Sei sulla pagina 1di 6

Tawheed:

Tawheed ka matlab hai “Aek” janna aur “Ek” kahna. Tawheed Se Muraad Allaah
Ko Uski Zaat,Sifaat,Uski Ebaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta
AurBemisaal Maan’na.

Quran’Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai:

1.Tawheed’e’Ruboo’Biat.

2.Tawheed Asma’Wa’Sifaat.

3.Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada.

1. Tawheed’e’Ruboo’Biat Se Muraad Allaah ko Kae’naat Ki Har Cheez Ka


Khaliq,Malik,Raziq Aur Tamaam Umoor ki TadBeer KarneWalaMaan’na.”

(Ay Nabi)Aap(In Mushrikeen se)Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq


Koun PahunchaTa Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur
Jaandar ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta hai,Aur Tamaam
Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai,Wo fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne
Wala)Allaah Hai.To UnSe Poocho Ke Phir Tum(Allaah Se)Darte Kyon Nahi.(Quran
10:31). Isse pata chala Mushrikeen e Makka Tawheed’e’Ruboo’Biat Ko mante the
The.

2. Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allaah He Haqeeqi Aur Akela Mabud


Hai.Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik
Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe. Namaz,Roza,Haj,Qurbani,Dua,Naz ar Wa Niaz…Sirf
Allaah Ke liye Ho.”

Aur (Ay Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek He Hai,Uske Alawa Koyi Ebaadat Ke
Layaq Nahi,Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.(Quran 2:163)

3. Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allaah Ke UnSab Asma Aur Sifaat Ka


Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allaah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi
s.a.w. Ne Ahadees Me Unka Zikar Kiya. Aur Allah ke Asma aur sifat me kisi ko
shareek na kiya jaye.

Jaise=>”Allaah Ne Kaha: Ay Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka
Jise My Ne Apne Haatho Se Paida Kiya”.(Quran 38:75)

”Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.(Quran 20:5)”

Allaah Ne Musa a.s. Se Kalam Kiya”(Quran 4:164)”

Allaah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai”.(Muslim:758)”

Us(Allaah)Jaisi Koyi Cheez Nahi”.(Quran 26:11)

Allaah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki
Taweel, Kaifiat, Tateel aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa
Sifaat Hai.

Dawat-e-Islaami Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke


Prachar Se Kiya Jaye. Logo par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazeh Kiya Jaye.

“Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona
Chahiye.” Yani Ye Ke Log Allaah Hi Ko Ilaah Waahid Maane.[Bukhari:1395,
Muslim:19]

SHIRK:
Shirk Ka Logvi Mani hota hain SHARIK karna , aur Sharai Aetbar se Shareek ka
matlab hota hai, ke ALLAH-Tala ki “ ZAAT” Ya Phir “SIFAT” may kisi ko Sharik
karna.
“Subse Bada Gunah Ye Hai Ke Tu Allaah Ke Saat Kisi Ko Shareek Kare Halan Ke
Usne Tujhe Paida Kiya.”

(Bukhari 4477, Muslim 86).

Allaah Ke Saat Shirk Na Karna. Beshak Shirk Bada Bhari Zulm Hai.

(Quran 31:13)

Shirk Se Bache.Tawheed Parast Bane.

Shirk Karne Ka Nuksaan yeh Hai ki:

“Jisne Allaah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya,Allaah Ne Uspar Jannat Haram


Kardiya.Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na
Hoga.”[Quran 5:72]

“Jo Koyi Is Haalme Mare Ke Wo Allaah Ke Siwa Kisi Aurko Pukaarta Hoto Wo
Jahannum May Dakhil Hoga.”[Bukhari 4497,Muslim 92].

Shirk Karne wale Ko Uske Nek Aamal Faida nahi Denge.Nek Aamal (jaise
Sadqa,Khairat,Namaz,Roza,…) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekar Ho Jate Hai
Aur Allaah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allaah Ne 18 Jaleelul
Qadar Anbiya Ka Naam Lene keBaad Farmaya:

“Aur Agar Unlogo Ne Shirk Kiya Hota To Unke Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jate”.[Quran
6:88]

La’ilaaha’illallaah Muhammadur Rasool Allaah Padh Ne Wala bhi Mushrik Ho Sakta


Hai

RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: “Tum Yaqeenun Apne Se Pehli Ummato Ki Pairwi


Karoge, Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood Wa Nasara Hai”.
[Bukhari.3456,Muslim.2669]

“Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo But Aur
Tagoot Par Emaan Laate Hai”.[Quran 4:51]

RasoolAllah Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha: “Qiyamat Us Waqat tak Khayam Na


Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Milay Aur Meri Ummat
Ke Bahut Se Log But Parasti Na Kare”.

[Tirmizi 2219]

Jab Kisi Qabar ki ibadat Ho toh Usko But-Parasti Kaha Jayega. Ap Sallellahu Alaihi
Wasallam Ne Kaha:

“Ay Allaah Meri Qabar Ko But Na Banana Jiski ibadat Ki Jaye. Allaah Ka Us Kaum
Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana
Letay Hai”.

[Muwatta Imaam Malik 9:88]

Aisha r.a. Farmati Hai ke SallellahuAlaihi Wasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:

“Yahood Wa Nasara ParAllaah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabaro Ko


Sajda Gaah Bana Liya”.Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Sallellahu Alaihi Wasallam
Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Banalia Jayega To Aap Ko Band Hijray Me Dafan Na
kiya Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti.[Bukhari.1390,Muslim.529]

Mashuray Me Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allaah Se


Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai.

Kaum Noah Ko Dekhia=>”Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr Noah Ki Khoum Ke


Swaleheen The Jin Ki Logo Ne baadme Parashtish Shuru Kardi”. [Bukhari 6:442]
“Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Mabudo Ko Hargis Na Cho’dna Aur
Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr KoKabhi Na Cho’dna”.[Quran 71:23]

Mushrikeen Macca Bhi Allaah Ko Ilaah Mante The Magar Allaah Ke Alawa Aur
Bahut Se Ilaah Banaye Huye The Aur Allaah Ko Subse Bada Ilaah mante The. Isliye
Nabi Ki Dawat Par Mushrik Kahne Lage:

“kya Usne Itne Sare Mabudo Ki Jagah Bas Ek He Mabud Banaliya,Ye To Badi Ajeeb
Bath Hai”.[Quran 38:5]

(Unse)Kahiye, Apna Haal To Batao Agar Tum Par Allaah Ka Koi Azaab Aajaye Ya
Qayamat Aa Pahunche To Kya Tum Allaah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaroge. Agar Tum
Sache Ho[To Batao] Balke tum Usi[Allaah] Ko Pukaroge, Fir Jis Dukh Ke lia Tum
Pukaroge Agar Wo Chahe To Usko Door Kardega Aur Jin Ko Tum Shareek Banate
Ho Us Waqat Un Subko Bhool Jaoge.

[Quran Al’Anaam:40,41]

Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ebadat Kyon Kiya Karte?? Allah iska jawab deta
hai:

“Hum Unki Ebaadat Sirf Isliye Karte Hai Ke Wo Allaah Ki Nazdeeki Ke Martabe Tak
Humari rasayi Karade”.[Quran Sura Zumar:3]

Yani Mushrikeen Makka Gairullaah ko Apna Sifarishi Aur Allaah Ke Qareeb Ka


Zariya Samajhte The.

“Wo Kehte Hai Ke Ye Allaah Ke Paas Humare Sifarishi Hai”.[Quran Sura Yunus:18].

Ap Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha,”Ye Aise Log Hai Jab Inme se Koi Nek Banda
Marjata To Uski Qabar Par Sajda Gaah Banadete Hai Aur Tasveere Bana Dete Hai.
Ye Allah Ke Nazdeek Badtareen Maqlooq Hai”.[Bukhari.427,Muslim.528]

Kya Aaj Neak Logo Ki Qabaro Ko Aisa He Nahi Karte? Isiliye Quran May Allaah
Farmata Hai,

“Beshak Tum Allah Ke Siwa Jin Ko Pukaarte Ho Wo Tum Jaise Bande He


Hai”.[Quran Surah Al’Aaraf.194]

Jin Awlia Allah Ko Mushrikeen Pukarte The Unke Bareme Bataya:

“Murde Hai, Zinda Nahi.Unko Ye Bhi Maloom Nahi Ke ye Kab Uthaye


Jayenge”.[Quran 16:21]

“Aur Jab [Qiyamat Ke Din]Log Jama Kiye Jayenge Wo Unke Dushman Ho Jayenge
Aur Unki Ebaadat Ka Inkar kar Denge.[Quran 46:6]

Allaah Ki Zaat Me Shirk Ka Mafhoom ye Hai ki “Na Ussay Koyi Paida Huwa Naahi
Wo Kisi se Paida Huwa”(Quran 112:3)

“Yaqeenan Wo Kafir Hai Jo Kehte Hai Ke Isa Ibn Mariyam He Allaah Hai”.(Quran
5:72)”

Aur Unhone Uskay Baaz Bando Ko Uska Juzz Tehraa Diya.Beshak(Aisa) Insan
Khullam Khula Na ShukraHai”.(Quran 43:15)

Ap Sallellahualaihi wasallamKo Allaah Ke Noor Mese Noor Kehna Allaah Ka Juzz


Banane Ke Barabar Hai-Shirk Hai.

Potrebbero piacerti anche