Sei sulla pagina 1di 8

ARABI HUROOF KAY MAKHARIJ TAJWEED SIKHNAY KAY LIYE

ARABI MEIN 29 HUROOF AUR 17 MAKHRIJ HAI


Zubaan kay baayien ( left ) Aakhiri halaq jo seenay say
kinaray ko bayein jaanib ( left qareeb hai
side ) kay u’par kay daanton ko
lagaanay say
U’par kay daanth nichay hooton Doono hooton ka kacchay
kay kaccha hissa ko lagnay say hissa milnay say

Zubaan ki jard par jeeb kay Zubaan ki nook ko u’par kay


andurooni hissay say datoon ki jard ko lagaanay say

Zubaan ki jard par jeeb kay Zubaan ki nook ko u’par


baahari hissay say daaton kay kinaaray ko
lagaanay say

Zubaan ki nook kay qareebi Zubaan ka darmiyani hissa aur


hissay ko u’par kay daaton kay taalu kay darmiyaani hissay ko
masoordo ko lagaanay say lagnay say

Doono hooton ka hissa milnay Darmiyaani halaq say


say

Zubaan ki nook ko u’par kay Ibtedayi halaq jo muuh kay


daaton kay masoordo ko taraf hai ussay a’da hota hai
lagaanay say

Doono hooton ko gool karnay Zubaan ki nook ko upper kay


say daaton kay masoordo ko
lagaanay say

In huroofon ko hamesha pur Doono daaton ko milakar –


note
(mota) padhay zubaan ki nook ko nichay kay
daaton kay u’pari hissay ko
lagaanay say nikalta hai
TAJWEED = quraan ko saheeh padhnay ka tariqa

MAKHARIJ = jahan say huroof nikalta hai (place of origin) makhraj - singular

NOTE = in huroofon ki adayigi mein dhiyaan rakhnay ki khaas zaroorat hai

,
TAJWEED KI AHMIYAT : Quran e shareef ko saheeh saheeh padhna wajib hai har harf(huroof) ko
theek theek padhay hamza aur ain mein jo farq hai usi tarah choti ha aur badi ha mein sa aur
seen mein theek awaaz nikaal kar padhay ek harf ki jagah doosra harf na padhay. Agar kisi say
koi harf nahi nikalta to saheeh padhnay ki mashq karma lazim hai agar saheeh padhnay ki mashq
na karayga to gunaahgaar aur us ki koi namaaz saheeh na hogi albatta agar mehnat say bhi
durust naho to la chari hai (source : ASAAN DEENIYAT & NISAAB E DEENIYAT)
TILAWAT E QURAAN KAY AADAAB:
1. paak wa saaf hona
2. ba wazu hona
3. quraan padhtay waqt bahot hi adab kay saath baithna
4. quraan kay saath rehal (stand) hona
5. quraan kay saath juz daan (cover) hona
6. taawuz (aoozbillah) aur tasmiya (bismillaah) say shuru karna
7. quraan padhnay kay darmiyaan baat na karna
8. agar baatein karein to sirf taawuz padkar shuru karien
9. padhnay wala dil mein yeh khiyaal karay kay Allaah taala nay kaha hai - sunao kaisa
sunatay ho
10. sunnay wala dil mein yeh khiyaal karay kay Allaah taala ka kalaam padha jaaraha hai
usko bahot hi gaursay sunay (source : AZKAAR E MASNOONAH)

TILAWAT E QURAAN KI FAZILAT:


1. dil ka zang duur hota hai
2. Allaah taala ki mohabbat mein taraqqi hoti hai
3. Allaah taala kay qurb (talluq) badhta hai
4. har harf par dus dus neikiyaan milti hai (source : AZKAAR E MASNOONAH)

QURAAN KAY HUQOOQ:


1. quraan ka pahla haq yeh hai kay quraan par imaan laya jaaye
2. doosra haq yeh hai kay quraan ko padha jaaye
3. teesra haq yeh hai kay quraan ko samjha jaaye
4. quraan ka chutha haq yeh hai kay quraan par amal kiya jaaye
5. quraan ko aagay pahonchaya yaani uski taleem ko aam kiya jaaye
6. quraan kay nizaam ko apni zaat par khandaan par shaher par mulk par aur
saari duniya par nafiz kiya jaye (source : QURAANI MALOOMAAT)

NOTE : FOR ALL NOORANI QAAEDA TAKTI IN ROMAN ENGLISH E MAIL @ AKHILISM@GMAIL.COM
XEROX AND DISTRIBUTE FOR ENDLESS REWARD – PLZ KEEP THIS PAPER IN A FOLDER OR LAMINATE IT

Noor Baitulmaal Taleem e Baalighaan


Office : 12/2 R.T., Prakash Nagar, Begumpet, Sec-bad-03. (A division of Madarsa Siddiqia Arabia)
Contact : 98854 79221, 040 -27762521 Viqar Nagar, New Oxford High School,
Centre for providing financial assistance to poor muslims widows Principal : Hafiz Mohd. Ishaaq Bandvi (Khateeb Masjid e Arqam) Ph : 98854 79221
(Donation of Zakaat , Sadqaat & Qurbani Skins are invited) Hafiz Abdul Hafeez (Naib Imaam Masjid e Arqam) Ph : 96424 36788
Centre for learning :
1. Nazirah Quraan 2. Arabi Qaedah with Tajweed
3. Deeniyaat 4. Urdu

Potrebbero piacerti anche