Sei sulla pagina 1di 32

https://islamdeenkibaatein.blogspot.com/2017/02/?

m=1

Deen ki baatein/ Islamic knowledge

Tuesday, 28 February 2017


Na-farmaan Aulaad
Waliden Ke Nafarman Ki Sazaa ….
» Mahfum-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke:
“Jisne Apne Waliden (Maa-Baap) Ko Gaali Di,
Uske Sir Per Jahannum Me Iss Qadar Aag Ke Angare Barsenge
Jis Qadar Aasman Se Zameen Per Baarish Ke Qatre Baraste Hai”.
– (Sahih Muslim)

Sameera khan at 19:31 3 comments:


Share

Bad-nigah (aurat ho ya mard)


Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par ….
» Mahfum-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad-Nigahi Ki Jaye”.
– (Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77)

» Hazrate Isa (Alayhi Salaam) Farmate Hai,


“Jis Kisine Buri Khwahish Se Kisi Aurat Par Nazar Daali
Wo Apne Dil Me Hi Uske Sath Zinaa Kar Chuka Hota Hai”.

» Mahfum-e-Hadees: Jo Kisi Aurat Ki Khubiya Dekh Kar Nigaah Jhuka De


Allah Ta’ala Usko Aesi Ibadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lizzat Wo Apne Dil Me Mehsoos Karega.
– (Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)

Sameera khan at 19:26 No comments:


Share

☆☆☆ chupa hua Amal ☆☆☆


Poshida Amal Afzal Hai ….
☆ Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Zahiri Amal Ke Muqabley Me Poshida Amal Afzal Hai !!”
– (Shuabul Imaan, Part-5– @[156344474474186:])
☆ Sabaq : Poshida Amaal Se Muraad Hai Chupkar Ya Logon Se Chupakar Neki Karna,
Jaise Kisi Ko Koi Cheez Sadqa Karna Iss Niyat Se, Ke Koi Dekhe Ya Na Dekhe Lekin Hamara Rab zarur Hamare
Iss Amaal Se Ba-khabar (Wakifkaar) Hai.
Aur Agar Koi Zahiri Amal Hum Logon Me Shohrat Ke Niyat Se Karte Hai Tou Yeh Khudpasandi Hai Aur Allah
Kisi Khudpasand Aur Takabbur Karnewalo Ko Pasand Nahi Karta.

♥ Allah Ta’ala Hume kehne Sun’ne Se zyada Amal Ki Toufiq De !! Ameen !!!

Sameera khan at 11:20 No comments:


Share

☆☆Momin aur badkar ☆☆


Momin Aur Badkar Ki Misaal …..
♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Momin Ki Misaal Paudhey(Plant) Ki Pahli Nikli Hui Hari Shaakh Jaisi Hai Ke –
Jab Bhi Hawaa Chalti Hai Usey Jhukaa Deti Hai
Phir Wo Seedha Ho Ker Musibat Bardasht Kerne Me Kamiyab Ho Jata Hai ,.
Aur Bad’kaar (Hypocrite) Ki Misaal Sanobar Ke Darakht(Pine Tree) Jaisi Hai Ke –
Sakht Hota Hai Aur Seedha Khada Rehta Hai , Yahan Tak Ke Allah (Rabbul Izzat)
Jab Chahta Hai Usey Ukhaad Ker Phaink Deta Hai…”
– (Sahih Bukhari Shareef : Jild 7; 5644),
– English Reference : (Sahih Bukhari Volume 7, Book 70, Hadith No.546)

Sameera khan at 11:05 No comments:


Share

Momin aur badkar


Momin Aur Badkar Ki Misaal …..
♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Momin Ki Misaal Paudhey(Plant) Ki Pahli Nikli Hui Hari Shaakh Jaisi Hai Ke –
Jab Bhi Hawaa Chalti Hai Usey Jhukaa Deti Hai
Phir Wo Seedha Ho Ker Musibat Bardasht Kerne Me Kamiyab Ho Jata Hai ,.

Aur Bad’kaar (Hypocrite) Ki Misaal Sanobar Ke Darakht(Pine Tree) Jaisi Hai Ke –


Sakht Hota Hai Aur Seedha Khada Rehta Hai , Yahan Tak Ke Allah (Rabbul Izzat)
Jab Chahta Hai Usey Ukhaad Ker Phaink Deta Hai…”
– (Sahih Bukhari Shareef : Jild 7; 5644),
– English Reference : (Sahih Bukhari Volume 7, Book 70, Hadith No.546)

Sameera khan at 11:04 No comments:


Share

Monday, 27 February 2017


Zindagi guzarne ka tarika
Acchi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye ….
Acchi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye 7 Azeem Nekiyan
∗ 1. Har Kaam Se Pehle Bismillah Kehna.
∗ 2. Har Kaam Se Faragat Ke Baad Alahmdulillah Kehna.
∗ 3. Galat Kaam Ho Jaane Par Astagfirulah Perhna
∗ 4. Aainda Ke Liye Kisi Kaam Ka Irada Kare Tou In’sha’Allah Kehna.
∗ 5. Na’gawar Baat Par “Lahaoul” Parhna.
∗ 6. Kisi Bhi Takleef Pe “Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon” Parhna.
∗ 7. Har Waqt Kalma Tayyaba Ka Wird Karna (Dil Me Ya Zubaan Se).

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey,.
Ameen ,.. Summa Ameen

Sameera khan at 10:22 No comments:


Share

Saturday, 25 February 2017


♡☆ AHDEES☆♡
Aapas Me Na Hasad Karo, Na Bugz Karo ….
♥ Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) ♥

♥ Mahfum-e-Hadees: Dozakhi Woh Shakhs Hai Jo Zagdalu Aur Takabbur Karne Wala Ho.
– (Bukhari Sharif)

♥ Mahfum-e-Hadees: Jhoot Se Bacho, Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jata Hai


Aur Gunaah Jahannam Me Pahochane Wala Hai.
– (Abu Dawood)
♥ Mahfum-e-Hadees: Qayamat Ke Din Allah Rabbul Izzat 3 Logo Par Karam Nahi Farmayega
Unn Me Se Ek Ehsaan Jatane Wala Hai.
– (Sahi Muslim)

♥ Mahfum-e-Hadees: Aapas Me Na Hasad Karo, Na Bugz Karo, Na Peeth Pichey Burayi Karo
Aur Allah Ke Bandey Bhai Bhai Ho Kar Raho.
– (Bukhari Sharif)

Sameera khan at 19:09 No comments:


Share

☆☆ ILM CHUPANA NAHI ☆☆


Ilm Chupaane Wale Ka Azaab
♥ Mahfum-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jis Shakhs Ke Paas Koi Ilm Mehfuz Ho Aur Wo Usey Chupaye
Tou Qayamat Ke Din Usey Dozakh Ki Aag Ki Lagaam Daal Kar Laya Jayega..”
– (Sunan Ibn Majah, Vol#1, Hadith No. 261-Sahih)

Sameera khan at 12:40 No comments:


Share

♡♡ JAANWAR KE SAAT SALOOK ♡♡


🌹Janwar per rahem🌹

Hadees : Rasulullah (Sallallahu alaihi wa sallam) ki baargaah me sahaaba e kiraam (rd.) ne arz kiya:
Ya Rasulullah ! Kya jaanvar par raham karney me bhi hamaarey liye sawaab he ?
Aap (Sallallahu alaihi wa sallam) ne irshaad farmaya:
Har jaandaar jigar rakhney waley haiwaan par (raham karney me) sawaab he.
(--BUKHARI -6009)

▶ Aaj ki achi bath◀


🌹Andhere se andhera nhi mitta, balki roshni hi ise mita sakti hai, Nafraton se nafrate nhi mitti, balki muhabbat hi ise
mita sakti hai🌹

Darkness cannot drive out darkness, only light can do that. Hate cannot drive out hate, only love can do that

Sameera khan at 08:13 No comments:


Share

Thursday, 23 February 2017


☆☆☆ JUMA K AHKAAM ☆☆☆
Jumaa Me 3 Tarah Ke Log Aatey Hain ….
♥ Mahfum-e-Hadees: Abdullah Ibn Amr (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Jumaa Me Teen (3) Tarah Ke Log Aate Hain,
*(1) Ek Tou Wo Jo Waha Aakar Behuda Baat Kare, Uska Hissa Yahi Hai (Yani Usko Kuch Sawaab Na Milega) Aur
*(2) Dusra Wo Hai Jo Wahan Aakar Allah Subhanahu Ta’ala Se Dua Kare!
Agar Allah Chahega Tou Uski Dua Qubool Karega Aur Chahega Tou Nahi Karega, Aur
*(3) Teesra Wo Hai Jo Waha Aakar Khamoshi Se Baith Jaye, Na Logon Ki Gardanein Faand Kar (Over The Neck)
Aagey Badey Aur Na Kisi Ko Takleef Pahuchaye Tou Uska Ye Amal Iss Jumma Se Lekar Agle Jumma Tak Balki
Aur Teen (3) Deen Ziyada Tak Ke Liye Gunaahon Ka Kaffara Ban Jayega,..
– Kyunki Allah Subhanahu Ta’ala Ka Irshaad Hai Ki Jo Shakhs Ek Neki Karta Hai Usko 10 Gunaa Sawaab Milega.
– (Sunan Abu Dawud, 1101)
Sameera khan at 19:01 No comments:
Share

♡♡♡ juma behtareen din ♡♡♡


Juma Behtareen Din:
♥ Hadees: Rasool’Allah (‫ )ﷺ‬ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din
jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (‫ )ﷺ‬ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-
ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam
Cheez ka sawaal na kare.
5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me
aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084)

Sameera khan at 18:34 No comments:


Share

☆ DIN KI SHURU AUR AKHIR ME ACHCHE KAAM KARO☆


Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo ….
» Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya
Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, “Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah
(Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho”.
– (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)

Sameera khan at 01:34 No comments:


Share

☆☆☆《SAB SE BEHTAR INSAAN》☆☆☆


Sab se Behtar Banda
♥ Mahfum-e-Hadees: “Rasool-Allah (SalAllahu-alaihe-wasallam) ne farmaya;
Logo me sab se Behtar wo hai jo, Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho ,..
Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai, Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur
Nafrat na ho.”
– Ibn-Majah Hadees no. 4216

Sameera khan at 01:09 No comments:


Share

Wednesday, 22 February 2017


♡♡♡ MOHABBAT ♡♡♡
♡Assalaamu Alaikum wr wb ♡
.
Is group me bhot sare log aise hy jo " i love my mom "kehte to hy lekin wo sach nahi hota.
☆Ammi ki har jaiz baat maana asal farmabardaar aulaad ka kaam hy khali "I love mom" kehne se kuch nahi hota.
☆Konsi maa hy jo apne bacchao ko sawere utho nahi kehti,
☆ kon maa hy jo apne bacchao ko namaz ke liye nahi kehti.
☆kon maa hy jo apna kaam naa suno kehti.
☆kon maa hy jo apni aulaad ko JAHANNAM me jata dekhna chahegi.
Fir ye batao aplog kitni sunte ho maa ki???
Apna muhasiba karlo fir kaho " I love mom"
Ekh maa se itni mohabbat hy to os #Azeem hasti se kitni mohabbat honi chahiye jo wisaal ke wakht bi apni
ummatiyao ke bare me soncha hy,
Os #AZEEM #KAREEM #RAHEEM hasti se kitni MOHABBAT honi chahiye jo hmko hmare maao se 70% ziadah
MOHABBAT karta hy,
Abi bi wakht nahi guzra tauba karo aur apne "RAB" Ki taraf laut aaye
Quraan aur Hadees ko kas ke tham lein.
Pura post parne ke liye #JAZAKALLAHU KHAIR

Sameera khan at 19:15 1 comment:


Share

☆☆☆ Nauafil Namaz ☆☆☆


*VERY BENEFICIAL NAFL SALAAHS :*

*1) Tahiyyatul Wudhu*


• After Wudhu.
• 2 Rakaats.
_Benefit: Entitled to enter Jannat._

*2) Tahiyyatul Masjid*


• Upon entering Masjid & before sitting down.
• 2 Rakaats.
_Benefit: To honour ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*3) Ishraaq*
• Performed 15 minutes after sunrise.
• 2 or 4 Rakaats.
_Benefit: Thawaab of one Hajj & Umrah_

*4) Salaatul Chaasht*


• Some part of day (± 10:00am) has passed until Zawaal.
• 2; 4; 6; 8; 10 or 12 Rakaats.
_Benefit: Counted among the devotees_

*5) Awwabeen Salaat*


• After Maghrib Salaat.
• Minimum 6 and Maximum 20 Rakaats.
_Benefit: Sins forgiven even as much as the foam on the ocean_

*6) Salaatul Taubah*


• When the need arises.
• 2 Rakaats.
_Benefit: If certainly truthful and sincere ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫ ﷲ‬forgives_

*7) Salaatul Istikhaarah*


•may be read at any permissable time
• 2 Rakaats.
_Benefit: asking for the best decision from ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*8) Salaatul Hajaat*


• In time of need.
• 2 Rakaats.
_Benefit: When one is in need or in difficulty_
*9) Saffar Salaat*
• Performed at home before setting out on a journey.
• 2 Rakaats.
_Benefit: A person has not left anything better at home then these 2 Rakaats_

*10) Salaatul Tasbeeh*


• Any permitted time.
• 4 Rakaats.
_Benefit: A precious gift and valuable present and ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫ ﷲ‬forgives all minor, major, intentional, unintentional
and hidden sins_

*11) Tahajjud Salaat*


• After Esha, later part of night.
• Minimum of 2 Rakaats and Maximum of 12 Rakaats.
_Benefit: Glorify ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*Please forward msg and earn Rewards- Sadaqah Jaaria*

Sameera khan at 08:16 1 comment:


Share

♡ RASOOL S.A.W KE UMMATI HAI HUM ♡


AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu..!!
Hm ummat e Nabi sallallahu Alayhi wasallam hain Alhamdulillah
Hm ummati hone ka dawa toh kartey hain lekin farz nahi nibhatey.
Hm sb ku chunchun kr aaqri ummat me Allah swt ne dala hai kyuki hmse nabiyao wala kaam lena hai Allah swt ku
Lekin afsoos hm Kya karrahey hai dekho
Fb pr chating, movies, naach gana r bht sare burey kaam jo hmku zeb nahi detey.
Hmku istarha apni lyf guzaarni chahiye jaisi Allah swt r Rasool saw ne Quraan r Hadees me bayaan ki hai.
Lekin afsoos sada afsoos hm Allah swt ku naraz r hmara khula dushman (shaitaan) ku Qush karrahey hain :(
Aaj b mauqa hai ay musalmaan..!!
Apne musalmaan hone ka farz ada karo ye duniya ek safr hai r hmku laut kr apne qaliq k pas jana hai
Jb Kya muh dikhaogey kis tarha Rasool saw se nzr milaogey..
Ay Allah swt hm pe rehm kijiye r bhatakney se bachalijiye hm gunahgaar hai hmku nek hidayat dijiye,hmku apna r
apne waliden ka farmabardar bana, hmse jo jane anjane me gunah sarzad hogaye usey mauf farma, apke bandey hain
ap hi se dua maangtey hai apne alawa kisi ka mohtaaj na bnana.
Seedhe raastey pr chala hmku jo bhatak gaye hain unhein sahi rehnumaii kr
Ay ALLAH tere bndey hain tujhi se bheek maangtey hain
Hmey kalme wali maut r emaan wali maut ata kr..!!
#Aameen_summa_Aameen_ya_Rab
.

Sameera khan at 00:50 No comments:


Share

♡♡♡ ALLAH ki panha ♡♡♡


🌹Jinhe ALLAH (Subhanahu talah) Apne saaye mein panaah dega🌹

Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya Saat
tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne
tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye.
(--Sahih Bukhari, Vol 7, 6479)

▶ Aaj Ki Achchi Baat◀


🌹 Apne Gunaaho se tauba karne me kabhi der na karo, Suna hai sone ke bad kuch logo ki subah nahi hoti🌹
Sameera khan at 00:47 No comments:
Share

Sunday, 19 February 2017


♧○♧○♧ BETIYAAN ♧○♧○♧
Dear mamma.....🌹
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌹"Beti" bankar ayi hu ma-baap ke jivan me,🌹
🌹
🌹basera hoga kal mera kisi aur ke aangan me,....🌹
🌹
🌹 kyu ye reet "RAB" ne banai hogi, 🌹
🌹
🌹"kehte" hai aaj nahi to kal tu "parai" hogi, 🌹
🌹
🌹"Deke" janam "paal-poskar" jisne hame bada kiya,🌹
🌹
🌹aur "waqt" aya to unhi hatho ne hame "vida" kia,🌹
🌹
🌹"Tut" ke bikhar jati he humari "zindagi" wahi,...🌹
🌹
🌹 par phir bhi us "bandhan" me pyar mile "zaruri" to nahi, 🌹
🌹
🌹kyu "rishta" humara itna "Ajib" hota hai,🌹
🌹
🌹kya bas yahi "betiyo" ka "Nasib" hota he??🌹
☀☀☀☀☀☀☀☀☀☀
❤ "mamma" Says"... ❤
☀☀☀☀☀☀☀☀☀☀
❤Bahut "chanchal" bahut ❤
❤"Khushnuma" si hoti hai "BETIYA".❤

❤"Nazuk" sa "dil" rakhti hai "Masoom" si hoti hai "BETIYA". ❤

❤"Baat" baat par roti hai ❤
❤ "Nadan" si hoti hai "BETIYA".❤

❤"Rehmat" se "bharpoor"
"Khuda" ki "Nemat" hai "BETIYA".❤

❤"Ghar" mehak uthta hai ❤
❤ Jab "muskrati" hain "BETIYA".❤

❤"Ajeeb" si "Taklif" hoti hai ❤
❤ Jab "dusre" ghar jati hai "BETIYA".❤

❤"Ghar" lagta hai suna suna "Kitna" rula ke "jati" hai "BETIYA" ❤

❤"Khushi" ki "jhalak"
"Babul" ki "ladli" hoti hai "BETIYA"❤

❤Ye "Hum" nahi "kehte"❤

❤Yeh toh "RAB " kehta hai. . .Ke Jab main bahut khush hota hu toh ❤ ❤"janam" leti hai
"PYARI SI BETIYA" ❤
☀☀☀☀☀☀☀☀☀☀
❤ Dedicated to all the Girls 🌹
❤Plz share it with ur sisters, mother, Daughters, brothers,father,sons and friends❤

Sameera khan at 12:04 1 comment:


Share

☆☆☆《NEK BIWI》☆☆☆
Jis Bande ko Nek Biwi Mil Jaye …
♥ Mahfum-e-Hadees: Anas bin Malik (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Allah Ta’ala Ne Jise Nek Bibi Ata Ki,
Usey Islam Ka Aadha Hissa Qayem Karne Me Madad Ki Hai,
Baaki Aadhe Hisse Ke Liye Use Chahiye Ke Wo Allah Se Dare
(Yaani Taqwa/Parhezgari Ikhtiyar Karey),..”
– Mustadraq Al Haqim , Hadees 2681
– Tabrani Awsat , Hadees 985
– Baihaqi Shu’abul Imaan , Haddes 5101
– Mazma’ul Zawayed , Hadees 7434
– Sahih At Targheeb , Hadees 1916

Sameera khan at 10:07 No comments:


Share

☆☆☆○○ Ladki ki JANNAT ○○☆☆☆


AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu..!!
.
<○○ Qaas ladkiyao k liye ○○>
.
Hm woh Ashraful maqluqaat hai jis ku Allah ta'ala ne farishtao se Sajdah karwaya hai, toh hmku b chahiye k uss
ehteraam ku qaaim rakhey, acchi chaal karey
Qaas taur se Namaz aur pardey ka ehtemaam karey,
Hm ladkiyao ku toh Allah ta'ala ne bina duniyawi Mehnat k JANNAT rakhdi
☆1,Maa baap se Accha salook.
☆2,bhai behan se mohabbat ka salook.
☆3,apne rishtedaar aur pados se Accha rawayya.
☆4,Shawhar se mohabbat aur wafadaari.
☆5,sasuraal k log se Accha salook, qaas apne saas susar ku apne naa baap ka martaba dena.
Kyuki yeh wolog hai jo duniya me tumare SHAREEK E hayaat ku duniya me laye tum se zyda unka haq hota hai
bete par.
☆6,kbhi kisi bete ku uske walidain juda karney ki na soncho bina wajah, warna tum b ek din uss jaga pr aaogi tb
tumarey sath b yehi sb hoga.
☆7, Aulaad ku acchi tarbiyat.
Bass yehi thodi cheezein hai jis se hm duniya aur Aaqirat dono me jannat bana saktey hai. #in_sha_Allah
Yeh sb karkey dekho frndz kitni qushi milti dekho phr.
#jazakAllahu_Qair
Sameera khan at 04:52 No comments:
Share

☆☆☆ 3 Qul ☆☆☆


✦ Hadees: Subah aur sham ko 3 baar Surah ikhlas , Surah falaq aur surah An-Nas padha karo---------------------
✦ Abdullah bin khubayb Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas)
padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayegi [Sunan Abu dawud, Jild 3,
1643-Hasan]
Sameera khan at 04:17 No comments:
Share

☆☆☆ TAUBA ☆☆☆


♡♡♡○AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu○♡♡♡
☆BismillAllah hir Rehmaan nir Raheem..☆
Mahfum-e-Hadees: Ibne Masood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Hai Ke –
“Sharmindagi Taubah Hai”
– (Sunan Ibne Majah, Abwaab Al Zuhd, Baab Zikr Fee Tooba, Jild: 4, Page: 492, Hadith:4252)
• Wazahat: Hadees Me Bataya Gaya Hai Ke Gunaaho Se Nadamat Hona Taubah Ka Aala Rukn Hai,
– Kyu Ke Agar Koi Kisi Ka Haq Khayega Tou Sharam-O-Nadaam Ke Maare Uska Haq Zaroor Ada Karega ,..
– Isi Tarah Koi Be-Namazi Hoga Woh Sharmindagi Ki Waja Se Jo Namaz Uss Se Reh Gai Thi
Woh Qaza Bhi Zaroor Parh Lega ,..
– Iss Tarah Agar Woh Allah Ki Neymat Ko Dekhega Ke Usne Mujhe Sir Se Lekar Pau Tak Sahi Salamat Rakha
Jiska Kabhi Maine Gour Hi Nahi Kiya Tha Tou Woh Zaroor Sochega Ke Sab Kuch Uska Diya Hua Hai Mera Tou
Kuch Hai Hi Nahi, Uss Ke Diye Huwe Par Mai Uski Nafarmani Kaise Kar Sakhta Hu ,..
Tou Zaroor Woh Gunaah Se Apne Apko Bachata Rehega Aur Puraane Gunaaho Ki Taubah Karta Rahega.
– (Mirat Al Munajhee, Jild: 3, Page: 379)

Sameera khan at 03:02 No comments:


Share

Saturday, 18 February 2017


Quran ( surah: aal e imran)
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Keh Do Aye Ahl-e-Kitab! (Jews And Christians) Se Ek Baat Ki Taraf Aa Jao Jo Hamare Aur Tumhare Darmiyan
Barabar Hai Ki Allah Ke Siwaye Aur Kisi Ki Bandagi Na Karey Aur Kisi Ko Uska Sharik Na Thahrayein Aur Allah
Ke Siwa Koi Kisi Ko Rab Na Banaye Agar Woh Phir Jaye (Na Maney) Tou Kah Do Gawaah Raho Ki Hum Tou
(Allah Ke) Farmabardar Hain”.
– (Al Quraan, Aal-e-Imran, Aayat:64)

Sameera khan at 04:31 No comments:


Share

Tuesday, 14 February 2017


☆♡ NAMAZ DIL KI THANDAK ♡☆
AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu..!!
Ek Qaas baat :=
Ek bht hi deendar gharana tha wahan ek bht hi paise wale ,highly educated, bht hi mashoor hasti k ghar ka rishta
aaya .
Ladki k walid wahan ki masjid ko gaye jahan se qareeb us ladke ka ghr tha.
Wahan jakr fajar padhi wo ladka nzr nahi aaya, ayse hi 3 din woh fajar bajamaat padhe lekin woh ladka naa aaya phr
woh wahan k imaam shb se ladke k barey me puchey, unhu ne kaha woh Namaz hi nahi padhta fajar me toh kabhi
aaya hi nahi.
Ladki k walid ghr wapas aaye aur rishtey k liye naa boldiya.
Ladki ki walida ne sabab pucha toh unhu ne kaha
" jo Allah tumko rizq , naam, bulandi, ameeri, sb kuch cheez se nawaza phr b tm uski ibadat srf din me 5 baar naa
karsako toh kya faida aysey paisa, aysa naam ka
Jo Allah ko Qush naa karsaka woh meri beti ku Kya Qush rakkhega.
Plz dosto Namaz ki pabandi karo
Duniya ki koi cheez hmarey sath naa ayegi siwaye hmare acche r burey Amal k
Isliye jitna hosake Namaz ka ehtemaam karo
Qabar k sawalaat k baad, Qayamat k din Namaz ki puch pehle hogi.
Allah Hmku kehney , sunney se zyda amal karney wala bnaye...Aameen..!!
Sameera khan at 20:31 No comments:
Share

ZYADA HASNA DIL KO MURDA KARDETA HAI


(=Zyada Hasna Dil Ko Murda Bana Deta Hai ….=)
.
» Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Zyada Na Hasaa Karo, Iss Liye Ke Ziyada Hasna Dil Ko Murda Bana Deta Hai”.
– [Reported by Ibn Majah, no. 4193; Silsilah as-Sahihah, no. 506]
#Hikmat: Beharhaal Iss Baat Se Aap aur Hum Tamam Muttafiq Hai Ke –
Har Cheez Ka Ek Dayra Hai! Jab Tak Wo Apne Dayre Me ho
Tab Tak Usme Humare Liye Khair Hai,
Aur Dayre se Bahar Nikal Gayi Tou usme Sirf Sharr Hi Baaqi Reh Gaya,..
*Isi Tarha Qhushbaqthi Acchi Cheez Hai Jabtak Ke Ye Apni Hudood Me ho,..
Lekin Jab Qhushali Apne Hudood Ko Paar Kar dey
Tab Insan ke Barbadiyo Ka Bayis Ban Jati Hai ,..
*Tou Lihaza Hume Chahiye Ke Khushi Ho ya Gham
Shariyat Ke Hudood Me Rehte Inka Haq Ada Karey ,..
Warna Kahi Aisa Na ho Ke –
Duniyawi Qhwahishao Me Hum Iss Qadar Mubtela Ho jaye
Ke – Aqeerat ki Fikr Se Gafil Rahne Lagey ,..
Allah Mehfooz rakkhey...Aameen..!!!

Sameera khan at 11:12 No comments:


Share

☆NEKI AUR PAREZGAARI ME EKH DUSRE KI MADAD KARO☆


Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo ….
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo,
Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!,
Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai..”
– (Surah Al-Ma’ida, A:2)

» Mahfum-e-Hadees:
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Allah Uspar Raham Nahi Karta –
Jo Logon Par Raham Nahi Karta!”

Aagey Farmaya:
– Wo Hum’me Se Nahi Jo Humaare Choto Par Reham Na Karey ,..
– Aur Hamarey Bado Ki Izzat Na Kare ,..
– Aur Achchi Baat Ka Huqm Na Kare ,..
– Aur Buri Baat Se Manaa Na Karey!”.
– (Kanoon-e-Shariat – Jild 2 – Safa 288)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey!!

Sameera khan at 10:53 No comments:


Share

:( GEEBAT KA AZAAB :(
Geebat Karney Walon Ka Azaab ….
» Mahfum-e-Hadees Hazrate Anas Bin Malik (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper)
Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun
Log Hain Aye Jibril ?,
To Unhoney Kaha Ki – Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat Kartey Hain) Aur
Unki Izzat Aur Aabru Ke Peechey Parey Rahtey Hain”
– (Sunan Abu Dawud , Vol 3, 1449 Sahih )

Sameera khan at 10:42 No comments:


Share

Monday, 13 February 2017


☆☆☆Aurat ka martaba Islam me ☆☆☆
<=Qudara ek bar zarur padhein =>
.
AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu ...!!
.
☆NABI KAREEM Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jis gair aurat ko jan bujh kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan bujh kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat
par Allah ki la’anat.
(Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)
Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jab gair mard aur gair aurat tanhai me kisi jagah sath hote he to unme tisra shaitan hota he
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 794,Hadees 1171,Safa 599)
NABI KAREEM Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Tanha gair aurat ke pas jane se parhez karo.
Ek sahabi ne sawal kiya
Ya Rasoolallah dewar ke bare me kya irshad he?
Aaqa ne farmaya
"Dewar to Maut he".
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 141,Hadees 216,Safa 108,Tirmizi sharif Jild 1,Bab 794,Hadees 1171 Safa 599,Mishkat
sharif Jild 2,Hadees 2968,Safa 73)
.
Qudara meri sab hi bhai behnao se guzarish hai k islam se hatkr koi kaam na karo, apne walidein ki Izzat ka martaba
wa qayaal rakho.
Aaj hm unki Izzat uchalingey kl hmari aulaad Hmku yehi tohfa degi.
Maa baap ka dil dukhane ka anjaam duniya me b aur aaqirat me b bhugatna hai.
Daro daro us din se jb hm ek ek neki ku tarsingey aur koi denewala naa hoga
Nafsa nafsi ka mahol hoga.
Allah qair kare,
Allah hm sb ku Mehfooz rakkhey .
Islaam pe chalne ki nek taufeeq de.
Aameen..!!
#S_farooqui

Sameera khan at 13:02 No comments:


Share

Islam me aurat ka martaba WA maqam


♡♡♡ISLAM ME AURAT KA MAQAM♡♡♡
==========================
☆kon kehta he k islam ne aurat ku qaid kar k rakha he.
☆kon kehta he k islam ne aurat ku gharo me qaid kar k rakha he.
☆kon kehtah e k islam ne aurat ku maqam nahi diya.
☆kon kehta he k islam ne aurat ku aazadi nahi di.
☆ji islam ne aurat ku ghar ki zeenat banai he.
☆ghar ki izzat banai he.
☆ghar ki rani banai he.
☆Allah k nabi sallallahu alayhi wasallam k aane se pehle log ladkiyo ku jinda
zameen me ghar dete the.jinda jala dete the. ladki peda hona eb samja jata
tha. ladki peda hoti to insaan ghar se bahar nahi nikalta tha.
islam ne aurat ku bahot uncha maqam diya he.
☆agar wo beti he to ghar me rahmat,bahen to barkat,biwi he to nea'mat
or maa he to uske kadmo k niche jannat he.
--------------------------------------------
☆☆☆beti ki parvarish me ina'am.
------------------
☆hazrat ibne abbas radiyallahu ta'ala anhu se rivayat he k
huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaaya
♡♡jis musalman ki 2 betiya ho fir jab tak wo uske paas rahe ye unke paas rahe
wo unke saath accha bartao kare to wo dono betiya usko jannat me zarur
dakhil kara degi. ♡♡
( ibne hibban.)
Sameera khan at 11:06 No comments:
Share

Sunday, 12 February 2017


☆☆☆♡ Behtareen shauhar ♡ ☆☆☆
<~>☆ Behatreen Shohar ☆<~>
⚄→☆Jo apni biwi ke sath narmi, khush AkhLaqi aur husne salookh ke sath pesh aaye.
⚄→☆ Jo apni biwi ke huqooq Ada karne me kisi qism ki gafLat or kotahi na kare.
⚄→☆ Jo apni biwi ka is tarah ho kar Rahen ke kisi Ajnabi Aurat par nigah na daLe.
⚄→☆Jo apni biwi ko apne aish ishrat me barabar samjhe.
⚄→☆ Jo apni biwi par kabhi zuLm or kisi qism ki be ja zyadati na kare.
⚄→☆ Jo apni biwi ki tang mijaazi or bad AkhLaqi par sabr kare.
⚄→☆ Jo apni biwi ki khubiyon par nazar rakhe or mamuLi galatiyon ko nazar andaz kare.
⚄→☆ Jo apni biwi ki museebaton bimariyon or ranjo gam me dil joyi timardari or wafadari ka saboot de.
⚄→☆ Jo apni biwi ko parde me Rakh kar izzat o aabru ki hifazat kare.
⚄→☆ Jo apni biwi ko ZiLLat o Ruswayi se bachaye rakhe.
⚄→☆ Jo apni biwi ko deendari ki takeed karta rahe or shari’at ki Raah par chalaye.
⚄→☆ Jo apni biwi ke Amtrak's me bakhiLi or kanjoosi na kare.
⚄→☆ Jo apni biwi par is tarah control rakhe ke wo kisi burayi ki taraf Rukh bhi na kar sake.

Sameera khan at 21:10 No comments:


Share

:( Valentine day :(
☆ AsSalaamu Alaikum WaRahmatullahi WaBarkatuhu ☆
.
Ekh khaas baat :=
☆Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
"Jis gair aurat ko jan bujh kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan bujh kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat
par Allah ki la’anat hai". (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)
.
☆Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
"Jub mard gair aurat ko dekhta hai ya aurat gair mard ko dekhti hai to dono ki aankhe zina karti hai". (Kashaful
mahjub Safa 568)
☆Hazrat Mohammed Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
"Jab gair mard aur gair aurat tanhai mai kisi jagah sath hote hai to unme tisra shaitan hota hai". (Tirmizi sharif Jild
1,Bab 794,Hadees 1171,Safa 599)
#ab_ap_bataye_ke_Valentine's_day_manana_jaiz_hai_ya_Haraam.??????
Islam mai valentine day manana haram hai..kyon ki ye behuda kaam hai aur…islam iski izazat nahi deta….ye puri
tarah se islam ke khilaf hai..aur aaj ke muslim ladke ladkiyon ko ye samjhna chahiye..ye ek bahut hi bada gunah hai
…ayese kaamo se bachna hi lazmi hai..insaan ko islam ke qanun par hi chalna chahiye yahi unke liye sahi
hai…duniya ke liye bhi aur akhirat ke liye bhi… sare muslim bhai beheno se meri darkhash hai ki…to 14feb..ko
ayesa haram kam karen se bachhey ..aur apna imaan kayam rakhkhey..shaitan ko apne upar havi na hone de.
Kyon ki ye behudgi ko bulawa deta hai..aur ayese behudge kaamo se hame parhez karna chahiye…..gair islamic
kaamo mai musalmano ko shairk nahi hona chahiye..apne aapko ayese gair islamic aur gunaho mai dubne wale
kaamo se bachawo…kyon ki tum momin ho aur momin ka ye farz hai ki wo apna imaan hamesha Qayam rakhkhey.
#JAZAKALLAHU_KHAIR

Sameera khan at 20:40 No comments:


Share

Saturday, 11 February 2017


%%Aurat aur mard sath namaz kaise padhein%%
1)☆Jab bhi mard aur aurat ek sath namaz perhna chahain toh ehtiyat e lazim ki bina par zaroori hai k aurat mard se
kam se kam itna peechey khadi ho k us k sajdah kerne ki jagah, sajday ki halat mein mard k dono guthnao k barabr
ho.
2)☆ Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khadi ho aur dono ek waqt mein namaz perhne lagain toh ehtiyat e
wajib ki bina par zaroori hy k namaz ko dubara pedhain , yehi hukum hy agar ek, dosray se pehley namaz shuru kar
Dein.
3)☆ Agar mard aur aurat ek dusrey k barabr khadey hon ya aurat aagey khadi ho aur dono namaz parh rahey hon
lekin dono k darmiyaan diwaar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k ek dosrey ko naa dekh sakein ya un
k darmiyaan 10 hath se zyada ka faasla ho toh dono ki namaz sahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875)
note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat sohar aur biwi hon ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein
izafa farmaye).

Sameera khan at 04:13 No comments:


Share

Thursday, 9 February 2017


*÷* Biwi ke Huqooq *÷*
Biwi ke Huqooq Qurano Sunnat ki Roshni me
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:
♥ Al-Quraan: “Aur Biwiyo ke Saath Acchi Tarah Raho Saho”
– [Surah(4) Nisa; Aayat 19]

♥ Al-Quraan: “Aurto Ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai.., Al
batta mardo ko unn par Fazeelat Hasil hai”
– – [Surah(2) Baqrah; Aayat 228]

Isi Tarha Allah Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Ki Aahadees me Aata hai ke:


♥ Mahfum-e-Hadees: “Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat Pasli se paida ki Gae hai aur pasli ka sab se zyada
tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar
Chodh dega tou Tedhi hee Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo”
– (Bhukhari 3331)

♥ Mahfum-e-Hadees: “Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz(nafrat) na rakkhe, kyunki agar
Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi,..”
– (Muslim 1467)

♥ Mahfum-e-Hadees: “Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai,..”
– (Abu Dawud 1905)
♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (‫ )ﷺ‬se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke “Jab
tu khana khae tou Usey khana khila aur jab tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura
bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar”
– (Abu Dawud 2142)

*Wazahat: Yaani kisi baat par Naraaz ho tou Usey Ghar se Dusri jagah na bhagao

♥ Mahfum-e-Hadees: “Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel(Atract) ho tou woh Qayamat
ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga”
– (Abu Dawud 2133)

*Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi tou in par khawind par khuch
gunah nhi.

Allah Ta’ala Quran me farmata hai ke


“Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge..”
– [Surah(4) Nisa; Aayat 129]

♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool Allah (‫ )ﷺ‬ne farmaya ke


“Aye Allah! yeh meri Taqseem aise Muamle me hai jis me mera Ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera
nahi uss par mujhey Malamat na farmana”
– (Abu Dawud 2134)

Sameera khan at 10:50 No comments:


Share

Tuesday, 7 February 2017


☆☆☆Rishtedaar k Huqooq☆☆☆
***BismillAllah hir Rehman nir Raheem***

ALLAH Ta'ala ne Qura'an Shareef mein aur Nabi Kareem ‫ﷺ‬


ne Hadees Shareef mein bar-bar rishtedaro'n ke sath
ahsaan aur achhe bartao ka hukm farmaya hai*_*

Lihaaza inlogo ke huqooq ko bhi adaa karna har Musalman Mard wa Aurat par laazim wa zaruri hai. Qhaas taur par
in chan'd baato'n par Amal krna toh laazmi hai.

1☆ - Agar apne azeez-o-aqraba


Garib wa mohtaaj ho aur khane bnane ki taaqat na rakhte ho to apni taaqatbhar aur gunja'ish ke Mutaabiq unki maali
madad karte rahe'n.

2☆- kabhi-kabhi rishtedaro'n ke yahan aate-jaate rahe aur unke gham wa khushi mein hamesha shareeq
rahen,UNKO bhi apne pas bulate rahein.

3☆- Khabardar Khabardar... hargiz-hargiz apne rishtedaro'n se


Qhat-e-ta'alluq karke rishte ko na Todein
Rishtedari Khatam Kar dene
boht bada gunaah hai Nabi Kareem ‫ ﷺ‬ne farmaya hai ki

" Ya'ni apne rishtedaro'n se


kat-e-ta'alluq krne wala Jannat mein nahi daakhil hoga."

*Aur rishtedaro'n ki taraf se koi takleef bhi pohnch jaye to


sabar karna aur fir bhi unse mel-jol rakhna aur unse ta'alluq
bar'qaraar rakhna bhot bada sawaab ka kaam hai.
*Hadees Shareef mein hai ki
" jo tumse ta'alluq tode tum usse
mel-milaap rakho aur jo tum par zulm kare tum usko mu'aaf krdo Aur
jo tumhare sath bad'sulooqi kare tum uske sath nek sulooq krte rho"

*Aur ek Hadees Shareef mein yeh bhi hai ki

"Rishtedaro'n ke sath achha sulook krne se aadmi apne ahl-o-ayaal ka mehboob ban jaata hai
Aur uski maaldari badh jaati hai. Aur uski umar mein daraazi aur barkat hoti hai."

*In Hadeeso'n se yeh sabaq milta hai ki rishtedaro'n ke sath nek sulooq krne ka kitna bada ajar-o-sawaab hai aur
duniya wa aakharat mein bhi iske fawa'id kis qadar zyada hain.

*Aur rishtedaro'n ke sath bad'sulooki aur unse ta'alluq kaat lene ka gunaah kitna bhayaanak aur Qhaufnaak hai,
aur dono jahan me iska nuqsaan aur bawaal kis qadar zyada khatarnaak hai
Isliye
har Musalman Mard aur Aurat pr laazim hai ki apne rishtedaro'n ke huqooq adaa krne aur unke sath achha bartao
aur nek sulook krne ka Qhaas taur pr dhyaan rkhe

*Yaad rakho ki shari'at ke ahkaam pr amal krna hi Musalman k liye dono jahan mein salaah wa falaah ka samaan hai

*Shari'at ko chhod kr koi bhi Musalman dono jahan mein


Kamyaab nahi Ho skta.

*Jo log zara-zara si baat pr apni behno, betiyo'n ,phuphiyo'n , khalao'n , chacha,mamuo'n ,bhateejo ,
bhaanjo se yeh kehkr kat-e-ta'alluq kr lete hain
ki aaj se mein tera rishtedar nhi hun aur tu bhi
mera rishtedar nahi hai.
Aur salaam-kalaam milna-julna sab band krdete hain yhan tk ki rishtedaro'n ki shadi ghami ki taqreebat ka bhi
boycotts krdete hain.

Hadd hogyi baad bad'naseeb apne kareebi rishtedaro'n ke janaaze aur kafan-dafan mein bhi shareek nahi hote to in
hadeeso'n ki roshni mein khud hi faisla karo ki yeh log kitne bad'naseeb, hirma'naseeb aur gunaahgaar hain
(tauba-tauba ‫)ہلل با نعوذ‬
ALLAH hm sabko kehne se zyada Amal ki taufeeq de.
Aameen summa Aameen

Sameera khan at 10:19 No comments:


Share

☆☆☆Rishtedaar k Huqooq☆☆☆
***BismillAllah hir Rehman nir Raheem***

ALLAH Ta'ala ne Qura'an Shareef mein aur Nabi Kareem ‫ﷺ‬


ne Hadees Shareef mein bar-bar rishtedaro'n ke sath
ahsaan aur achhe bartao ka hukm farmaya hai*_*

Lihaaza inlogo ke huqooq ko bhi adaa karna har Musalman Mard wa Aurat par laazim wa zaruri hai. Qhaas taur par
in chan'd baato'n par Amal krna toh laazmi hai.

1☆ - Agar apne azeez-o-aqraba


Garib wa mohtaaj ho aur khane bnane ki taaqat na rakhte ho to apni taaqatbhar aur gunja'ish ke Mutaabiq unki maali
madad karte rahe'n.
2☆- kabhi-kabhi rishtedaro'n ke yahan aate-jaate rahe aur unke gham wa khushi mein hamesha shareeq
rahen,UNKO bhi apne pas bulate rahein.

3☆- Khabardar Khabardar... hargiz-hargiz apne rishtedaro'n se


Qhat-e-ta'alluq karke rishte ko na Todein
Rishtedari Khatam Kar dene
boht bada gunaah hai Nabi Kareem ‫ ﷺ‬ne farmaya hai ki

" Ya'ni apne rishtedaro'n se


kat-e-ta'alluq krne wala Jannat mein nahi daakhil hoga."

*Aur rishtedaro'n ki taraf se koi takleef bhi pohnch jaye to


sabar karna aur fir bhi unse mel-jol rakhna aur unse ta'alluq
bar'qaraar rakhna bhot bada sawaab ka kaam hai.

*Hadees Shareef mein hai ki


" jo tumse ta'alluq tode tum usse
mel-milaap rakho aur jo tum par zulm kare tum usko mu'aaf krdo Aur
jo tumhare sath bad'sulooqi kare tum uske sath nek sulooq krte rho"

*Aur ek Hadees Shareef mein yeh bhi hai ki

"Rishtedaro'n ke sath achha sulook krne se aadmi apne ahl-o-ayaal ka mehboob ban jaata hai
Aur uski maaldari badh jaati hai. Aur uski umar mein daraazi aur barkat hoti hai."

*In Hadeeso'n se yeh sabaq milta hai ki rishtedaro'n ke sath nek sulooq krne ka kitna bada ajar-o-sawaab hai aur
duniya wa aakharat mein bhi iske fawa'id kis qadar zyada hain.

*Aur rishtedaro'n ke sath bad'sulooki aur unse ta'alluq kaat lene ka gunaah kitna bhayaanak aur Qhaufnaak hai,
aur dono jahan me iska nuqsaan aur bawaal kis qadar zyada khatarnaak hai
Isliye
har Musalman Mard aur Aurat pr laazim hai ki apne rishtedaro'n ke huqooq adaa krne aur unke sath achha bartao
aur nek sulook krne ka Qhaas taur pr dhyaan rkhe

*Yaad rakho ki shari'at ke ahkaam pr amal krna hi Musalman k liye dono jahan mein salaah wa falaah ka samaan hai

*Shari'at ko chhod kr koi bhi Musalman dono jahan mein


Kamyaab nahi Ho skta.

*Jo log zara-zara si baat pr apni behno, betiyo'n ,phuphiyo'n , khalao'n , chacha,mamuo'n ,bhateejo ,
bhaanjo se yeh kehkr kat-e-ta'alluq kr lete hain
ki aaj se mein tera rishtedar nhi hun aur tu bhi
mera rishtedar nahi hai.
Aur salaam-kalaam milna-julna sab band krdete hain yhan tk ki rishtedaro'n ki shadi ghami ki taqreebat ka bhi
boycotts krdete hain.

Hadd hogyi baad bad'naseeb apne kareebi rishtedaro'n ke janaaze aur kafan-dafan mein bhi shareek nahi hote to in
hadeeso'n ki roshni mein khud hi faisla karo ki yeh log kitne bad'naseeb, hirma'naseeb aur gunaahgaar hain
(tauba-tauba ‫)ہلل با نعوذ‬
ALLAH hm sabko kehne se zyada Amal ki taufeeq de.
Aameen summa Aameen

Sameera khan at 10:19 No comments:


Share
Sunday, 5 February 2017
*** Emaan ***
<=Emaan ki batein=>
Thoda long hai lekin bhot zaruri hai
Ek bar zarur padhein
#jazakAllahu_qair
.
* Aam log baatcheet me kufr k lafz
bolkar ISLAM se kharij ho jatey
hai
aur IMAAN se hath dho bethtey
hai
iska khayal rakhna behad
zaruri
hai kyunki har gunah ki bakhshish
hai lekin agar kufr bak kar
IMAAN
kho dia to bakhshish aur jannat
me jane ki koi surat nahi balki
sab din JAHANNAM me jalna
lazimi hai,

EK HADEES SHARIF me hai HUZUR sallallahu Alayhi wasallam ne farmaya jiska mafhoom hai ki
* shaam ko admim MOMIN
hoga
aur savere ko kafir aur subah
ko
momin hoga shaam ko kafir
_
KALIMATE KUFR kitne hai aur
kis kis
baat se kufr lazim aata hai
iski
tafseel bayan karna mushkil
hai
lekin hum bhaiYo aur Behnao k liye kuch
aham
hidayaten likh dete hai
INSHA ALLAH IMAAN salamat rahega,
1☆> aap ba'adab ho jaiye
ALLAH TA'ALA uske
RASOOL
FARISHTE
KHANA E KAABA
MASAJID
QURAAN E KARIM
DINI KITABE
BUZURGANE DEEN
ULMA E KIRAM
WALIDAIN
in sabka adab ta'aZim aur mohabbat dil me
bitha
lijiye ba'adab insan ka dil
ek
khare khote ko parakhne ki tarazu
ho jata hai ki na uske munh se
ghalat bat nikalti hai aur koi
aur kahe
to usko nagawar guzarti hai
islie
anpadh ba'adab achha hai
pade likhe
be'adab se ALLAH TA'ALA farmata hai
.
"WA MAY YO AZZIM SHA'A E RALLAHI FA INNAHA
MIN TAQWAL QULOOB"
.
TARJUMA- jo ALLAH ki nishaniYo ki
ta'azim kare to yeh dilo ki parhezgari hai
.
2☆> hansi mazak tafrih wa dillagi
ki adat mat banaiye aur
kabhi
ho to usme dini mazhabi baton
ko mat laiye ,
khuda e ta'ala ,
uski zaat wa sifaat ,
Ambiya e kiram ,
farishte,
jannat ,
dozakh,
azaab,
sawab,
NAMAZ,ROZA vagerah ahkame sharai ka zikr hansi
tafrih
me kabhi na laiye warna
imaan
k lie khatra paida ho
sakta hai,
ALLAH ki nishaniyo k sath mazak kufr hai,

3☆> kuch log is kism ki baten


sabko
khush karne k liye bol dete hai
jinka
bolna aur khushi k sath sunna
kufr hai,
un logo aur aise batein karne
walo
se dur rahna zaruri hai,
.
MASLAN :
1☆>sab dharam samaan hai insano ki khidmat
hi
mera dharam hai,
2☆>desh pahle hai dharam bad me hai,
3☆> hum pahle is desh k rehne wale hai baad me musalman hai,
4☆> raam raheem dono ek hai,
5☆> ved wa Quran me koi
fark nahi,
6☆> masjid wa mandir dono
khuda k
ghar hai ya dono jagah khuda milta hai,
7☆> Namaz padhna bekar admiyo ka kaam hai,
8☆> Roza wo rakhe jisko khana
na mile,
9☆> Namaz padhna na padhna
sab barabar hai, humne bohat padhli kuchh nahi hota
#jazakAllahu_Qair_waAhsanuljaza

Sameera khan at 22:04 No comments:


Share

♡♡♡AZAAN♡♡♡
Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye.

Azaan : Allahhu-Akber, Allahu-Akber

Iske Jawab Me Aise hi kahen


Yaani "Allahhu-Akbar, Allahu-Akbar"

Azaan : "Ash'Hadu Alla ilaaha illallah"

Jawab Me Yahi
Alfaz Dohraye
"Ash'Hadu Alla ilaaha illallah'

Aur Sath me Seedhe Hath ki Shahadat


Wali ungli bhi Uthaye

Azaan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah

Jawab : Durood Sharif Padhen (Sallallahu Alaihi Wasallam)

Azaan : Hayya AlasSalah


Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen

Azaan : Hayya Alal Falah


Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen

Azaan : "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"


Iske Jawab Me Aise hi kahen
Yaani "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"

Azaan : Lailaaha illallah


Jawab : Lailaaha illallah

Kahen Ya Azaan ka jawab ho gya


Yaad Rakhen
Humne jo Azan ke Alfaz likhe hai
Wo ek ek baar Likhe hai
Apko unhi Alfaz ka jawab 2 Baar
dena hai jis Tarah se Azaan hoti hai
Usi Tarah Utni hi baar Jawab dena hai

Sameera khan at 08:34 No comments:


Share

^×^ AZAAN KE WAQT BAAT KARNA ^×^


Azan ke Waqt baten Karna Kaisa ?
Azan Ke Waqt Banton Me Mashgul Rehna Ek Aam Baat Ho Gayi Hai.
Awaam To Awaam Baaz Khwas Ahle Ilm Tak Iska Khyal Nahi Rakhte!
Mas'ala Yeh He ki Jab Azaan Hoto Utni Der Ke Liye Na Salam Kare Na Salam Ka Jawab De
Na Koi Aur Baat Kare Yahan Tak Ki Quran Majid Ki Tilawat Me Agar Azaan Ki Awaz Aye To Tilawat Rok De Aur
Azaan Gour se Sune Aur Azan Jawab De
Rasta Chalne Me Azaan Ki Awaz Aajaye To Utni Der Khade Hojaye, Sune Aur Jawab De Agar
Kayi Saari Azaane Sune To Sirf Pahli Ka Jawab Dena Sunnat Hai
or Sabka Dena Bhi Behtar Hai
Allah hamen Azaan Aur Namaz ko
Sahih Tarah se Adaa
karne ki Toufia Ataa Farmaye
Aameen
Sameera khan at 08:28 3 comments:
Share

☆☆☆HADEES E NABAWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ☆☆☆


Ahadees Nabvi
Jis shaqs ne 2 ladkiyon ki parwarish aour dekh bhal ki wo aour main jannat main is tarah ekhatte dakhil honge jaise
ye 2 ungliyan
(TIRMIZI)

Jo aadmi muflis ko mohlat de ya apna karj muaaf karde, to ALLAH TALA kal kiyamat k din apne saye me jagah ata
farmayenge.(muslim)

Gosht khana sunnat hai Huzur SAW ne farmaya haike duniya or aakhirat me khaano ka sardar Gosht hai.

Tum log khana ek jage jama hokar or Allah ka naam lekar khaya karo tumhare khane me barkat hongi.
(AbuDaud)

Log namaz K waqt apni nigahe asman ki taraf uthane se baaz ajae varna inki binayi uchak li jayengi.
(Muslim)

Huzur SAW se ek tabib ne pucha mai Mendak ko dava me istimal karo kya, Aap SAW ne use mendak ko qatal karne
se mana kya.
(AbuDaud)

Aap(saw)ne farmaya:jo shaqs kisi jandar ko jo bhoka ho khana khilaie Allah us ko jannat ka behtrin khana
khilaenge(AIZAN)

Aap(saw)ne farmaya:jo shaqs kisi jandar ko jo bhoka ho khana khilaie Allah us ko jannat ka behtrin khana
khilaenge(AIZAN)

Aap(saw)ne farmaya:ziyada hasi se bachte raho is se dil mar jata hai aour chehre ki raonak kam ho jati
hai(DURREMANSUR)

Aap(saw)ne farmaya:sadqa qabar ki garmi ko door karta hai aour aadmi qayamat ke din apne sadqe ke saie main
hoga(kanzulamal)

Allah farmata hai k insan muje taklif deta hai zamane ko bura bhala kahta h halanke zamana mai hi hu tamam umur
mere haat me hai
(AubuDaud)
Sameera khan at 08:02 No comments:
Share

Saturday, 4 February 2017


☆○☆ zaroori masail☆○☆
ZAROORI MASAYAL KA BAYAN

[1] Nabi jamahi se bache huwe hai isliye ki usmai shaytan ka dakhal hai uske rokne ki achchhi tarkib yaha hai ki jab
jamahi ane wali hoto dil mai khayal kare ki nabi isse bachhe huwe hai fawran rok jayege. (BAHAR-E-SHARIYAT-
SAHMI-JILD-1-SAFA-336)

[2] Agar chhik wala alamdulillah kahe to sunne wale par fawran is tarah jawab dena wajib hai ki wo sun le.

[3] Kuch log chhik ko badkhayali karte hai jayese kisi kaam ke liye jarahe ho, aur kisi ko chhik ajaye to samjhte hai
waha kaam pura nahi hoga, yaha jahaliyat hai isliye ki badkhayali koi chez nahi balki ayese mauke par chhik ana aur
uspar zikr-e-ilahi karna nek fali hai.

(ANWAR-E-HADITE-MUFTI-JALAUDDIN AHMED AMJADI)

Sameera khan at 23:09 No comments:


Share

*** chink aur jamaai ***


HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAH-TA-ALA-ANHO- ne kaha ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-
SALAM ne farmaya ki jab kisi ko chnik aye to alamdulillah kahe aur uska bhai ya sath wala dost ya rahamakuallah
kahe jab dost ya rahamakuallah kahe le to chnik ne wala uske jawab mai ye kahe – YAHDI-KUMULLAH-WA-
YUSLIHU-WA-L-KUM (BUKHARI SHARIF)

HAZRAT-E-ABU-SYYED-RAZIALLAH-TA-ALA-ANHO- Se riwayat hai ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-


SALAM ne farmaya ki jab kisi ko jamaai aye to apna hath muuh par rakhlein kyonki shaytan muuh mai ghush jata
hai. (MUSLIM SHARIF)

Sameera khan at 22:29 No comments:


Share

☆☆☆ Acchi Batein ☆☆☆


KUCH YAAD RAKHNE LAYAK BAATEIN
Zaror padhey – JIKR-E-ILAHI

[1] Sab se achi Zindagi woh Basar karta hai, Jo Apni zarurat Poori karne ke liye “Allah” ke siwa kisi aur pe Bharosa
nahi karta.

[2] Nek Aadmi Ki Maut Us Ke Liye Rahat Hai Aur Bure Aadmi Ki Maut Logon Ke Liye Rahat Hai. Hazrat Ali
(R.A)

[3] Jab apne maa-baap ko koi chez do to is tarah do____jayese koi gulam apne aka ke samane pesh karta hai

[4] Farz ki sunnat padh lene ke baad jama’at mai chahe jitni der ho, koinafil namaz nahi padh shakte.

[5] Lakho Dost Banana Koi Bari Bat Nahi, Mager Aik Dost Aisa Banao Jo App Ka Sath Us Waqt De Jab Lakho App
Ke Mukhalif Ho.

Zindagi mein do Logo’n ka bohot khayal rakhna.


[6] Zindagi mein do Logo’n ka bohot khayal rakhna…1. wo, jis ne tumhari jeet ke liye apna sab kuch haar diya
(matlab tumhara baap) 2. wo jis ki Duao’n se tum sab kuch jeet gaye (matlab tumhari maa’n).

[7] Ye mat socho ke tumhari DUA foran qubool nahi hoti…balke ye socho ke tumhare gunahon ki sazaa “ALLAH”
tumhe foran nahi deta.

[8] Koi Tumharay Dill Ko Dukhaye To Naraz Na Hona,,kyon Ke Yeh Qudrat Ka Kanoon Hai Ke Jis Darakht Ke
Sath Ziyada Meetha Phal Hota Hai Usse Log Zayada Pathar Marte Hain. Hazrat Ali (R.A)

[9] Agar kisi adimi ne apne kisi gunaha se tawba kar li fir bhi kisi ne (kisi bhi wazaha se) us tawba karne wale ko
uske gunaha yaad dila kar sharminda kiya to ayesa adimi marne se pahele kabhi na kabhi us gunah mai jaror mubtila
ho jayega. (TIRMIZI SHARIF)

[10] Azan ka 1 jumla sun ke use dohrane se 2 lakh nekiyan milti hai or ye baat dusro ko batane wale ko 30 nekiyan
milti hai. aur qayamat me inshan 1-1 nekiyon ki liye tarsega.

Sameera khan at 22:10 No comments:


Share

Friday, 3 February 2017


♡♡♡♡♡♡♡Quraan♡♡♡♡♡♡♡
☆♡♡♡ { Rozana Quraan ki Tilawat Karen }♡♡♡☆

Rasoole Akram sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya:


1. Tum me se behter wo shaksh hai jo Quran Majid ko sikhta aur sikhata hai.(Bukhari).
2. Jo Quran Majid ko khush alhafi se nahi padhta wo hum me se nahi (Bukhari).
3. Quran Padha karo kyun k Qayamat k roz ye apne Qari k liye “Shifarshi” ban kar aayega.(Muslim).
4. Jis k sine me kuch bhi Quran na ho wo aisa hai jaisa ujaad ghr.(Tirmizi).

☆ <3 ♡♡♡{ Quran}♡♡♡ <3 ☆


.
Quraan ki pukaar :/

Mujhe na bhoolna, Mere saath rehna, Apne dil mein rakhna, Mujhe yaad karna, Mujhe samjhna, Aur amal karna,kiu
ke Qayamat ke roz tumhe meri zaroorat ho gi. Allah Tala ham sab ko Rozana Quran ki tilawat karne aur us ko
samajh ker amal karne ki Toufeeq ata Farmaye Aameen.♡♡
☆ Sukon Dhondta Phirta Tha Me Baharon Me,
☆ Haseen Wadiyon Mei, Surmaye Nazaron Me,
☆Me Is Talash Mein Ja Phncha Chand Taron Main,
☆ Magar Ye Mujhe Mila Quran K 30 Paron Mein.

Sameera khan at 02:55 No comments:


Share

♡♡♡Acchi baatein♡♡♡
¤¤》Behtareen Insan Aamal Se Pehchana Jata Hai Warna 《¤¤
¤¤》 Acchi Baten To Diwaron Par Bhi Likhi Hoti Hain 《¤¤
⇨ ☆Dunya k liye itni Mehnat kar jitna tujhe yaha rahna hai.
⇨ ☆Aakhirat k liye itni Mehnat kar jitna tujhe wahan rahna hai.
⇨ ☆Allah ki Raza k liye itni koshish kar jitna tu us ka mohtaj hai.
⇨ ☆Gunah itna kar jitna tujh me Azab sehne ki taqat hai.
⇨ ☆Sirf usi Zaat se mang jo doosron ki mohtaj nahi hai.
⇨ ☆Jab tu Allah ki nafarmani kare to wahaja jahan wo tujhe na Daikhe.
♡Rozana raat ko sone se Qabl apne Gunahon ki muaafi Mang kar sone ki Aadat banalen, Aur Rozana sone se Qabl
is baat ka Muhaseba Karen k Aaj din ko Aap k Acche Aamal Zyada the ya Bure???
♡ Aap jab bhi koi Islami post padhe to dil me Aml ki Niyyat zaroor kiya Karen PlzAur ye dua Manga Karen k Allah
paak mujhe Hidayat den, Naik Aml ki Toufeeq den aur sidhe raste par qayem rakh, Aameen, Yaad Rakhiye Hidayat
bhi Unhi ko milti hai jo Hidayat Pana Chahte hon.

♡ Aasman par udte huwe parinde se kisi ne pucha “Kya tumhain zameen pargirne ka dar nahi?” us ne muskurakar
jawab diya “Main Insan nahi jo zara si Bulandi par ja kar Akad jaon nazrain merizameen par hi hoti hain”.

⇨ "Turn not thy cheek in scorn toward folk, nor walk with pertness in the land. Lo! Allah loveth not each braggart
boaster. Be modest in thy bearing and subdue thy voice. Lo! the harshest of all voices is the voice of the ass".
(Qur'an 31:18-19)
Ibn Masud (RA) said: The Prophet (peace be upon him) said: “The haughty, even with pride equal to a mustard seed
in hisheart, will not enter jannah.”
[Muslim]

Sameera khan at 02:47 No comments:


Share

☆☆☆Hadees e nabawi☆☆☆
Hazrath Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasoollalah Sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya ki:

Allah taala Qayamat ke din Farmayega ki:"Eh Aadam ke Baitey!! Mein Beemar hua to tune Meri khabar na li".

Wo kahega,"Eh parwardigar! Main Teri khabar kaisey leta Tu to Malik hai sarey Jahan ka"?

Allah Subhanahu Farmayega,"Tujh ko malum Nahi mera Falah Banda beemar hua tha tuney uski khabar Na li .Agar
tu uski khabar leta tu mujhe uskey Nazdeek pata ,

Eh Aadam ke betey !Mainey tujhse khana manga tune mujhe khana na diya"

Wo kahega"Eh Rab !Main tujhko kaisey khilata tu to Malik hai sarey Jahan ka"?

Allah subhanahu Farmayega"Tu Nahi jaanta mere falah Bandey ne tujhse Khana maanga tuney usko Na khilaya
agar tu usko khilata to uska Sawab mere paas pata,"

"Eh aadam ke baitey! mainey tujhse Paani maanga tuney mujhko na pilaya"

Banda bolega"Main tujhko kaisey pilata tu Malik hai sarey Jahan ka"?

Allah farmayega"Mere falah bandey ne tujhse Paani maanga tuney usko Nahi pilaya agar pilata to uska badla mere
paas pata".

Sahih Muslim , Vol 6, 6556

#JAZAKALLAHU KHAIR

Sameera khan at 02:43 No comments:


Share

☆☆☆Hadees e nabawi☆☆☆
Hazrath Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasoollalah Sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya ki:

Allah taala Qayamat ke din Farmayega ki:"Eh Aadam ke Baitey!! Mein Beemar hua to tune Meri khabar na li".

Wo kahega,"Eh parwardigar! Main Teri khabar kaisey leta Tu to Malik hai sarey Jahan ka"?
Allah Subhanahu Farmayega,"Tujh ko malum Nahi mera Falah Banda beemar hua tha tuney uski khabar Na li .Agar
tu uski khabar leta tu mujhe uskey Nazdeek pata ,

Eh Aadam ke betey !Mainey tujhse khana manga tune mujhe khana na diya"

Wo kahega"Eh Rab !Main tujhko kaisey khilata tu to Malik hai sarey Jahan ka"?

Allah subhanahu Farmayega"Tu Nahi jaanta mere falah Bandey ne tujhse Khana maanga tuney usko Na khilaya
agar tu usko khilata to uska Sawab mere paas pata,"

"Eh aadam ke baitey! mainey tujhse Paani maanga tuney mujhko na pilaya"

Banda bolega"Main tujhko kaisey pilata tu Malik hai sarey Jahan ka"?

Allah farmayega"Mere falah bandey ne tujhse Paani maanga tuney usko Nahi pilaya agar pilata to uska badla mere
paas pata".

Sahih Muslim , Vol 6, 6556

#JAZAKALLAHU KHAIR

Sameera khan at 02:42 No comments:


Share

Thursday, 2 February 2017


☆Acchi baatein ☆
☆☆☆ In Baton par Aml karlein In sha Allah Zindagi Aasaan Hojayegi ☆☆☆

★ Dunya ki Cheezein milne par khush na hona


★ Dunya ki Cheez mein nuqsaan hojaye toh ranj na karein.
★ Deen ka kaam karte hue koi tareef kare toh khush na hona
★ Deen ka kaam karte hue koi bura kahe toh ranj na Karein.
★ Allah Taala k Alawa kisi se koi ummeed na rakhain.
★ Kisi k sath bhi bhalayi karein toh Faqt Allah Taala ki raza k liye.
★ Koi bhi khwahish puri na hone par us mein apni behtari talaash karein.
★ Har insaan se khush gumani rakhein, aur kisi ki baat sun kar kisi se talluqaat kharaab na kare, bal k khud baat kar
k galat fehmi ko dur karein.
★ Khushi ka waqt ho ya gham ka, yahi sochiye k Aarzi hai Guzar jayega Aur
★ Aakhirat ki Zindagi na Khatam hone wali hai. ★

Sameera khan at 09:56 No comments:


Share

Acchi batein
Heart Touched line....🌹

Hazrat Abu Bakar Siddiq


‫عنه ﷲ رضي‬.
Said: Kisi ko DUKH dene wala kabhi KHUSH nahi reh sakta.

Hazrat Umar Farooq


‫عنه ﷲ رضي‬.
Said: Kisi ki be-basi pe mat hanso kal ye waqt tum par bhi aasakta hai.

Hazrat Usman Ghani


‫عنه ﷲ رضي‬
Said: Kisi ki Aankh tumhari wajah se num na ho Kyun ke Tumhe uss ke har Aansu ka QARZ chukana hoga.

Hazrat Ali ‫ عنه ﷲ رضي‬Said:


Mazloom aur Namaazi ki AAH se daro Kyun ke AAH kisi ki bhi ho ARSH ko cheer kar ‫للا‬
ّ ke paas jati hai.

Hazrat Abu Bakar Siddiq


‫عنه ﷲ رضي‬.
Said: "Us Din Pe Ansu Bahao Jo Tum Ne Naiki K Bina Guzara Ho."

Hazrat Umar Farooq


‫عنه ﷲ رضي‬
Said: "Zalimo Ko Muaf Karna Mazloomon Pe Zulm Hai."

Hazrat Osman Ghani


‫عنه ﷲ رضي‬.
Said: "Zuban Darust Ho Jaye To Dil Bhi Darust Ho Jata Hai."

Hazrat Ali ‫عنه ﷲ رضي‬. Said:


"Jahan Tak Ho Sakay LaLach Se Bacho,LaLach Mei Zilat Hi Zilat Hai.

Dusron ko iss tarah MAAF karo


jis tarah ‫للا‬
ّ tumhe MAAF karta hai.....
Is sms ko 1 dost ko zarur bhejna,

Kyuki Achchi baat batana bhi SADQA hai.

Sameera khan at 07:09 No comments:


Share

Wednesday, 1 February 2017


Qauoof aulaad ka
🌹🌹🌹🌹 ﷽ 🌹🌹🌹🌹

🌹Aaj Ki Acchi Baat🌹

Aulaad Jab Doctor Yaa Engineer Ban Jaaye To Maa Baap Unse Dar Dar Kar Baat Karte Hai, Ke Kahin Aulaad
Naraaz Na Ho Jaaye...

Lekin Wohi Aulaad Jab Allah Ke Deen Ko Samajhkar Aalim E Deen Ban Jaate Hai To Maa Baap Se Dar Dar Kar
Baat Karte Hai, Ke Kahin Waledain Naraaz Na Ho Jaaye !

Allah hmare jawanao ko deen ki samajh de aur maa baap ki izzat karne wala bnaye ...Aameen..!!!

Sameera khan at 19:26 No comments:


Share

Tauba
Tauba istegfaar me Jaldi karo

Sameera khan at 13:23 No comments:


Share

4 deeni batein
Dunya ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Walidain
♥ Dana Dost
♥ Naik Biwi
♥ Naik Aoulad.
Aakhirat ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sadqah
♥ Huqooqul Ibad
♥ Taqwa
♥ Ilm.
Jism ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Km bolna
♥ Km khana
♥ Km sona
♥ Km hasna.
Dil ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sabr
♥ Zikr
♥ Shukr
♥ Gour o Fikr.
Iman ki Zeenat Chaar Cheeze Hain
♥ Haya
♥ Pakeezgi
♥ Sacchayi
♥ Adl (Insaf).

Allah Ham sab ko Har Zeenat se Aarasta Farmaye Aameen. Ya Allah Ham Sab ko sirf Nasihat karne wala Nahi Aml
karne Wala Musalman Banade.
★•.•´¯`•.•★ A A M E E N ★•.•´¯`•.•★

Sameera khan at 13:19 No comments:


Share

Shadi k baad kistarha Rehan chahiye miya biwi ko


☆☆☆
Ekh Nojawan ki shadi hoti hai woh Apne Walid k paas jata hai k wo us k is Naye Azdwaj e Safar k liye barkaat ki
dua kare, Jab wo apne Walid k paas jata hai us ka Walid us se ekh Kagaz (paper)aur Qalam (pen) Maangtey hai.
Ladka shadeed hairangi k sath jata hai aur Matluba cheezein lekar aajata hai aur apne Baap k paas baith jata hai…..
Baap: Likho…
Beta: Kya likhu??
Baap: Jo ji main chahe likho, ☆Nojawan aik jumla likhta hai.
Baap kehta hai:
Issey mitado ,
Nojawan mita deta hai.
Baap: Likho…
Beta: Khudara aap kya chaahte hain?
Baap kehta hai: Likho…
Nojawan phir likhta hai….
Baap kehta hai: Issey bhi Mitado.
Phir
Baap kehta hai: likho,
Nojawan kehta hai:
Allah k liye mujhe batayen k ye sab kuch kya hai,
Baap kehta hai:Likho,
Nojawan likhta hai,
Baap kehta hai mitado
Ladka mitadeta hai.
♡♡ Phir baap us ki taraf daikhta hai aur usey thapki dete hue kehta hai,
Beta! Shadi k baad Eraser ki Zarurat hoti hai.
Sabar ki zaroorat hoti Hai, Agar azwaj e zindagi mein tumhare paas Rabar nahi hoga jis se tum apni Biwi ki galatiya
aur kotahiya mita aur muaaf karsako, Aur isi tarah agar Tumhari Biwi k paas Eraser na hua jis se wo tumhari
galatiya aur na pasndida batain mita sake, "Agar ye sab kuch na hua to tum apni Azdwaj e zindagi ka safar chand
dino main katam karloge".
Isliye miya aur biwi dono ko chahiye k ekh dusrey ki galtiyaao ko nazarandaaz karey aur acchaiyao ko dekhein.
Ekh dusrey ko muskurakar dekhna n sadqa hai ekh dusre k muh me ekh luqma me dalna sadqa hai aur Issey
MOHABBAT bhi badhti hai.

♥ ♥ ek Doosre se Muqabley ki Bajaye Maslihat se Kaam Lein ♥ ♥

Sameera khan at 13:07 No comments:


Share

SADQAH
♡♡♡{ Sadqa ki Fazilat}♡♡ ♡

Sadqa Jub Apne Malik k Hath se Nikalta hai to us Waqt 5 Jumle Kahta Hai:
♡1. Mai Fani Maal tha, tu ne Mujhe baqa Dedi.
♡2. Mai Tera Dushman tha, ab tu ne Mujhe dost Banaliya.
♡3. Aaj se Pahle tu meri Hifazat karta tha ab mai Teri Hifazat karunga.
♡4. Mai Haqeer tha tu ne Mujhe Azeem bana Diya.
♡5. Pahle mai Tere hath me tha, ab mai Khuda k Hath me Hun.

♡○♡○♡ Jab Tum Duniya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa de ker Allah se
Tijarat kiya karo.(Hazrat Ali R.A) ♡○♡○♡

☆☆☆ Har Acchi Baat ko Doosron tak Pohchana bhi Sadqa Hai ☆☆☆

Sameera khan at 12:52 No comments:


Share

Jahez
*Jo Jahez k liye Shadi karte Hain, wo Apne aap se puchain kya Shadi se pehle sasural k diye pe Guzar basar karte
the.

"Mat bhooliye aap bhi kisi bahen k bhai hain, Dunya hai pyaroo Jaisa karoge waisa bharoge".

Agar aaj aap kisi ki Bahen ko Izzat daingeto kal koi Aap ki bahen ko Izzat dega. Kaash k tere dil main utar jaye meri
baat.

* Jo Jahez o Jode ki Raqam leta ho Main nai Samajhto k us shaksh ki Izzat Na us k Biwi k Dil main rahegi na
Sasural walo k kyun k Ladki ko pata hai k us k walid ne kitni mehnat se paisa jama kiya tha is Faqeer ko dene k liye,
Na Biwi k dil main izzat na Sasural walo k dil main Mohabbat…. Baat sahi hai na??

Sameera khan at 12:49 No comments:


Share

Geebat
Geebat ek kabeerah GUNAH

Sameera khan at 12:46 No comments:


Share
Namaz
Namaz chodne ka GUNAH

Sameera khan at 12:40 No comments:


Share

Walidain k huqooq
Waldain Ke Huqooq}----------------------

ALLAH TALA KA Irshaad hai Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh
Dono , To Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna
Aur Kehte Rehna Ke
*Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala...

Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta,


Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan
Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Keliye Qud Apni Neend Qurbaan Kardi....

Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha,
Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana TalahNe Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn SulukAur Shukar Guzari Ka Hukum Diya
Hai, Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par,
Maal Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath
Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Qidmat karo, Budhape ,Ya
Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo, Baad
Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain,
Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge , Jis Tarah Aaj Woh
Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain IsiTarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge, Agar
Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki
Misal Badle ki KhushiLenge {insha Allah } Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski AulaadBhi Usski
Qidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti
Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge ........

Sameera khan at 12:31 2 comments:


Share

Hadees
******{ Irshadat-e-Nabi sallaallahu alaihi wasallam }******

* Tum me sub se zyada mujhe wo log Mahboob hai jo tum me Akhlaq k lihaz se sub se acche hai.(Bukhari)

* Us zaat ki Qasam jis k hath me meri Jaan hai jo kuch mai janta hu agar tum jante to Rote zyada aur Haste
kam.(Bukhari)

* Insan ko jo kuch ata hua hai us me sub se behter “Husne Akhlaq” hai.(Bahiqi)

* Taqwa aur Husne khalq k sabab Aksar log Jannat me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Zuban aur Shrmgah k sabab Aksar log Jahannam me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Qayamt k roz momin ki mizan me jo sub se Wazni cheez rakhi jaye gi wo Husne Akhlaq hai.(Abuda’ud)
* Duniya mal’oon hai aur jo kuch duniya me hai wo bhi mal’oon hai.(ibe maja)

* Aye allah! Mai tujh se ilm-e-nafe Aml Maqbool aur Pakiza rizq ki Darkhwast karta hu.(ibne maja)

* Mere baad logon me sub se badh ker Fayaz wo shaksh hoga jis ne ilm hasil kiya phir use pehlaya.(Bahiqi)

* Jis shaksh k sath Allah Tala bhalai chahta hai use deen me Samajh ata Farmata hai.(Muslim)

* Jo koi Allah Tala se milne ko psnd karta hai to Allah Tala bhi us se milne ko psnd Farmate hai.(Bukhari)

* Jo shaksh Allah ki Mulaqat ko na psnd karta hai to Allah bhi us ki Mulaqat ko na psnd karta hai.(Bukhari)

* Sub se behter islam us shaksh ka hai jiski zaban aur hath se Muslman mahfooz rahe.(Ahmed)

* Allah Tala duniya to us ko bhi deta hai jis se Mohabbat Farmata hai aur us ko bhi jis se Mohabbat nahi
Farmata.(Bahiqi)

* Allah Tala deen sirf usi ko ata karta hai jis se use Mohabbat hoti hai.(Bahiqi)

* Burai k baad Naiki karlo ta k Naiki burai ko mitade.(Tirmizi)

* Bokhl haya aur Iman dono kisi bande k Dil me bhi jama Nahi honge.(Nasai)

* Jub koi cheez tumhare dil me Tard’dud paida kare to use Chhod do.(Ahmed)

* Naiki kar k jis ko khushi ho aur Burai kark jis ko Gam aur Pachtawa ho to wo Momin hai.(Alhakim)

Sameera khan at 12:25 No comments:


Share

Dua qubool naa hona


********{ Dua Qabool Na Hone ki Wajeh }********

Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh, se kisi ne sawal kiya k hame kiya huwa k hamari dua qabool hi nahi
hoti toHazrat Ibrahim Bin Adham ra ne Farmaya is liye k tumhare dil 10 cheezonki waje se murda ho chuke hai,
Poochne wale ne pucha wo 10 cheezen kya hai? Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh ne Farmaya.
1.Tum Allah ko pehchante ho magar us kiIta’at Nahi karte.
2.Tum Rasulullah sallaallahu alaihi wasallam ko pehchante ho magar un ki sunnaton ki itteb’aa nahi karte.
3.Tum Quran ko pehchante ho magar us per Aml Nahi karte.
4.Tum Allah ki naimaton ko khate ho magar Shukr ada nahi karte.
5.Tum jannat ko pehchante ho magar us ko Talab nahi karte.
6.Tum dozakh ko pehchante ho lekin tumus se door nahi bhagte.
7.Tum shaitan ko jante ho lekin us se ladte nahi ho bal k tum uski mushabihat, karte ho.
8.Tum mout ko jante ho lekin uski tayyari nahi karte.
9.Tum murdon ko dafan karte ho lekin tum un se Ibrat hasil nahi karte.
10.Tum Neend se bedar ho ker logon k uyoob daikhne me mashgool hojate ho aur apen uyoob ko bhool jate ho.

Sameera khan at 12:22 No comments:


Share

Salaam
********{ Salaam "Quran-o-Hadees" Ki Raoshni Me }********

Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawabdo ya onhi Alfaz ko Loutado,
Beshak Allahtala har cheez ka Hisab lene wala hai.
(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur
Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo.
Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko
Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta
hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)

*Salaam Karna Sunnat Hai.


*Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai. Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me
Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.

*Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha " Assalamu
Alaikum" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi
Aaye aur kaha " Assalamu Alaikum warahmatullah" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya
aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya " Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh " Aap
Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood).

(yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi
muslim)

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu AlaihiWasallam ne Farmaya: “ Tum us
waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik
doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me
Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)

*Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur
Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .

* Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).

* Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).

*Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam
kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.

* Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.

* Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.

* Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq
Hoga.

* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz
Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi
aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, BalkeGunah ka Bais Hai.

*Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k logSalaam karenge sunnat samajh
kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen.

Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.

Sameera khan at 11:33 No comments:


Share
Nafil namaz
*VERY BENEFICIAL NAFL SALAAHS :*

*1) Tahiyyatul Wudhu*


• After Wudhu.
• 2 Rakaats.
_Benefit: Entitled to enter Jannat._

*2) Tahiyyatul Masjid*


• Upon entering Masjid & before sitting down.
• 2 Rakaats.
_Benefit: To honour ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*3) Ishraaq*
• Performed 15 minutes after sunrise.
• 2 or 4 Rakaats.
_Benefit: Thawaab of one Hajj & Umrah_

*4) Salaatul Chaasht*


• Some part of day (± 10:00am) has passed until Zawaal.
• 2; 4; 6; 8; 10 or 12 Rakaats.
_Benefit: Counted among the devotees_

*5) Awwabeen Salaat*


• After Maghrib Salaat.
• Minimum 6 and Maximum 20 Rakaats.
_Benefit: Sins forgiven even as much as the foam on the ocean_

*6) Salaatul Taubah*


• When the need arises.
• 2 Rakaats.
_Benefit: If certainly truthful and sincere ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫ ﷲ‬forgives_

*7) Salaatul Istikhaarah*


•may be read at any permissable time
• 2 Rakaats.
_Benefit: asking for the best decision from ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*8) Salaatul Hajaat*


• In time of need.
• 2 Rakaats.
_Benefit: When one is in need or in difficulty_

*9) Saffar Salaat*


• Performed at home before setting out on a journey.
• 2 Rakaats.
_Benefit: A person has not left anything better at home then these 2 Rakaats_

*10) Salaatul Tasbeeh*


• Any permitted time.
• 4 Rakaats.
_Benefit: A precious gift and valuable present and ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫ ﷲ‬forgives all minor, major, intentional, unintentional
and hidden sins_

*11) Tahajjud Salaat*


• After Esha, later part of night.
• Minimum of 2 Rakaats and Maximum of 12 Rakaats.
_Benefit: Glorify ‫ع َّز َو َجــــل‬
َ ͜‫_ﷲ‬

*Please forward msg and earn Rewards- Sadaqah Jaaria*

Sameera khan at 11:29 No comments:


Share

Islamic teaching
🌹The man who built the Titanic was asked, How safe would the Titanic be? With an Ironic Tone he said: "NOT
EVEN GOD CAN SINK IT" & we all know what happened to the Titanic..

🌹Tancredo Neves President of Brazil. During a campaign, he said he got 500,000 votes for his party, Not even God
would remove him from Presidency. Sure he got the votes, but he got sick & died a day before being made
President..

🌹Cazuza Brazilian singer & poet. During a show, while smoking his cigarette, he puffed out some smoke into the air
& said: "God that's for u". He died at the age of 32 of LUNG CANCER in a horrible manner..

🌹Allah SWT says in the holy Qur'an "Do not walk proudly on the earth: your feet cannot leave the earth nor are you
as tall as the mountains". Surah Isra (17:37)

Sameera khan at 11:15 No comments:


Share

Islamic Dua
🌹Put aside your pride, Set down your arrogance, And remember your grave. - Saying of Ali ibn Abu Talib (radi
Allahu anhu)
🌹Please take part in this & forward it to all Muslims and let everyone take part in the Dua.

🌹Ya Allah don't take my soul away until you are happy with me:
🌹Ya Allah give me a death of a shaheed.
🌹Ya Allah grant me death while I'm in sujuud.
🌹Ya Allah let the last words of my life be the Shahadah.
🌹Ya Allah If I die in my sleep let My heart beat the Zikr of Allah.
🌹 Oh Allah, the guider of the lost soul forgive the entire Muslim Ummah!
🌹Ya Allah Forgive my Parents, my Family, my Muslim Friends. Ameen Ya Rabb

🌹The fire in Jahanam will not touch the person who recites "Allahumma Ajirni Minan Naar" 7x after fajr &
maghrib. If u choose to forward this message, it will be a Sadqatul-Jaariya 4 u and me....

Sameera khan at 10:56 No comments:


Share


Home
View web version

Powered by Blogger.

Potrebbero piacerti anche