Sei sulla pagina 1di 1

KUCH NASIHAT KI BAATEIN

(HAR MUSLAMAAN KO RAAT – DIN IS TARAH RAHNA CHAHIYE)


1. sub kaamo ki liye waqt muqarrar karna
2. subah saweray kaam shuru karna
3. har waqt ki masnoon duaen padhna aur hamesha sach bolna
4. deen ki baat amal ki niyyat say seekhna aur deen ki baat sikhana
5. acchi niyyat karna yaani har amal Allaah ki riza kay liye karna aur dikhlawa na karna
6. paanch (5) waqt ki namaaz ko waqt par pabandi kay saath ada karna
7. har waqt Allaah ko yaad karna yaani Allaah ka zikr karna
8. faraiz, wajibaat aur sunnaton ka ahtemaam karna
9. neik kaam mein deiri na karna aur gunaah par fauran tauba karna
10. khushi mein Allaah ka shukur karna aur parayshaani aur gham mein sabar karna
11. har musalmaan ko salaam karna aur salaam karnay waalay ko jawaab dayna
12. dawat qubool karna aur cheenk ka jawaab dayna aur har ek say muskurakar milna
13. gham-zadah aur musibat-zadah ko tasalli dayna
14. har musalmaan ki madad karna aur neiki ki hidayat karna
15. sadqah aur khiaraat karna, muaaf kardayna aur narmi ka mu’aamla karna
16. sulah kardayna, sila-rahmi karna aur quraan e paak ki tilawat karna
17. walidain kay doston aur azeezon kay saath khush akhlaaqi kay saath pesh aana
18. khush akhlaaqi apnaana aur jhagday say bachna
19. raastay say takleef dah cheez ko duur karna
20. azaan dayna aur azaan ka jawaab dayna aur masjid ki safaie ka qiyaal rakhna
21. acchi tarha wuzu karna aur miswaak karna
22. pahli saf mein namaaz padhna aur saf ki khalaa ko pur karna
23. juma kay din ghusl karna aur khushboo lagaana
24. haji ya mujahid kay ghar ki khabar-giri karna aur roza daar ko iftaar karaana
25. rozay mein sehri karna aur iftaar ka waqt honay par jaldi karna
26. halaal rozi ki talaash karna aur haraam say bachna
27. giray huway lukhmay ko saaf karkay khalayna
28. baychi huyi cheez ka wapis layna aur tijarat mein sach bolna
29. jaanwaron kay saath husn e sulook karna aur muzi jaanwaron ko halaak karna
30. fuzool baaton aur kaamo say bachna aur bachon par shafaqat karna
31. istaghfaar karna yaani Allaah say gunaahon ki muaafi maangna
32. Huzoor SAWS par durood e shareef padhna aur zubaan ko qabu mein rakhna
33. bimaar pursi karna, namaaz e janazah padhna aur tadfeen mein shirkat karna
34. kisi say Allaah kay liye mohabbat karna aur sha’aar e islaam ki tazeem karna
35. jayaz shifarish karna aur kisi kay aieb ko chipana
36. ahel aur ayaal par kharch karna aur waalidain kay saath husn e sulook karna
37. yateemo aur baywaon ki madad karna aur badon ki izzat karna
38. miya – biwi ka ek doosray kay saath husn e sulook karna
39. padosi say niek sulook karna aur hum safar say husn e sulook karna
40. Allaah kay liye mulaqaat karna aur mehmaan ka ikraam karna
41. suray fatiha aur suray ikhlaas padhna aur wuzu kay baad kay kalimaat padhna
42. masjid mein daakhil hotay waqt eitekaaf ki niyyat karna
43. tahiyat ul wuzu, tahiyat ul masjid aur namaaz e ishraaq padhna
44. kisi zaroorat-mand ko qarz dayna aur tangdast aur maqrooz ko muhlat dayna
45. har ahem kaam mushwaray say karna
46. neik logon aur ulema ki suhbat mein rahna aur unka ahteraam karna
47. mout ko har waqt yaad rakhna aur shahadat ki dua karna
48. sharm aur haya aur saadgi say rahein
49. har waqt dua karein ki Allaah humko hidayat day aur neik rah par rakhein
50. kisi waqt baith kar roz kay roz apnay din bhar kay kaamon ko sochna
www.scribd.com/akhilism/shelf

Potrebbero piacerti anche