastay per hai. Sahi hai naa???) But in every Namaaz , Allah wants you to read
Surat Al Faatiha and without this your Namaaz is not complete. Right??? Iska Matlab ye
huwa kay Aap Seedhay Raastay par already hai (kyu ke aap Namaaz padh rahay hai)
lekin is seedhay raastay par hotay huway bhi Allah aapsay Surat Al Faatiha may seedhay
raastay ki Iltejaa kar mujh kah rahaa hai (ihdinas Siraatal Mustaqeem). Iska matlab ye
huwaa ke Namaaz kay alaawaa ek aur seedha raasta hai , jo bohat important hai aur Allah
aap say is raastay ki talab kar, mujh say baar baar request kar, kah rahaa hai, wo bhi har
rak'at may. Sahi hai???

Ab wo raasta kaunsa hai ? Allah khud hi kah rahaa hai -(Siraatal Lazeena An amtaa
Aleihim) Wo seedha raasta jis par meray inaamiyaaftaab banday chaltay hai.Ye banday
kaun hai? ye hai Momineen , Siddiqeen aur Saaliheen, jinkay liye Allah Qur'aan may
kahtaa hai - (Alaa inaa Awliyaa Allahi Laa Khaufun aleihim walaahum yah zanoon).Be
careful ye meray dost hai inko koee baat ka khauf hai na ranj hai.

Ab yahaa(n) humko is baat ka pataa chalta hai ke Allah aap say ek aysay seedhay raastay
ki baat kah rahaa hai jo uskay dosto(n) ka hai jispay wo chaltay hai.Aur ye dua aapsay
Allah Namaaz ki har Rak'at may karwaa rahaa hai. Aur is dua ki ahmiyat aapko bataanay
kay liye kah rahaa hai ke agar tum Surat Al Faatiha Namaaz may nahi padhayngay to
tumhaari Namaaz nahi hongi. Is liye hum par farz bantaa hai ke hum ye jaanay ke ye
Awliya ka kaunsa raasta hai.

Ab jab hum tahqeeq kartay to pataa chaltaa hai kay jitnay bhi Awliya hai wo subho nay
bayat lee hai. Ab bayat ki tahqeeq may jaaye to hum ko pataa chaltaa hai ke - bayat
laynay kay ba'ad aap ko Fanaa Fil Shaykh hona padhtaa hai phir aapka Shaykh Aapko
Rasool Allah Sallallahu Aleihi wa Sallam kay Maqaam par pahunchaata hai jahaa(n) aap
say Rasool Allah Sallallahu Aleihi wa Sallam say mulaaqaat hoti hai aur aap har waqt
Sarkaar ki khidmat may rahtay hai aur Fanaa Fil Rasool kay Maqaam par Faaiz ho jaatay
hai tab Rasool Allah Sallallahu Aleihi wa Sallam aap ko Maqaam-a-Wahdat pay
pahunchaatay hai jahaa(n) Allah Ta'ala ki Zaat moujood hai. Phir aap hamaa waqt Allah
ki baargah may moujood rahtay hai aur aaap Fanaa Fillah Baqaa Billah ho jaatay hai. Tab
jaakar Allah Ta'ala aapkay haath ho jaata hai, aapkay payr hojaata hai,aapki aankh,
aapkay kaan,aapki zabaan ho jaata hai.(Offcourse ye bohat badaa process hai jisko mai
nay bohat short may khatm kiya) Aur ye bhi depend karta hai kay aapki ismay kitni
koshish hai aur aap ismay kitni mehnat kar saktay hai jissay aapkay aur Allah kay
darmiyaan saaray Hijaab kitnay waqt may uth jaatay hai.
Ismay ye bohat zaroori hai kay aapka Peer kitna kaamil hai. Agar aapka Peer kaamil nahi
hai ,yaani wo ye Maqaamaat(stations) say waaqif hi nahi hai to wo aapko un manzilo par
kaisay pahunchaa saktaa hai???

Ye to ek hi misaal thi jo Qur'aan may sub say pahlay moujood hai.

iskay alaawaa - Qur'aan may Allah kahta hai (Wa taseemu bi hablillahi walaa tafarraqu)
pakadh lo Allah ki dori ko mazboot aur aapas may tafreqa na payda karo. Allah ki dori
kya hai?? Allah Qur'aan may hi kahta hai Surat al Fathaa may Bayat kay baaray may -
( Ay Muhammad Sallallahu Aleihi wa Sallam jo log Aap kay haath may haath daytay hai
aur bayat laytay hai wo yaqeenan meray haath par bayat laytay hai kyu ki Allah ka haath
aapkay haath par hai.

Aur Sarkaar Sallallahu Aleihi wa Sallam nay Hazrat Abubakar Siddeeq ko Bayat dee
jinsay - Silsila-a-Naqshbandiya hum tak pahuncha

Aur Hazrat Ali ko bayat dee jinsay 40 Silsilay chalay - jaisaa ke Qadri,Chishti,
Shazli,Soharwardi, Ashrafi and so on.......

Aur doosray Sahaabiyo ko bhi bayat dee lekin in say koee Tareeqay nahi chalay.

To Allah ka haath Sarkaar Sallallahu Aleihi wa Sallam kay haath par phir unka haath
Hazrat Abu baker Siddeeq kay hath par , unkaa haath Hazrat Salmaan Faarsi kay haath
par phir unka haath Hz. Qaasim bin Muhammad bin Abu Baker Siddeeq kay haath par
phin unka haath Hz. Imaam Jaafer Saadiq Aliehissalaam kay haath par. Aysaa hotay
huway ye zanjeer Hz, Bahauddeen Naqsband Qaddas Allahu Sirrahul Azeez say hotay
huway Hamaaray Sheikh - Moulana Sheikh Nazim Haqqani tak pahuncha - isi ko Allah
Ta'ala Dori kah rahaa hai jisay humko mazbooti say pakadhna hai. Ye mai nay sirf
Naqsbandi Haqqani Golden Chain ki Zanjeer ya dori kay baaray may kahaa.

Aur isi tarhaa Hazrat Ali say zanjeer Hz.Ghousay Aazam Dastagheer say hoti huwi
neechay aati hai jo Qadri Tareeqay ki hoti hai

Aur isi tarhaa Hz. Ali say Hz. Khwaja Ghareef Nawaaz say hoti huwi neechay aati hai jo
Chishty ki hoti hai

Aur isi tarha Hz. Ali say 38 Aur Tareeqay nikaltay hai.

Ab iskay alaawa Allah Qur'aan may aur ek jagaah kahtaa hai ( Ya Ayyuhal lazeena
aamanuttaqullaha wabtagu waseelata .......) jismay Allah kahta hai kay Ay Imaan waalo
mujh tak pahunchnay ka waseela talaash karo aur meri rah may jihaad karo taake tum
Falaah (Success) paao. Yahaa waseela isi Dori say muraad hai aur Jihaad(Jihaadun
Anfusikum - Nafs say jihaad) muraad hai jo Peer-a-kaamil kay siwaa aapko koee nahi
sikha saktaa hai.
Qur'aan may aur bhi bohat si aayaat hai jo Tareeqat (Peeri Mureedi) ki taraf ishaara deti
hai - aur hum is par saath may baith kar discuss kar saktay hai.

Bayat layna ye Sahaaba-a-Karaam ki Sunnat hai.

Ab iskay alaawa kuch Hadeeso may bhi aaya hai jiskay mai sirf unwaan likhunga :
Bohat say hai lekin mai sirf kuch hi likhoonga.

Hadees-a-Ahsaan - ye bohat badi story hai iskay peecha jo yahaa(n) likhna difficult hai.

Man laa Shaykha lahu yattakhizu hush shaitaan - jiska koee Shaykh(Peer) nahi uska Peer
Shaitaan hai.

Farz al insaan yatlabsh Shaykha Kaamila wa fil Makaan, wa fil Shaam wa fil Rome wa
fil Ajam. - Har insaan par farz hai kay wo Kaamil Peer ki talaash karay chaahay wo kisi
bhi jaghaa ho,ya Shaam may ho ya Rome may ho ya Ajam may. Aur Ghaur karnay kee
baat ye hai ke Peer-a-kaamil kee Talaash ki baat ho rahi hai. Yahaa(n) ek cheez note
karna bohat important hai jiski wajhaa say Tareeqat badnaam bhi huwi aur duniya may
Peer-a-Kaamil ki ahmiyat khatam ho gayee aur sirf Khaandaani Tareeqat chal rahi hai .
For example koee ek bohat baday wali guzray hongay 700 saal pahlay. Wo apnay daur
kay bohat kaamil Peer hongay lekin ye zaroori nahi hai kay unki aanay waali peedhi sub
kay sub Peer-a- kaamil ho. Lekin wo logo kay Awlaad aaj bhi hai, unki Khaankah aaj bhi
hai , aur Peeri Mureedi aaj bhi jaari hai. Wo Sajjaada Nasheen bun kay baithay hai, logo
say nazar nazraanay laytay hai aur logo say payr padhaana(kadam bosi) haath choomna,
Qawwali (samaa) sunnaa aur duniya bhar kay gunaaho ho may bhi mubtilaa hona ya
( naa bhi honaa) - aysi hi Peeri Mureedi chal rahi hai.

Haalaa kay jo Qur'aan aur hadees ki baat mai nay ooper jo likha hai wo unpar bhi laagu
hai. Unko bhi Peer-a-Kaamil ke talaash zaroori hai. Lekin wo log sirf Khaandaani
Tareeqat chalaa rahay hai jismay dam nahi hai. Na wo Saahib-a-kamaal hai na unkay
Mureed martaba-a-Kamaal tak pahunctay hai.Aur log unkay Jadd (jo bohat badi wali
guzray hai 700 saal pahlay) usko dekh kar bayat laytay hai. Aysay logo ko sirf wo wali ki
muhabbat ka faiz paatay hai lekin manzil-a-maqsood tak nahi pahoonchtay.

Ab mai Tareeqat (Peeri Mureedi ka) sub say important pehloo bayaan karoonga.

Bayat sirf Allah aur uskay Rasool tak pahunchnay kay liye hoti hai.

Agar bayat laykar aap Allah aur uskay Rasool tak nahi pahunchay to aap sirf apnaa waqt
zaaya kar rahay ho. Iskay liye aapko sirf Blessings milayngay lekin Manzil-a-Maqsood
tak nahi pahunchogay.

Aur bohat si baatay mai aapko bataa saktaa hoo(n) insha Allah jab aap Thursday ko
mujhay milogay tab.

Haa(n) aur ek khaas baat to mai bataana bhool hi gayaa jo bohat important hai.
Allah Har zamaanay may Ek Sultaan ul Awliya duniya may paydaa kartaa hai (jis tarha
us zamaanay may Ghousul Aazam Dastagheer thay) Ye Sultaanul Awliya saaray
Qaayenaat ka Imaam hotaa hai aur us daur kay saaray Wali aur Peer-a-Kaamil par zaroori
hai ke us Sultaan ul Awliya kay haath par Bayat lay. Haala ke us daur may Hazrat
Khwaja Ghareeb Nawaaz bhi thay lekin wo sirf Sultaanul Awliya-a-Hind thay not the
whole world like Ghousay Paak. Isi tarhaa 600 saal pahlay Khwaja Bandanawaaz thay jo
sirf Sultaanul Awliya-a-Daccan thay not whole of India or not the whole world.

Hum barray Sagheer (Hind-o-Paak) kay Musalmaano ka problem kya hai maloom hum
Peer-a-Kaamil ya jo Sultaan ul Awliya hota hai Saari duniya kay liye usko hum sirf India
ya Paakistaan may hi talaash kartay hai. Balkay ye Sultaan ul Awliya ka concept
hamaaray paas hai hi nahi.Aur agar koee ye concept kay baaray may baat karay to sirf
usko Ghousul Aazam Dastagheer tak hi Mehdood kartay hai which is not right
(Offcourse with all due respects to Sarkaar Ghousul Aazam Dastagheer Shay un Lillah.

Haa(n) to , Wo Sultaan ul Awliya direct Allah aur uskay Rasool say instructions laytaa
hai aur Duniya ko dayta hai. Uskaa har fail Qur'aan, Hadees aur Sunnat kay hisaab say
hotaa hai balkay wo Rasool Allah Sallallahu Aleihi wa Sallam ki Zindaghi ka Amali
Namoona hota hai. Abi Duniya may jo bhi Sultaan ul Awliya hai wo last hogaa iskay
baad koee Sultaan ul Awliya for the whole world nahi aayega.Iskay baad direct Imaam
Mehdi Aleihissalaaam aayengay.

Abhi end of times hai - bohat jald Imaam Mehdi Aleihissalaam ka Zahoor honay waala
hai. Aur ye baat hum ko yaad rakhna hai ke Imaam Mehdi Aleihissalaam is not going to
talk about any Tareeqa of Peeri Mureedi and He is coming for the whole of Mankind.

The Sultaanul Awliya of this time will be the Door Way to Imaam Mehdi Aleihissalaam,
is liye hum ko wo Sultaanul Awliya ko talaash karnaa hai jo is daur may Peero ka Peer
hai (yaani jiskay haath duniya bhar kay Kaamil Peer log jaakar bayat lay rahay ho) hum
ko wo Imaam tak pahunchaaynga.

Yahaa(n) mai Kaamil Peer mention ka rahaa hoo(n) kyu kay sirf Kaamil Peer hi unko
jaantay hai aur unkay haath par bayat layngay.

Ek Peero ka aysaa tabkaa bhi hai jo acchay aur nek hai lekin Kaamil nahi hai , aysay
Peero ko bhi Sultaanul Awliya ka concept aur pataa nahi maaloom hota hai.

Aur teesra chor Peero ka tabkaa hai (sqoundrels) jo jhootay peer hotay hai. Dar asal ye
Daaku hotay hai Peero kay libaas may jo logo ko Loot tay hai aur aurto ki aabru say
kheltay hai. Ye log straight away Sultaanul Awliya kay concept ko hi jhutlaatay hai. In
ko deen kay baaray may kuch maaloom hi nahi hota hai aur ye log Naapaak Jin kay
sahaaray say Jaadu Tonay kay kaam kartay hai. Aysay logo ko aajkal log saahib-a-
kamaal aur Kaamil Peer samajhtay hai.Inkay zariye hum kabhi bhi apnay Manzil-a-
maqsood par pahunch saktay hai.
Ye log Imaam Mehdi Aleihisslaaam ko bhi nahi jaanegay aur unko bhi jhutalayngay.
Balkay Imaam Mehdi Aleihissalaam kay aanay say pehlay hi inka khaatma honga.

Imaam Mehdi Aleihissalaam kay zahoor say pahlay ek bohat badi jung (War) hongi jo 90
to 100 days chalengi. Ismay har 7 logo say 6 log maaray jaayengay. Aysay 6 logo may
ye Jaali Peer hongay marnay waalo may.

Bahar Haal waqt bohat ziyaadah ho rahaa hai - is mouzoo par hum phir baith kar guftagu
karengay.

Ghaalaban aapko aapkay sawaal ka jawaab mil gayaa honga.

Mujhay ek kalaam yaad aaya jo aapko shaayad pasand aayega.

Apni hasti ko samajh , paa kisi kaamil ka pataa

Wo bataayega tujhay, is dil may ek dil ka pataa

Khoj kiski hai , yahaa(n) dhoond rahay ho kisko

Tumko maqtal may hi mil jaayenga bismil ka pataa

Taalib - a - Deed ki khaatir , hi to nazaara hai

Khud fanaa ho.. to milay, Ishq ki manzil ka pataa

Jalwaa afroz hai Maikhaa..na - a - Wahdat may Peer

Chashm - a - Beena.. ko milay, Yaar ki Mehfil ka pataa

Khud ko posheeda kiye baith gaye hai Naazim

Kisnay batlaa diya aa..khir teray ghaayil ka pataa

Insha Allah Aapsay Guftagu hoti rahegi.

Allah Hafiz

Baba Ishtiyaq

Potrebbero piacerti anche