Sei sulla pagina 1di 108

HAQ Baat part Yazeed Lanti Hai Ahadith Aur

Tareekh Ki Roshni Mein Dekhte Hain

‫آئیے آج دیکھتے ہیں کہ یزید جنتی ہے‬


‫یا جہنمی ہے اور کیا اسکو رحیم ہللا‬
‫کہنا جائز ہے یا نہیں۔ آج احادیث اور‬
‫تاریخ کی روشنی میں دیکھتے ہیں‬
AAEYE AAJ DEKHTE HAIN YAZEED
JANNATI HAI YA JAHANMI HAI? AUR
DEKHTE HAIN KE YAZEED KO
RAHEEMULLAH KEHNA JAIZ HAI YA
NA'JAIZ HAI?

SAB SE PEHLE WO HADEES DEKHTE HAIN JIS


MEINLASHKAR KA ZIKAR AYA HAI. YE NICHAY
HADEES HAI. SAB PARHAIN TA KE PATA
CHALE KE ZAKIR NAIK KAISE HADEES KO
GHALAT TAREEKAY SE BAYAN KER RAHA HAI.
‫سب سے پہلے وہ حدیث دیکھتے ہیں جس میں سب سے‬
‫پہلے لشکر کا ذکر آیا ہے۔ نیچے حدیث کی ہے پڑھیں تاکہ‬
‫آپکو پتہ چلے کے زاکر نائیک کیسے ہللا کے نبی پر جھوٹ‬
‫باندھ رہا ہے۔‬

"Meri Umat Ka Phela Laskr Jo Qaiser Ke Shaher


Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai"

Hadees.
Ham se is'haaq bin yazeed damishqi ne
bayan kiya, kaha ham se yahya bin hamza ne bayan
kiya, kaha ke mujh se "THAUR BIN YAZEED" ne
bayan kiya, un se Khalid bin mah'dan ne aur un se
umair bin aswad ansi ne bayan kiya ke wo ebada bin
saamet radi Allah anho ki khidmat mein hazir hoey.
Aap ka qayam sahil hams per apne he aik makan per
tha. Aur aap ke sath(aap ki biwi) ummay haraam
radi Allah anha bhi thien. Umair ne bayan kiya ke
ham se ummay haraam radi Allah anha ne bayan
kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe
Wasallam se suna hai,
Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya tha ke:
"Meri Ummat ka sab se Pehla lashkar jo daryai safar
ker ke jahaad ke liye jaeyga, us ne (apne liye Allah
ki rahmat o maghfirat) wajib ker li. Ummay haraam
radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne kaha tha
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
Kiya mein bhi un ke sath hoongi?
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya ke haan tum bhi un ke sath hogi. Phir Nabi
kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya
"sab se pehla lashkar meri ummat ka jo qaisar ke
sheher per hamla krayga unki maghfirat hogi.
Mein ne kaha mein bhi un ke sath hoongi
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya ke Nahe.

Sahih Bukhari, vol 4. page 345, Hadees 2924.

‫حدیث کے صحیح ہونے پر اعتراضات‬


Some objection on correctness of hadees
This objection made by Maulana is'haq
1: Is hadees ki ravi sirf ummay haram binte melhaan
hain, kisi doosry sahabi ne issay rawayat nhe
kiya?
2: Is hadees ko bayan kerne wale saray shaami hain
baqi makkah, madina aur iraq ka koi bhi ravi nhe
hai is hadees mein.
3: Thaur bin yazeed al karahi jab madina mein aya to
imam malik ne kaha koi is k pass na baithay aur
na is se rawayat likhhay.
4: Asool e hadees hai ke koi admi koi aisi hadees
rawayat kray aur us admi ka talluk kisi khas groh
se ho aur uske ilawa koi aur na bayan kray to us
ki rawayat sahih nhe mani jaeygi kion ke
shuba hai ke us ne apne maslak ya aqeeday ki
hamaiyat ki ho.
5: Is hadees mein sabi naasbi hain.
‫دادا) جنگ صفین میں حضرت امیر معاویہ‬/‫ثور بن یزید کے(باپ‬
‫رضی ہللا تعالی عنہ کہ ساتھ تھے اور حضرت علی رضی ہللا‬
‫تعالی عنہ کے لشکر کے ہاتھوں قتل ہوئے‬
Thaur bin yazeed ke (baap/dada) jung e safeen mein ‫۔‬
hazrat ameer Muawiya radi Allah anho ke sath thy
aur Hazrat Ali radi Allah anho ke lashkar ke hathoon
qatal hoey
‫ثور بن یزید حضرت علی رضي ہللا عنہ کے بارے میں نام لیکر‬
:‫کہاکہ‬
‫"میں ایسے شخص سے محبت نہیں کرتا جس نے میرے‬
‫دادا) کو قتل کیا۔‬/‫(باپ‬
‫ راوی‬،‫ تقریب التدھیب‬،‫ اور ابن حجر‬،7 ‫ج‬،‫(طبقات سعد‬
)2 ‫ج‬،1057‫نمبر‬
thaur bin yazeed Hazrat Ali radi Allah anho ke baray
mein naam le ker kaha ke "mein aise shakhs se
mohabbat nhe kerta jis ne mere (baap/dada) ko qatal
kiya.
(tabqaat ibn sa'ad vol 7,,, ibn e hajar, taqrib
al,tahdheeb,
Rawi no 1057, vol 2.) Hazrat Ali aur Hazrat Ameer
Muawiya radi Allah anhum ki aik dosry se jungain
hoi aur thaur bin yazeed Hazrat Ameer Muawiya ki
army mein thy. To phir jab dushmani ho to Insan
kisi ki barrai bhi ker sakta hai dushman ko giranay k
liye..WALLAHU AALAM

‫ّللا علیہ وآلہ وسلّم نے فرمایاکہ "کوئی منافق علی‬


ّ ‫حضور صلّی‬
‫رضی ہللا تعالی عنہ سے محبت نہیں کرسکتا اور کوئی مؤمن علی‬
)4/213 ،‫رضي ہللا عنہ سے بغض نہیں رکھ سکتا۔ (جامع ترمذی‬
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshaad e
Mubarak hai ke:
"Koi munafiq Ali Radi Allah Anho se
mohabbat nhe ker sakta aur koi mo'min ali radi
Allah anho se bughaz nhe rakh sakta.
(jamiya trimzi 213/4)
‫جس نے علی سے بغض رکھا اس نے مجھ (محمد صلّی ہللا علیہ‬
‫وسلّم ) سے بغض رکھا اور جس نے مجھ سے بغض رکھا اس نے‬
‫ہللا سے بغض رکھا۔‬
9/109 ،‫یہ حدیث کا آخری حصہ تھا۔ مجمع الزوائد‬
Jis ne Ali se bughaz rakha us ne mujh(Hazoor
Sallallahu Alaihe Wasallam) se bughaz rakhha aur
jis ne mujh se bughaz rakha us ne Allah se bughaz
rakhha.
Ye hadees ka akhri hissa tha… majmuaz'zawaiyd.
109/9

Aisi he hadees ibn majah, nisai shareef, sahih


muslim, abu dawood mein bayan hoi hai lakin kisi
bhi hadees mein pehle lashkar ya us lashkar ki
maghfirat ki basharat nhe sunai gai jo qaiser ke
sheher per hamla kray ga.

Jab ke aisi he ahadees dosray raviyoun se sahih


bukhari mein bayan ki gai hai us mein bhi kisi
basharat ka zikar nhe aya hai

Sahih Bukhari, Vol 4, Page 327, Hadees 2894, 2895

In books mein bhi basharat ka koi zikar nhe aya hai


Reference available is here:

1: Sunnan Abu Dawood, Vol 2, Page 295,496,497


Hadees 718.719,720.

2: Sunnann Nisa'I, Vol 2, Page 967,969,


Hadees 1083,1084

3: Sahih Muslim, Vol 3, Page 340,342,343,344


Hadees 437,438,439,440

4: Sunnan Ibn Majah Vol 2, Page 728,


Hadees 933

Sab se pehle lashkar mein kaun


tha aaeye Tareekh parhte hain
YAZEED SAB SE PEHLE LASHKAR MEIN
TO NHE THA

Qaisar ka sheher koi bhi ho sakta hai. Missal ke


tor per qabras, rome qustuntuniya ye sab qaisar
ki badshahi mein ate thy. Is mein kisi khaas
sheher ki taraf ishara nhe kiya gia balke qaisar
ke sheher per hamla kerne ka farmaya gia.
Jaise 27 hijri mein ameer muawiya radi Allah
anho ne qaisar ke sheher qabras per behri
hamla kiya. Ab aaeen dekhte hain qaisar ke
sheher per hamlay hone ki Tareekh
‫اب آئیے دیکھتے ہیں کہ قیصر کے شہر پر حملے کس کس نے‬
‫اور کس کس سن ہجری میں کئے۔ سب سے پہال حملہ امیر معاویہ‬
‫ اور دوسرا حملہ جس‬،‫ ہجری میں کیا‬27 ‫رضی ہللا تعالی عنہ نے‬
‫ ہجری میں تھا۔‬42 ‫میں لشکر قسطنطنیہ تک پہنچ گیا وہ‬
‫پلیز غور سے پڑھیےگا سن ہجری اور اس میں شرکت کرنے‬
:‫والے لوگ‬

42Ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya


‫اس سال مسلمانوں نے الن اور روم سے جہاد کیا‬
Is saal musalmanoon ne laan aur rome se jehad kiya
aur unko shikast fash di. Aur batreekoon ki aik jamat
ko qatal kiya gia.
Tareekh tabri vol 4 page 32.

‫اس سال مسلمانوں نے الئنوں اور رومیوں سے جہاد کیا‬


Is saal musalmanoon ne lynoon aur romeon se jung
ki aur un ke amra aur generals mein se bahut se
admiyoun ko qatal ker diya gia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8 page 37
43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.
‫اس سال میں بسر بن ارطاط نے بالد روم سے جنگ کی حتی کہ‬
‫قسطنطنیہ کے شہر تک پہنچ گیا‬
Is saal mein busar bin artaat ne bilad e rome se jung
ki hatta ke qustuntunia ke sheher tak pohanch gia.
Aur waqdi ke khyal mein mausam e sarma un ke
mulk mein guzara.
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan.nahaya, vol 8,
page 37.

43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.

‫واقدی کے زعم میں ہے کہ بسر بن ارطاط نے اس سال روم سے‬


‫جنگ کی اور اسی سال سرزمین پرجھاڑوں کی فصل گذاردی اور‬
‫قسطنطنیہ تک پہنچ گیا۔‬
Waqdi ka zaham hai ke busar bin artaat ne is saal
rome se jung ki aur issi sar'zameen per jharroon ki
fasal guzar di aur Qustuntunia tak ponch gia.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 39.

‫دوستو! پتہ چالکہ پہال لشکر امیر معاویہ کے بعد جو رومیوں‬


‫ ہجری میں تھا۔‬42 ‫مطلب قیصرکے شہر والوں سے لڑنے گیا وہ‬
‫اور اگر قیصر کا شہرقسطنطنیہ ہی لینا مراد ہے تو تاریخ طبری‬
43 ‫اور تاریخ ابن کثیر البدایہ ولنہایہ کے مطابق بسر بن ارطاط‬
‫ہجری میں قیصر کے شہر قسطنطنیہ میں پہنچ گۓ تھے۔ تو اس کا‬
‫مطلب ہوا کہ بسر بن ارطاط واال لشکر جنّتی ہے۔‬
Dosto! Pata chala ke pehla lashkar ameer muawiya
radi Allah anho ke ba'd jo romeon matlab qaisar ke
sheher waloon se larrne gia wo 42 hijri mein tha.
Aur ager qaisar ka sheher qustuntunia he murad lena
hai to Tareekh tabri aur Tareekh ibn katheer ke
mutabik basar bin artaat 43 hjiri mein qaisar ke
sheher qustuntuniya mein pohanch gaey the. To is ka
matlab hua ke busar bin artaat wala lashkar jannati
hai.

44 ad mein bilad e rome per kis ne hamla


kiya?
Is saal mein abdur rahman bin Khalid bin walid radi
Allah anho ne bilad e rome ke sath jung ki aur
musalman bhi aap ke sath the. Aur unhoon ne
mausam e sarma wohi guzara. Aur issi mein busar
bin abi artaat ne samunder mein jung ki
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan,nahaya vol 8,
page 42

Is saal abdur rahman bin waleed ke sath musalman


bilaad e rome mein dakhil hoey aur sardiyoun ka
mausam wohi guzara aur basar bin artaat ne darya
mein jung ki.
Tareekh Tabri Volume 4, Page 62

45 ad mein kahan hamla hua.


Is saal ziyaad ke khurasani naib al.hukam bin umroo
ne ziyad ke hukam se jabal-al-asal se jung ki aur un
mein se bahut se logoon ko qatal kiya aur bahut se
amwaal maal e ghanimat mein hasil kiye.
Al.bidaya wa.nahay vol 8, page 45.

is saal abdur rahman bin Khalid radi Allah anho


rome mein sardiyaan guzari.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 70

46 ad mein bilad e rome per kis ne hamla


kiya?
Is saal musalmanoon ne apne ameer Hazrat abdur
rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ke sath
bilad e rome mein guzara. Aur baz ka qol hai ke
unka ameer koi aur shakhs tha.
Al.badaya wan.nahaya vol 8, page 46

Is saal maalik bin ubaidallah ne sar'zameen rome


mein sardiyaan guzari. Abdur rahman bin Khalid
radi Allah anho wa maalik bin habeera sakooni ka
naam bhi liya gia hai. Is saal abdur rahman bin
Khalid radi Allah anho rome mein hams ki taraf
aaey.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 70

47 ad mein musalmanoon ne kia kiya?


Is saal musalmanoon ne mausam e sarma bilad e
rome mein guzara. Aur is mein Hazrat Muawiya radi
Allah anho ne hazrat Abdullah bin umroo bin il-aas
radi Allah anho ko diyar e misar se mazool kr ke
hazrat muawiya bin khadij ko wahan ka hakim
muqarar kiya.
Al.bidaya Wan.Nahaya, Vo 8, Page 48.

Is saal maalik bin habeera na sar'zameen e rome


mein aur abu abdur rahman qaini ne intakia mein
sardiyaan guzari.
Tareek Tabri vol 4, page 71.

48 ad mein bilad e rome per kis ne hamla


kiya?
Is saal abdur rahman al.qutni ne musalmanoon ke
sath bilad e intakia mein mausam e sarma guzara aur
issi mein uqba bin aamir ne ahle misar se samunder
mein jung ki.
Al.bidaya Wan.Nayaha, Vol 8, Page 49.

Is saal maalik bin habeera sakooni ne darya mein


jung ki.
abdur rahman bin qaini ne intakia mein sardiyaan
guzari aur Abdullah bin qais fazari ne garmiyoun ka
jehaad kiya.
Tareekh Tabri Vol 4 , Page 72.

49 ad mein bilad e rome per kis ne hamla


kiya?
1:Is saal maalik bin habeera ne zameen e rome mein
sard mausam guzara.
2: Fazala bin ubaid ne jarya mein jung ki, fatah
hasil hoi aur bahut se qaidi haath aey.
3: Abdullah bin koza bijli ne garmiyoun mein
hamla kiya. Uqba bin nafeh ne darya mein jung ki
aur ahle miser ke sath sardiyaan guzari.
4: yazeed ne jung ki yahan tak ke qustuntuniya tak
pohanch gia.
Ibn abbas, ibn umer, ibn zubair aur abu ayyub ansari
radi Allah anhum us ke sath the.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 72
1: Is saal yazeed bin muawiya ne bilad e rome ke
sath jung ki. Hatta k sadat e sahaba radi
Allah anhum ki aik jamat ke sath jis mein
Hazrat ibn umer, hazrat ibn abbas, hazrat ibn zubair
aur hazrat abu ayyub ansari radi Allah anhum shamil
the qustuntunia pohanch gia.
2: Aur issi saal maalik bin habeera fazari ne
roomiyoun ke ilaqay mein mausam e sarma
guzara. Aur issi saal mein fazala bin ubaid ka
ghazwa hua.aur wohi mausam e sarma guzara aur
sheher ko fatah ker ke bahut si ghaneemat hasil ki.
3: Aur issi saal Abdullah bin karz ki garmai jung
hoi aur issi mein ta'oon ki waba koofa mein parri.
Al.bidaya Wan.nahaya, vol 8, page 49.

Yazeed pehla shakhs hai jis ne yaqoob bin sufiyan


ke qol ke mutabiq 49 ad mein qustuntuniya sheher se
jung ki aur khalifa bin khayat ne 50 ad bayan kiya
hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 290

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:


"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50
Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf
Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein
Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele
Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room
Phoncha To Wahan Aise Mouliq Bemari Ho gayi,Ye
Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne
Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar
Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke
Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga
Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye
Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To
Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi
Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed
Ki Biwi Thi.
{Ibne Aseer:3/189}
Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein Youn
Likhte Hain:
"Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke
Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne
Abbas,Ibne Omar,Ibne Zubair Aur Ayub
Ansari The Aur Ye Lashkar Shaher Ko
Fateh Karte Huwe Wahan Shaheed Ho
gaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein Itne
Jalil Ul Qadar Sahabi Un Ke Matehat
Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal
Na Tha"
{Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649}

Pahela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke


Ameer O Qaaid Sufiyan Bin Aouf The.
Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi
Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per
Jihad Kiya.
Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha
Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath
tha

50 ad mein bilad e rome per kis ne hamla


kiya.?
Aur isi saal busar bin artaat aur sufiyan bin oaf ne
sarzameen rome se jung ki aur isi mein fazala bin
ubaid ne behri jung ki.
Al.bidya Wan.nahaya. vol 8, page 66.

‫بسربن ارطاط اور سفیان بن ازدی‬


Is saal basar bin artaat aur sufiyan bin azdi ne
sar'zameen rome se jung ki aur ye bhi kaha jata hai
ke fazala bin ubaid ansari ne darya mein jung ki
Tareekh Tabri Vol 8 Page 73.

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:


"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50
Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf
Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein
Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele
Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room
Phoncha To Wahan Aise Mouliq(jaan laiwa) Bemari
Ho gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata
Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar
Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke
Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga
Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko
Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To
Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi
Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed
Ki Biwi Thi
{Ibne Aseer:3/189}

Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi


Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per
Jihad Kiya

@Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha


Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath
tha.
‫اب آئیے دیکھتے‬
‫ہیں کہ یزید لعنتی‬
‫کیسے ہوا؟‬
‫‪Yazeed lanti‬‬
‫?‪kaise hua‬‬
‫حضرت امام حسین رضی ہللا تعالی عنہ کا مقام اور شہادت‬
‫کی خبر پر مشتمل چند احادیث پیش ہیں اسکے بعد تاریخ کا‬
‫مطالعہ کریں گے۔ اس آرٹیکل میں واقعہ کربال‪ ،‬شہادت امام‬
‫حسین رضی ہللا تعالی عنہ کے بارے میں تفصیلی بات نہیں‬
‫کی گئ اور کیونکہ اس آرٹیکل کا مقصد یہ ہے کہ یزید پر‬
‫لعنت کرنا جائز ہے یا نہیں۔ اور کیا یزید کو رحمت ہللا یا‬
‫رحیم ہللا کہنا جائز ہے یا نہیں۔ اس لئے آج احادیث اور‬
‫تاریخ سے اس حقیقت کا پردہ اٹھائینگے۔انشاء ہللا۔ ذاکر‬
‫نائیک اور دیگر لوگ یزید کو صرف امام حسین علیہ‬
‫سالم کے حوالے سے بیان کرتےہیں اور اس کو جنّتی ثابت‬ ّ ‫ال‬
‫کرنے کی کوشش کرکے خود کو یزیدی ثابت کررہےہیں۔اب‬
‫تاریخ اور احادیث پڑھیں۔‬

HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH


ANHO KA MUQAM AUR SHAHADAT KI
KHABAR PER MUSHTAMIL CHAND
AHADEES PAISH HAIN IS K BA'D
TAREEKH KI STUDY KRTE HAIN

‫یا ہللا تو بھی حسین سے محبت کر‬


Ya Allah tu bhi Hussain se mohabbat ker
HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai
ke mein ne Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam
ko dekha. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat
hussain alaihessalam ko uthhaya hua tha aur ye
farma rahe thy:
"aey Allah mein is (hussain) se Mohabbat kerta hoon
tub hi is se mohabbat ker. Al'mustadrak
al'haakum,177/3

HADEES
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne Farmaya:
"Hussain mujh se hai aur mein hussain se hoon,
Allah us shakhs se mohabbat kerta hai jo hussain se
mohabbat kerta hai.
Jamiya trimdhi 219/2.
HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne hussain bin
ali radi Allah anhuma ke baray mein farmaya:
"jis ne is se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki"
Al'majum al'kabeer, 3, hadees no 2643.

HADEES
Hazrat Ayesha radi Allah anha se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jibrail e ameen ne mujhe khabar di ke ye mera beta
hussain mere ba'd muqam e ta'f mein qatal ker diya
jaey ga.
Al'majum al'kabeer,107/3, hadees 2814

HADEES
Aap ki ummat Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke is
betay hussain ko us sar'zameen per qatal ker de gi jis
ko karbala kaha jata hai.
Al'majum al'kabeer, 109/3, hadees 2819.

HADEES
Ummul mo'maneen hazrat ummay salma radi Allah
anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hussain bin Ali ko 60 ad ke akhir mein shaheed ker
diya jaey ga.
Tabrani fil awsat, 190/9

HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho aksar dua
farmaya kerte the:
"aey Allah mein 60 ad ki ibtada aur (ganwwar)
larkoon ki hakoomat se teri panah chahta hoon
Al'sawaiq al'harqa,221.

HADEES
Aal e Muhammad Sallallahu alaihe Wasallam ka aik
groh is maidan (karbala) mein shaheed hoga jis per
zameen o aasman roeengay.
Al'khasais al'kubra, 126/2, sar ash'shahadateen,
13

HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jis ne in (Hassan aur hussain) donoon se mohabbat
ki us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne in donoon se
bughaz rakhha us ne mujh se bughaz rakhha.
Al.bidaya wan'nahaya, vol 8, page 262.

HADEES

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:


"Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma
no'jawanane jannat ke sardar hain.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 263.

‫صہ‬
ّ ‫مختصر ق‬
‫کربال‬
SHORT DESCRIPTION OF
KARBALA
HADEESAIN
Quraish ke hathoon halaqat
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay
suna ke mera beta yanni Hazrat Hussain arz e
karbala mein qatal hoga aur tum mein jo shakhs us
moqa per mojood ho wo us ki madad kray.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page255

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai


ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya
ke "meri ummat ki halakat Quraish ke larkon ke
hathoon hai.
Mishkaat musabeh, vol 3, page 8, 5153,ba'hawala
sahih bukhari

Quraish aur bani ummiya


Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: "Ye
amer hamesha insaaf o ehtadaal ke sath qaiym
rahega, Hatta ke banu ummayya ka aik shakhs issay
torr de ga.

SUNNAT BADALNE WALA


Hadees
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an abi
khalda, an abil aalia, an abi zar rawayat ki hai, woh
bayan kerte hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu
Alaihe Wasallamko farmaty suna ke bila'shuba meri
sunnat ko badalne wala pehla shakhs bani umya se
hoga.

Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke darmiyan


munqatah hai. Aur baihaqi ne abu ubaida ki
mutaqadim hadees se issay tarjeeh di hai, woh
bayan kerte hain ke shak parta hai ke ye shakhs
Yazeed bin Muawiya bin abi sufiyan hai. Wallahu
Aalamu
Al.bidayah wan'nahaya Vol 6, Page 310

Hadees
Ro'yai ne apni musnad mein abu darda se rawayat
kiya hai ke mein ne Nabi Pak Sallallahu Alaihe
Wasallam se suna ke sab se pehle bani umayya ka
aik shakhs yazeed naami meri sunnat ko badlay ga.
Tareekh-ul-Khulafa Page 300
HADEES
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka
Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yahan Tk Ke
Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah
Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi
Syouti:142}

RAB E KA'ABA KI QASAM


Hazrat Umer Radi Allah anho ko farmatay suna ke:
Rab e Ka'aba ki qasam! Mujhe maloom hai ke arab
kab halaak hoon gay. Jab unka
muntazim(administrator) wo shakhs hoga jis ne
jahiliyat ka zamana paya hoga na ussay islam mein
tuqaddam hasil hoga.
Al.bidaya Wan.nahaya Vol 8 Page 294

‫حضرت معاویہ رضی ہللا تعالی عنہ کی‬


‫زندگی میں یزید کی بیعت کرنے سے‬
‫انکار‬
Hazrat muawiya ki zindagi mein yazeed ki
bait se inkar
Jab hazrat muawiya radi Allah anho ki zindagi mein
yazeed k liye bait li gai to hazrat hussain, hazrat
Abdullah bin zubair, hazrat abdur rahman bin abu
bakr, hazrat ibn umer aur hazrat ibn abbas radi Allah
anhum un logoon mein shamil the jinhoon ne uski
bait se inkar ker diya tha.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 196.

Yazeed ki taraf se ameer e Madina


waleed bin utba bin abi sufiyan ki taraf
khat
Yazeed ne Waleed bin utba ko likha: "amma ba'd!
Hazrat Hussain, Hazrat Abdullah bin Umer aur
Hazrat Abdullah bin zubair radi Allah anhuk ko
sakhti se bait ke liye pakarr lo aur is mein kisi qisam
ki narmi nhe hatta k woh bait ker lain
Wassalam
Al.bidaya wan.nahay, vol 8. page 191.

‫حضرت حسین رضی ہللا تعالی عنہ کومدینہ میں‬


‫یزید کا خط مال کربال سے پہلے‬
Hazrat Hussain radi Allah Anho ko Madina Mein
Yazeed ka khat mila
Waleed bin utba ne aap ko khat (letter) diya aur
hazrat muawiya radi Allah anho ki maut ki khabar
di. Aap neInna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon parha
aur farmaya Allah ta'ala ameer muawiya per reham
farmaey aur tujhe barra ajer de.
Pas ameer ne apko bait ki dawat di to Hazrat
Hussain radi Allah anho ne ussay kaha mere jaisa
shakhs posheeda bait nhe krta. Aur aap mujh se is ka
taqaza na karain. Lakin jab log ikathay hongy to un
ke sath hamain bhi bula lijiyega aur aik he baat hogi.
Walid ne aap se kaha aur wo h aafiyat pasand tha
Allah ka naam le ker wapis chalay jaeye aur jamat
ke sath wapis aaeye.
Marwan ne walid se kaha, Khuda ki qasam ager ye
tujh se juda ho gaey aur is waqt bait na ki to tumaray
darmiyan aur unke darmiyan qatlaam hoga. Unhain
rokiye aur bait kiye baghair jane na dijiye. Basoorat
e digar unhain qatal ker dijiye.
Hazrat hussain radi Allah anho ne kaha
aey ibn zarqa tu mujhe qatal krayga? Khuda ki
qasam tu ne jhoot bola hai aur gunah kia hai phir aap
apne ghar wapis aa gaey. To marwan ne walid se
kaha Khuda ki qasam is ke ba'd tu unhain kabhi nhe
dekhay ga.
Walid ne kaha aey marwan qasam bakhuda mein nhe
chahta ke duniya mafiha mere liye ho aur mein
Hazrat hussain radi Allah anho ko qatal kron.
SubhaanAllah, mein hazrat hussain ko is qol per ke
mein bait nhe krta qatal ker doon. Aur qasam
bakhuda mera yakeen hai ke jo shakhs hazrat
hussain radi Allah Anho ko qatal krayga qayyamat
ke roz uska tarazoo halka hoga.

(SubhaanAllah aik walid ka ye imaan ke Hazrat


imam ko qatal krne wale ka qayamat ke roz imaan
ka tarazoo halka hoga aur aik yazeed jis ne unko
qatal kradiya)
Yazeed bin muawiya ne walid bin utba ko is kotahi
ki wajah se madina ki amarat se mazool ker diya.
192 ‫ ص‬،8 ‫ ج‬،‫البدایہ والنہایہ‬
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 192.
‫ابن زیاد کا حکم امام حسین کے لیۓ کذاب بن کذاب‬
‫کو گالیاں دو۔‬
Ibn ziyad ka hukam kazab bin kazzab ko galiyan
do

Qais bin musaer sidawi hazrat hussain radi Allah


anho ka khat le kr koofa aaya jab woh qaadsiya
poncha to hasain bin numair saqfi ne ussay pakar ker
ibn ziyad ke pass bhejwa diya, ibn ziyad ne ussay
kaha, mahal ki choti per charr ker kazzab bin kazzab
bin ali bin abi talib aur usk betay hussain ko
galiyaan do.
Al.bidaya wan.nahaya vol 8 page 218.

‫شہادت امام حسین‬


‫مختصر الفاظ میں‬
Shahadat e Imam Hussain Mukhtasar alfaaz
mein
Yazeed 60 hijri mein hukamran bana

HADEES
"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho Ke
Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}
HADEES
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain
Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain
Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi (Jahanum Ke Sakt
Wadi) Mein Dalain Jain Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}
"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein
Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh Hi
Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein
Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}

Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte


Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Pahele Yazeed
Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare
Shahroun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz
O Akarib Mein Nav umar Larkoun Ko Muqarar
Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:pg180
Hassiya Bukhari}

HADEES
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is
Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko
Na Pasand Farmate The:
1: QabilaSaqeef
2: bani Hanifa
3: Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein Likhte
Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin
Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh 124000
Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat
Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad
Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal
Kiya

60 saal ke baad
HADEES
Hazrat saeed khadri radi Allah anho bayan kerte hain
ke : Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya
ke 60 saal ke ba'd bekhaber admi hongay, jo namaz
ko zaiya krain gay aur khawaishaat ki parivi krain
gay aur anqareeb halakat se do'chaar hongay. Jo
Quran parhain gay aur wo un ke galoon se agay nhe
jaey ga aur 3 admi Qur'an parhain gay mo'min, fasiq
aur faajir. Mein ne waleed se pocha ye teen admi
kaun hoon gay? Us ne kaha munafiq is ka inkari
hoga aur faajir is ke zariye khanna harrap kray ga
aur mo'min is per imaan laey ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 292

YAZEED NE IMAM HUSSAIN RA SE


JUNG KA HUKAM DIYA UBAIDULLAH
BIN ZIYAD KO
Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke likhne
per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik groh sath le ker
jis mein chand mard, auratain aur bachay thy, koofa
ko rawana hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim
Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka hukam
diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi waqas ke zair
kamaan 4000 hazar lashkar rawana kiya…… …
Khuda aap ke qaatil ibn ziyad aur yazeed per lannat
kray.
Tareekh-Ul-Khulafa Page 298

‫حضرت امام حسین رضی ہللا تعالی عنہ‬


‫کی حق پر ہونے کی قسم‬
Hazrat imam hussain radi Allah anho ki
qasam
Aap ne kaha (apne betay Ali bin hussain ko) qasam
hai ussi Khuda ki jis k pass sab ko jana hai. Ham haq
per hain. Ali bin Hussain radi Allah anhuma ne kaha
phir hamain kuch parwa nhe. Marain gay to haq per
marain gay.
Tareekh tabri jild 4.page 194

‫ابن زیاد کے قاصد‬


‫کی آمد‬
Ibn ziad ke qaasad ki amad

Har ko ibn ziad ka khat dia. Us mein likha tha "mera


qaasad aur khat jab tumain pohanchay to Hussain
radi Allah anho ko bahut tang krna. Unko aisi jagah
uterne dena jahan chatail maidan ho koi panah ki
jagah na ho. Jahan pani na ho. Dekho mein ne
qaasad ko hukam de diya hai who tum per nigran rhe
tumara sath na chhorray jab tak ye mere pass khabar
le kr na aey ke tum ne mera hukam poora kr diya
hai.
Wassalam
Har ne khat parh kr ansar hussain radi Allah anho se
kaha ke ye khat ameer obaidullah bin ziyad ka hai us
ne mujhe hukam diya hai ke jis muqam per mujhe
ye khat pohanchay wohi tum logon ko bahut tang
kroon aur dekho ye shakhs uska qaasad hai, isko
hukam hua hai k mere pass se na hattay jab tak ye na
dekh le ke mein ne ameer ki roy per amal kiya aur us
k hukam ko jari kia.
Tabri jild 4 page 195.
IBN ZIYAD KA PAIGHAM
JAWAIRIYA BIN BADR TAMIMI
KE ZARIYAY
Hasain bin numair ne bayan kiya hai ke saeed bin
ubaid ne mujh se bayan kiya hai ke ham umer bin
sa'ad ke sath pani mein naha rahay thy ke achanak is
ke pass aik admi aya aur usne us se sargoshi ki aur
us ne us se kaha ke ibn ziyad ne jaweriya bin badar
tamimi ko bheja hai aur ussay hukam diya hai ke
ager tu ne un (hussain) logoon ke sath jung na ki to
wo tujhe qatal ker de.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

(yaad rhe k ibn ziyad ne ibn sa'ad ko qatal krne ka


hukam diya aur aik khaas baat ke yahan bhi hukam
lane wali bani tamim ki aurat thi…Hazrat imam
hussain radi Allah anho ko aik shakhs jis ko hassain
bin tamim kaha jata tha aap ke taloo mein teer maar
ker chheed ker diya)

SHAHADAT IMAM HUSSAIN RA AUR US 


SE PEHLE HER BIN YAZEED HANZLA KA
IMAM HUSSAIN RA KE LASHKAR MEIN
SHAMIL HONA
Aap yazeed ki taraf chal parray to karbla muqam per
sawar aap se mile aur aap un ko Allah aur islam ka
wasta dete hoey utter parray. Rawi bayan krta hai ke
ibn ziyad ne umer bin sa'ad, shimmer bin zil joshan
aur hasain bin numair ko aap ke pass bheja. Aur aap
ne unko Allah aur islam ka wasta diya ke woh aap
ko yazeed ke pass le jaeen wo apna hath yazeed ke
hath mein rakh dain gy unhoon ne aap se kaha ke
aisa nhe ho sakta siwaey is ke aap ibn ziyad ke
faislay ko tasleem ker lain aur jo log un ke sath the
un mein her bin yazeed hanzalibhi sawaroon ka
sardar tha. Jab us ne imam hussain ki baat suni to us
ne un (yazeedion ) se kaha ke kiya tum Allah se nhe
darte? Kiya tum in logon ki in baton ko qabool nhe
krogy jo tumaray samne ye paish ker rahe hain.
Khuda ki qasam! Ager turk aur delam tum
se ye mutalba kerte to un ko wapis krna tumaray liye
jaiz na hota magar unhoon ne ibn ziyad ke faislay ke
siwa kisi aur faislay ko manne se inkar ker diya. Pas
us (her) ne apne gorray ko chabak mari aur hazrat
hussain k pass aa gia. Aur unhoon ne khayal kiya ke
wo in ke sath jung krne aya hai.aur jab wo un ke
nazdeek aya to us ne apni dhal ko palat diya aur
unhain salam kaha phir us ne ibn ziyad ke as'haab
per hamla ker diya aur un mein se 2 aadmion ko
qatal kiya phir khud qatal hogia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 221.

SHAHADAT IMAM HUSSAIN RADI


ALLAH ANHO
Rawi bayan kerte hai k wo uthh ker apne gorray k
pass gia aur us per sawar hogia phir us ne apne
hathiyar mangwa ker pehnay aur wo apne gorray per
sawar tha aur wo logoon ke sath unki taraf gia aur
inhooon ne(yazeedion) ne un ke sath jung ki aur
Hazrat Hussain Radi Allah Anho ka sar ibn ziyad ke
pass la ker us ke samne paish rakha gia wo apni
chharri ko apki naak per rakhh ker kehne laga
bila'shuba abu Abdullah siyah safaid balloon waly
hain.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

QATLEEN HUSSAIN KE NAAM


Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke
qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain
bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer
maar ker chheed ker diya
Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi


Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin
shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder)
kandhay per talwar maari aur daeen kandhay(right
shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr
ker wapis chale gay.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo al'tehri kaha


jata tha us ne Hazrat imam ke donon kandhoon ke
darmiyaan teer mara aur mein us teer ko aap ke
kandhon ke darmiyan aap ke jubbay ke sath latka
hoey dekh raha hoon
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223

Hazrat Hussain radi Allah anho ke qaatil kaun?


1: sanan bin abi Umroo bin anas nakha'i
2: Shimmer bin zil joshan
3:Umer bin sa'ad bin abi waqas
Ye mukhtalif rawiyoun ke qol hai qatleen Hussain
ke bary mein
Al.bidaya Wan'nahay, Vol 8, Page 241
NOTE
‫ضروری نوٹ‬
( kuch log kehte hain ke yazeed ki fauj ne hazrat
imam alaihessalam ko shaheed nhe kiya. Lakin
yahan ye baat clear ho jati hai ke ye as'haab yazeed
ki army ke the aur in ko ibn ziyad ne Yazeed ke
hukam ko poora kerne k liye he bheja tha. Aur
yazeedi army ke he her hanzla ne tauba ker ke imam
hussain alaihessalam ki taraf se yazeedi army per
hamla kiya tha.)

Yazeed Ke Darbar mein Imam Hussain RA Ka


sar e Mubarak Paish hona aur Us ki Gustakhi
Kerna
‫یزید کے دربار میں حضرت حسین رضی ہللا تعالی عنہ کا‬
‫سر مبارک پیش ہونا اور اس کی گستاخی کرنا‬
Yazeed ne logoon ko darbar mein aane ka hukam
diya. Log dakhil hoey kia dekha ke aap ka sar
yazeed ke saamne rakha hua hai, yazeed k hath mein
chharri hai woh aap k dantoon ko chharri se chair
rha hai aur ye keh rha hai ke in ki aur meri wo h
misaal hai jo hasain bin hamam mari ne kahi hai
Hamari talwarain apne he peyaroon ke sar urra deti
hain. Who b to barray nafarman aur barray zaalim
the.
As'haab e Rasool sallallahu alaihe wasallam mein se
abu barza aslami radi Allah anho ne ye dekh kr
kaha ….. aey yazeed teri chharri aur hussain radi
Allah anho ke dant! Array teri chharri kis muqam
per hai. Mein ne isi jagah ko dekha ke Rasoolallah
sallallahu alaihe wasallam choomte the. Sun rakh
qayyamat ke din tera hasher ibn ziyad k sath hoga
aur hussain radi Allah ta'ala anho Muhammad
sallallahu alaihe wasallam ke sath hoongay. Ye keh
kr wo h darbar se uthh kr chale gaey.
Tareekh tabri volume 4, page 240,

Pas yazeed ne hazrat imam radi Allah anho ke sar ko


apnea gay rakha aur us k pass hazrat abu barza
aslami bhi the aur yazeed chharri se aap ke chehray
per thhokain dene laga aur kehne laga:
" wo talwarain in murdoon ki khhoprion ko phharr
deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray
na'farman aur zaalim thy. Abu barza ne ussay kaha
apni chharri uttha lo' qasam Khuda ki mein ne
basa'oqat Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ko
apne mu ko in ke mu per rakh ker choomte dekha
hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8 page 253
Qoul E Abou Barzha:
"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne
Rakha Tu Us Ne Apni Chharri se imam Ke Laboun
Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per
Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte
The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu bargahe
Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf
Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un
Ke Haami Aqa Hun Ge"
{Seerat Halbiya:1/3}

Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko


Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed
Ke Pass Bheja To Yazeed Imam Ke Qatal Se
Awwalan Khush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad
Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada
Hoge,Mager Woh Us Khushi Per Ziyada Deer Tk
Qaim Na Raha tha Ke Phir Nadim Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}:
Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:
"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke
Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe
Kaha,Us Wajah Se Ainda Jub Haqeeqat Zahir Ho
gai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu
Usne Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bad Mein Us
Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak
Aib Ke Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}
yazeed ne hussain bin hamam al'marari al'shahr ka
ye shair parha
Wo talwarain in jawanoon ke saroon ko phorr deti
hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray
na'farman aur zaalim thy
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page 246

Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar laya gia to


yazeed chharri se thhoker dene laga, sufiyan ne
bayan kia hai ke mujhe bataya gia hai ke hassain is k
ba'd ye shair parhta tha:
Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki manind ho
gai hai aur Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam
ki beti ki koi nasal nhe hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247
‫یزید کا علی بن‬
‫حسین کو سانپ کا‬
‫بیٹا کہنا‬
Yazeed ka Ali bin Hussain ko saanp ka beta kehna

Saanp saanp ko he jannam deta hai


Aik din yazeed ne Umer Bin Hussain (imam) se
kaha wo bahut chhotay thy. Kiya tu is ke sath jung
kray ga. Yanni is ke betay Khalid bin yazeed ke sath,
us ka maqsad aap se mazah aur tafreeh kerna tha.
Umer bin Hussain ne kaha mujhe aur ussay aik aik
chharri de do ta ke ba'ham jung krain to yazeed ne
aapko pakor ker apne sath laga liya aur kehne laga,
mein saanp ki tabiyat ko janta hon, saanp saanp ko
he jannam deta hai.
(kiya yazeed ka ye kehna jaiz tha ke Nawasa e
Rasool ko saanp ko kehna? Allah uski akhirat kharab
kray aameen)
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 250

‫ابن زیاد کا شام کیطرف جاتے ہوئے قتل حسین پر‬


‫شرمندہ ہونا‬
Ibn ziyad ka shaam ki taraf jate hoey qatl e hussain
per shrminda hona
Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko
Rawana Howa,Sawari Per Kisi Ghari Soch Per
Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nind Nahe
Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya
Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka
Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha
Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta,

{Ibne Aseer:4/55}
‫ام لقمان بنت‬
‫عقیل رضی ہللا‬
‫تعالی عنہا کا نوحہ‬
UMME LUQMAN BINTE AQEEL RADI ALLAH ANHA
KA NOOHA
Jab ahle madina ko qatle hussain radi Allah anho ki
khabar pohanchi to binte aqeel radi Allah anho ibn
abi talib apne khandan ki auratoon ko sath liye hoey
niklein. Sar unka khhulla hua tha chadar ko sanbalti
jati thi. Aur ye keh rahe thi

"logo ! kiya jawab do gay paighamber ko. Jab woh


tum se pochhain gay ke tum ne paighamber akhiruz
zaman ki ummat ho ke meri izat aur mere ahle bait
ke sath mere ba'd kiya salook kiya, un mein se kuch
aseer (qaid) hain aur kuch aloooda khaak o khoon.
Tareekh tabri, volume 4, page, 241.

Jinoon Ka Nooha Kerna.


‫جنوں کا نوحہ کرنا‬
Abu Na'eem dalail mein hazrat Ummay Salma radi
Allah anha se rawayat kerte hain. Wo kehti hain
mein ne jinnoon ko Hazrat Imam Hussain radi Allah
anho ki shahadat per rotay aur nooha kerte suna hai.
Tha'lub apne amali mein abu janab kalbi se rawayat
kerte hain. Mein karbala mein ayaa to ashraaf e arab
se aik shakhs se mein ne poochha, mein ne suna hai
ke jinnaat ka nooha sunte rahe ho? Us ne kaha ye
baat to yahan tumain her shakhs jo milay ga, bata
dega. Mein ne kaha tum ne jo suna hai wo mujhe
bata do. Us ne kaha mein ne to ye shair sunay hain.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne un ke
chehra e Mubarak per hath phaira.
Isi waja se un ke rukhsaar chamak rahay hain.
Un ke waldain Quraish ke aala khandan se hain aur
un ke Nana behtareen khalqat hain.
Tareekh-ul-Khulfa, Page 300

Bani matlab ki aik aurat apne baal kholay aur apni


aasteen apne sir per rakhy bahir a ker un se mili aur
wo ro ro keh rahe thi
"Ager Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam tum se
kahain ke akhri ummat hoty hoey tum ne mere fout
hone ke ba'd mere ahle aur meri olad se kiya salook
kiya to tum kiya jawab do gay. Un mein kuch to
qaidi hain aur kuch khoon se lathhray parry hain. Jab
mein ne tumari khair khawahi ki hai to ye mera
badla nhe ho sakta ke tum mere rishta'daroon mein
burai se jan'nasheeni kro.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 253

AIK GHAIBI PUKAR JIS NE QAATLEEN


HUSSAIN K JAHANMI HONE KI KHABAR
MADINA MEIN DI
‫ایک غیبی پکار جس نے قاتلین حسین رضی ہللا تعالی‬
‫عنہ کے جہنمی ہونے کی خبر دی مدینہ میں‬
Madaini bayan kerte hain ke jab ahle harah qatal
hoey to Makkah mein Is shab ki shaam ko abu
qabees per aik haataf ne awaz di aur Hazrat ibn
zubair radi Allah anhuma baithay sun rahe the.
"Rozadar, farmanbardar,ebadat guzar, naik
hidayat'yafta, husn e salook kerne wale aur
kamiyaabi ki taraf sabqat kerne wale, waqam aur
baqeeh(jannat baqeeh 2 graveyard) mein kaise kaise
azeem aur khubsurat sardar aur yasrab(madina) ke
ilaqay mein kaisi kaisi rone aur chillane waliyan
hain' us ne naik ashkhaas aur naikoon ke bettoon ko
qatal ker diya hai jo ba'ruhb aur sakhi thy.
Al.bidaya wan'nayaha vol 8 page 283.

Jis roz hussain radi Allah anho qatal hoey ussi din
subah ko madina mein ye awaz ei ke hussain radi
Allah anho k qatlo! Tum ko azab o ruswai Mubarak
ho.
Tamam ahle aasman, malaik aur ambiya tum per
duaey bad kr rhe hain. Aur tum per dawood,Moosa
wa Issa alaihessalam ne lannat bheji hai. Umro bin
akrama kehta hai mein ne ye awaz sunni aur umroo
bin khair dam kalbi kehta hai ke mere baap ne bhi ye
awaz sunni thi.
Tareekh tabri volume 4 page 242/

Aur hishaam bin kalbi ne bayan kiya hai ke hamaray


baz as'haab ne ba'hawala umroo bin al'muqaddam
mujh se bayan kiya wo bayan kerta hai umroo bin
akrama ne mujh se bayan kiya hai kiya ke:
Jis roz hazrat imam hussain radi Allah anho qatal
hoey ham ne madinah mein uski subah ki to kiya
dekhte hain ke hamari aik londi ham se bayan ker
rahi hai ke mein ne guzishta raat se pehli raat ko aik
pukarne wale ko pukarte suna, wo keh raha tha:
" aey hazrat hussain radi Allah anho ko az'rahe zulm
qatal krne walo! Tumain azab o saza ki basharat ho,
tamam ahle aasman, Nabi, Maalik aur log tumaray
khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum per hazrat
dawood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel hazrat issa
alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai"
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 254.

Hazrat ummay Salma radi Allah anha farmati hain


ke mein ne jinnaat ko Hazrat Hussain Radi Allah
anho per Nooha kerte suna wo keh rahe the:
"aey hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle
aasman , Nabi, Musil aur log tumaray khilaaf
bad'dua ker rahe hain, tum hazrat daood, hazrat
Moosa aur sahib e anjeel alaihemussalam ki zuban
se lannat ki gai hai.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257.
YAZEED KA KIRDAR:

‫یزید کا کردار‬
‫مختصر الفاظ میں‬
In logoon ne madina aa ker ahle madina ke samne
yazeed ko sab o shitam krna shuru kiya. Kaha ke
ham aik aise shakhs k pass se ho kr aaeye hain jo
koi deen he nhe rakhta hai. Sharab peeta hai.
Tanboora bajata hai. Us ki sohbat mein gana gane
waliyan gana gaya bajaya krti hain. Kuttoon se
khailta hai. Lachon aur londion se sohbat rakhta hai.
Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay khilafat se
mazool kiya. Ye sun kr aur sab logoon ne bhi un ki
ittabah ki.
(is wafd mein Abdullah bin hanzla ansari ghusail
malaika radi Allah anho aur Abdullah bin umroo
makhzoomi aur munzar bin zubair aur bahut se log
ishraf madina mein se un k sath the.in sab ko inhaam
diya gia aur munzar bin zubair ko aik lakh dirham
inham diya gia.) Tareekh tabri jild 4 page 252
Munzar kaha krta tha Wallah yazeed ne aik lakh
dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook mujhe is
baat se nhe rok sakta ke us ka haal tum se na kahoon
aur sach sach na bayan kron. Wallah who sharab
peeta hai. Aisa mast ho jata hai ke namaz ka bhi
hosh nhe rehta
Tareekh Tabri Jild 4 page 253

Rawayat hai ke yazeed ganay bajane ke aalaat,


sharab noshi kerne, raag alapne, shikar krne, ghulam
aur londiyaan banana, kuttay palne, maindhon aur
reechhoon aur bandroon ke larrane mein mash'hoor
tha, her subah ko wo makhmoor hota aur wo zaindar
gorray per bander ko zain se bandhta aur wo ussay
chalata aur Bandar ko sone ki topi pehnata aur yehi
haal ghulamoon ka tha.
Aur wo gorr dorr krata aur jab koi Bandar mer jata
to us per gham kerta.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 298

Yazeed ganay bajane aur kuttoon bandron aur


cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha aik roz wo
shughal may'noshi ke liye baitha to us ke baeen (left)
janib ibn ziyad baitha tha, aur ye hazrat Hussain ke
qatal ke ba'd ka waqia hai, wo apne saqi k pass a ker
kehne laga
"mujhe wo sharab pila jo meri narm narm hadiyoun
ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad ko bhi aisa he
jam bher de jo mere nazdeek mera hamraz aur amen
hai……………..
Phir us ne singers ko hukam diya ke wo un ash'aar
ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru ker diya, yazeed
ke as'haab yazeed ki tarah bad'kirdar thy aur us ke
zamanay mein Makkah aur Madina mein ganay ka
dor dora tha.khail kood ke aalat istamal hone lagy
aur logoon ne khullay bandoon sharaab noshi shuru
ker di, us ke pass aik Bandar tha wo bhi mehfil
may'noshi mein mojood hota aur ussay takiya laga
ker deta aur wo barra khabees Bandar tha.
Tareekh E Masodi ,Vol 4, Page 98"
‫اہل مدینہ نے یزید‬
‫کی بیعت کیوں‬
‫توڑی؟‬
AHLE MADINA KA BAIT TORRNE KA SABAB

AHLE MADINA KE BAIT MANSOOKH KERNE


KA YE SABAB HUA KE YAZEED NE
GUNAHOON MEIN BAHUT HE ZIYADATI
SHURU KER DI THI, CHUNANCHAY WAQDI
BA'SANAD ABDULLAH BIN HANZLA BIN
GHUSEEL RADI ALLAH ANHO RAWAYAT
KERTE HAIN KE HAM NE US WAQT TAK
YAZEED KI BAIT FASAKH NHE KI YAHAN
TAK KE HAMAIN YAKEEN NA HOGIA KE
AASMAN SE PATHHAR BARSAIN GAY .
YAHAN TAK NOBAT POHANCH CHUKI THI
KE LOG MAOON (MOTHERS), BETIYOUN
AUR BEHNOON SE NIKAH KERTE THY AUR
SHARAB PEETAY THY AUR NAMAZ
WAGHAIRA CHHORR BAITHY THY.
TAREEKH-UL-KHULAFA PAGE 301

‫اہل مدینہ کا مروان کے گھر‬


‫کا محاصرہ‬
Marwan ke ghar ka muhasira (mukhtasar
qissa)
Yazeed ko khalafat se mazool kr ke ahle madina ne
Abdullah bin ghaseel malaika se jab bait kr li to
usman bin Muhammad bin abi sufian aur is k sath he
tamam bani umiya aur un k mawali aur ham khayal
quraish mein se jitney madina mein mojood the sab
per (ahle madina ne) hamla kr diya. Ye sab hazar
admi hongy wahan se nikal kr marwan k ghar ki
taraf aeye. Logoon ne us ka muhasra kr liya. Aur ye
muhasra bahut kamzor tha. Bani ummiya mein se
marwan aur umer bin usman bin afaan radi Allah
anho ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt
marwan he woh shakhs tha jo in sab ka sarkarda tha.
Umer bin usman to aik kamsin larka tha uski roy na
thi. Yazeed ko khat mila. Yazeed ne umroo bin
saeed ko logoon ko le kr us tarf jane ka hukam diya.
Us ne inkar jaisa jwab diya.
Tareekh Tabri jild 1 page 254

‫یزید نے مسلم بن‬


‫عقبہ کو مدینہ پر‬
‫حملہ کرنے کا حکم‬
‫دیا‬
Yazeed ne muslim ko Madina per hamla ka
hukam diya

Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per


Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin
Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us
Ne Kaha Ke:"Khuda Ki Qasam!! Mein Is Fasiq
(Yazeed) Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal (Jo Phele
Kar chuka Hun) Aur Ka'be Mein Larai Dono Ko
Apne Liye Jama Nahi KarunGa"
To Us Ne Mazrat Kardi.
{Ibne Aseer:4/45}

Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala


ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain)
zindagi ka kiya maza! Uttho aur logoon ko le kr
rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz
ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke
area ko hijaz kehte hain) ki taraf rawana ho. Aao
apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so
dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye
jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k
liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne
likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne
ko rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is faasaq ke
liye mein ye do do 2 2 gunah apne sar na loonga.
Aik to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke
Nawasay ko qatal kron dosra khana ka'ba per hamla
kron.
Phir ye lashkar Muslim bin uqba ki sarkardagi mein
yazeed ki taraf se rawana hua.
Tareekh Tabri vol 4 page 255

Yazeed ne muslim bin uqba ki nigrani mein shaami


fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim ne ahle
Madina ko khaufzada kiya loota aur qatal kiya aur
wahan ke logoon ne is baat per bait ki ke wo Yazeed
ke ghulaam hain aur us ne Madina ka naam (natna)
"badbu'dar" rakhha halanke Rasoolallah Sallallahu
Alaihe Wasallam ne is ka naam taiyyeba (Pak saaf)
rakhha.
Tareekhe Masodi Vol 3, Page 99.

‫یزید کی مسلم بن عقبہ کو‬


‫مدینہ پر حملہ کرنے کی‬
‫ہدایات اور مدینہ کو تین دن‬
‫تک مباح قرار دیا‬
YAZEED KI MUSLIM BIN UQBA KO
INSTRUCTION:

Yazeed ne muslim bin uqba ko hukam diya ke tum


per kuch ban jaey to lashkar ka raees hasain bin
numair ko bana. Aur logoon ko 3 din tak mohlat
dena. Maan jaeen to maan jaeen warna un se qataal
krna. Jab tum ko ghalba ho jaey to 3 din tak madina
ko lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur ghala
sab lashkar waloon ka hai. 3 din k ba'd lootna band
krna aur Ali Bin Hussain radi Allah anho se rahayat
(concession) krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne
pass baithana. Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki
woh us mein shareek na the. Mere pass unka khat
aya tha.
Tareekh Tabri vol 4 page 256

Yazeed ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle


madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena, ager wo
rajooh karain to un ki baat qabool kerna aur un se
baz rehna, basoorat e digger Allah se madad talab
kerna aur un se jung kerna aur jab tu un per ghalib aa
jaey to 3 roz tak madina ko mubah ker dena phir
logoon se baz rehna.

Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 279.

‫اہل مدینہ اور مسلم‬


‫بن عقبہ یزیدی کی‬
‫جنگ‬
Ahle madina aur uqba ki jung

‫حرا کی جنگ‬
Hirah ya hurrah ki jung

Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath le kr


zameen sarah ki taraf harkat ki aur koofa ki rah
per pohanch kr apna sara parda nasab kiya. Phir
sawaron ka rasal bhej kr ibn ghaseel (ahle
madina) ke muqable mein bheja. Ibn ghaseel ne
apne as'haab ko sath le kr sawaroon per hamla
kiya.
Phir ahle shaam (yazeedi
fauj) ne ahle madina per hamla kia. Aisi gumsaan
ki jung hoi k us zamane mein aisi kam he hoi
hogi. Teeroon ka meena ahle madina per barasna
laga.(kitne sahaba e karam yazeedion ke hathoon
shaheed hoey)
Tareekh Tabri vol 4 page 260

Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke


mashriq harah mein utter gia aur 3 roz tak us ne
wahan ke bashindoon ko dawat di. Lakin sab ne
jung ke siwa kisi baat ko tasleem kerne se inkar
ker diya.(3 din k ba'd sulah kalam hoi lakin baat
na bani). Yazeediyoun aur ahle madina ke
darmiyan shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne
shikast khai. Donoon taraf se bahut se sadat
wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat Abdullah
bin mateeh aur un k 7 betay unki ankhoon ke
samne qatal hoey. Aur Hazrat Abdullah bin
hanzilatul naseel aur un ke maa jaey bhai
Muhammad bin sabit bin shimaas aur
Muhammad bin umroo bin hazam qatal ho gaey.
Jab wo bichhray parray thy to marwan aap ke
pass se guzra aur kehne laga Allah aap per
reham kray, kitne he satoon hain jin ke pass mein
ne aap ko taweel qayyam o sajood kerte dekha
hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 280.

Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh


al'adadi aur Abdullah bin hanzla al'nasil ansari
thy. Is azeem jung mein bani hashim aur deeger
Quraish, ansaar aur doosry logoon mein se
beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un mein
Abdullah bin abi jaffar bin abi talib aur jaffar
bin Muhammad bin ali bin abi talib thy. Aur aale
abi talib ke alawa bani hashim se fazal bin abbas
bin rabia bin haris bin abdul matlib, aur hamza
bin Abdullah bin nofal bin haris bin abdul matlib
aur abbas bin utba bin abi lahab bin abdul
matlab maray gaey. Aur digger Quraish se 90 se
ziyada admi aur itne he ansaar ke admi maray
gaey aur jo log shumaar mein nhe aa sake un ko
chhorr ker digger logoon mein se 4000 admi
maray gaey. Aur logoon ne is per bait ki ke wo
yazeed ke ghulam hain aur jis ne is baat ko
man'ne se inkaar kiya us ne Ali bin hussain Bin
Ali aur Ali bin Abdullah bin Abbas ke siwa
talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein
Muhammad bin aslam kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to
ham islam ki khatir qatal hone wale pehle log
hain ham ne tumain badr ke roz zaleel ker
chhorra tha aur ham apni talwaroon ko is haal
mein le ker lotay thy ke wo tumaray khoon se
badbudar ho gain thien.
TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100
‫مدینہ میں تین دن‬
‫تک لوٹ مار کرنا‬
‫اور معصوم لوگوں‬
‫کا قتل کرنا اور‬
‫عورتوں سے زنا‬
‫کرنا یزیدی آرمی کا‬
‫‪MADINA MEIN 3 DIN TAK LOOT MAAR‬‬
‫‪AUR AURATOON SE ZINA KERNA YAZEEDI‬‬
‫‪ARMY KA‬‬
Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot
shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko
qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
Tareekh Tabri Vol 4 page 261

Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba


kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na
kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din
ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik
jaza na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko
qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko
loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian)
ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida
hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal
kiya gia un mein hazrat ma'qal bin sanan bhi thy.

Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim


bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya
aur wo jis shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur
amwaal ko loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte
hain ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar
auratoon ko hamal (pregnant) hogia.

Almadaiyni ne ba'hawala abi qurta


bayan kiya hai ke hishaam bin Hassaan ne bayan
kiya hai ke mar'raka(adventure) harah ke ba'd ahle
madina ki aik hazar auratoon ne khawand ke
baghair bachoon ko jannam diya. Aur sadaat sahaba
radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro'posh ho gai.
Ansaar aur muhajreen ke 700
sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad
aur ghulam waghairham ko mein nhe janta wo 10
hazar thy.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, pages 280.281,282

63 ad mein yazeed ko khaber mili ke Ahle Madina


ne us ki bait fasakh ker di aur us se baghi ho gaey
hain . us ne forum aik lashkar jarar un se larrne ke
liye rawana ker diya aur kaha un se larrne ke ba'd
Makkah mein Ibn Zubari radi Allah anho se jung
krain , chunanchay Madina ke baab taiyyaba per
jung herah hoi aur jung bhi kaise hoi is ka zikr krte
hoey aik dafa Hassan basri kehte hain koi shakhs
aisa na tha jo is lashkar ke gazand se mehfooz raha
ho.
Bahut se Sahaba radi Allah anhum aur digar log bhi
is jung mein shaheed hoey. Madina munawra ko
loota gia aur sharam o hayya ke daman chalk kiye
gaey . Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon. Halanke
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshad
hai jis ne Ahle Madina ko khauf'zada kiya , Allah
usko khaufzada kray ga aur us per Allah ta'ala , us
ke tamam farishtoon aur tamam logoon ki lannat
hogi.
Rawah muslim
Tareekh-ul-Khulafa page 301

Madina mein 700 hifaaz aur 300 as'haab shaheed


hoey
Abdullah bin wahb ba'hawala Hazrat malik
rahmatullah alaihe bayan kerte hain ke hurrah ke roz
700 haafiz e Quran shaheed hoey, mera khayal hai
ke Aap ne farmaya 300 Rasoolallah Sallallahu
Alaihe Wasallam ke as'haab thy. Aur ye waqiyah
yazeed ki khilafat mein paish aaya.
(yazeed ke hukam per muslim bin uqba ne Madina
per hamla kia.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 6, Page 316

Yazeed k lashkar ne Hazrat Abu SAEED KHUZRI


nabeena the unki dadhi pakad k thappad mare
masjid-e-nabwi me azan muattal kardi
ikamat muattal kar di namaz muattal kar di 3 din
MUSTAFA (saw) k mazar par Azan nhi hui aur har
kitab me ALBIDAYA WANnnihaya,
Tareekhe Tabri me Tareekhe khulafa me
IBNEASEER me tareekhe GALOOM me
TAREEKHE ZAHBI me har seerat ki aur
TAREEKh ki kitab me darj hai

MUSLIM BIN UQBA KI MAUT.

‫مسلم بن عقبہ کی‬


‫موت‬
Muslim bin uqba merte waqt ibn numair ko wasiyat
krta hai k khabron ko chhupaey rakhna, kisi Quraishi
ki baat kabhi na sunna. Ahle shaam ko dushman ke
muqable se kabhi hatne na dena. Ibn zubair radi
Allah anho faasaq se larrne mein 3 din se ziyada dair
na krna. Is k ba'd kaha:
Khuda wand! Shahadat "La Ilaha Illallah
Muhammadur Rasoolallah" ke ba'd ahle madina se
qatal krne se barh ker koi aisa amal e khair aisa mein
ne nhe kiya jis per mujhe naaz ho aur jis per akhirat
mein mujhe bharosa ho.

Tareek Tabri vol 4 page 264. 64ad

Yazeed ke hukam ke mutabiq Muslim bin uqba


Makkah per hamla kerne ke liye nikla to wo qadeem
muqam per pohancha to muslim bin uqba mer
gia……………………………………

TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102

‫ابن نمیر کی مکہ‬


‫مکرمہ پر فوج‬
‫کشی کرنا‬
Ibn Numair ki
makkah per fauj kashi
Muslim ke merne k ba'd ibn numbair lashkar ko liye
hoey ibn zubair radi Allah anho se larrne ko makkah
ki taraf rawana hua. Aur yahan tamam ahle makkah
aur ahle hijaz(ibn zubair) se bait kr chukay the

Ibn zubair radi Allah anho ne apne bhai munzer radi


Allah anho ko kuch logoon k sath qataal krne k liye
rawana kiya. Aik sa'at tak unhon ne bahut shaded
jung ki. Isi asna mein aik shaami ne unhain apne
muqablay ke liye bulaya. Shaami khachar per sawar
tha. Munzer radi Allah anho uski taraf barhay. Aik
ne dosry per hamla kiya. Donon ke waar kari par
gay. Donon be'jan ho ker gir pary. Is k ba'd ahle
shaam ne bahut sakht hamla kiya. Ibn zubair radi
Allah anho sabit qadam rhe. Is k ba'd ahle shaam
maah muharam aur aur kul maah safar tak ibn zubair
radi Allah anho se qataal krte rahe.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 265


‫یزیدیوں کا خانہ‬
‫کعبہ پر سنگ باری‬
‫کرنا‬
KHANA KA'BA PER SANG BARI:
Rabi'ul awal 64 ad ki teesri 3 tareekh
roz'shanba in logoon (yazeedion) ne khana ka'aba
per manjaneeq se pathhar barsaey aur aag laga di aur
ye rajarr(shair) parhte jate the "ye manjneeq aik
shutter mast hai ke ham is se ka'ab per nishana laga
rhe hain"

umroo bin aws sidohi yehi kehta jata tha.


Zara ummay faroha ko dekhna ke safa wa marwah
ke darmiyan logoon ko nishana bana rahe hai.
Ummay farwah us ne manjneeq ka naam rakhha hua
tha.
Muslim ke dafan hone k ba'd ibm
numair muharam ki taisween 23 ko makkah ki taraf
rawana hua aur muharam ki chhobees 26 ko
makkah pohancha. 64 din tak Ibn Zubair radi Allah
anho ka muhasra kiye rakhha azza rabi'ul akhir ko
yazeed ke merne ki khabar sun ker muhasira uthha
liya.
Tareekh Tabri Vol 4 Page 265

Unhoon (yazeediyoun) ne ka'aba per manjneeq nasb


ker dein aur un se aag ke golay bhi phhainkay aur
hafta(Saturday) ke roz Baitullah shareef ki diwarain
jal gaien. Ye qol waqdi ka hai aur wo kehte hain
ke: "is ka gophhan phhatti hoi jhaag'dar cheez
ki manind hai jis se is masjid ki diwaroon per
sang'bari ki jati hai.
Aur umroo bin hotatus sadosi kehta hai: "tu ne
ummay farwa ki karwai ko kaise paya us ne inhain
safa o marwa ke darmiyan pakar liya. Ummay
farwa aik manjneeq ka naam hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.

Pass manjneeqooon ke pathhar pe dar pe baitullah


per barasne lagay aur pathhroon ke sath aag aur
matti ka tail (oil) aur kataan ke tookray aur digar
jalne wali cheezain phainki jane lagi, ka'aba gir gia
aur is ki amarat jal gai aur aik bijli giri jis ne
manjneeqoon ko chalane wale 11 admiyoun ko jala
ker rakh diya aur baz kehte hain ziyada admiyoun ko
jala diya.
Ye waqiya yazeed ki maut se 11 din pehle ko hua.
Ibn zubair aur ahle Makkah ki halat bahut kharab ho
gai. Aur pathhroon, aag aur talwar se musalsal aziyat
di ja rahi thi. Is baray mein abu dajza madni kehte
hain
Ibn numair ne bahut he bura kaam kiya us ne
muqaam aur musalla ko jala diya hai.
TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102

‫خانہ کعبہ میں‬


‫ آگ‬،‫آتس زنی‬
‫لگنا‬
KHANA KA'ABA MEIN AATISH
ZANI:
Khana ka'aba ke jalne ka incident yazeed ke merne
ke 29 din pehle hua. Log us ke ird gird aag sulgaya
krte the. Hawa chali.
Aik changarri urr ker ghulaf e ka'aba per ja parri.
Chobina jal gia. Roz'shanba rabi'ul awal ki teesri 3
ko ye waqia guzra.
Urwa bin azeena ussi din apni maa ke sath makkah
aeye the. Unhoon ne ka'aba ko be'libas aur rukan
hateem ko jhalsa hua aur teen 3 jagah se tarka hua
dekh ker logoon se pochha ke ye kiya museebat
ka'aba per I hai? Unhoon ne ibn zubair radi Allah
anho as'haab mein se aik shakhs ki taraf ashara ker
ke kaha "us shakhs ke sabab" se ye hadsa hua. Us ne
burchhi ki noke se aik angara ko utthaya aur hawa
ussay urra le gai. Ghulaf e ka'aba mein rukne yamani
wa aswad ke darmiyan aag lag gai.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 266

Baz ka qol hai masjid ki diwarain is liye jal gaeen ke


ahle masjid ka'aba ke ird gird aag jalane lagay, pas
ka'aba ke aik parday ko aag lag gai jo iski lakriyoun
aur chhattoon tak ponch gai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.

Manjneeqoon ke pathar pe dar pe Baitullah per


barasne lagay aur pathroon ke sath aag aur matti ka
oil aur kattan ka tookray aur diggar jalne wali
cheezain phhainki jane lagi, Ka'aba mun'hedum ho
gia aur us ki amarat jal gai

Tareekh Masaudi Page 102.

Yazeed ne us ki jagah kisi aur shakhs ko ameer


banaya. Akhir 64 hijri maah safar mein unhoon ne
Makkah ka muhasira ker liya aur ibn zubair radi
Allah anho se jung shuru ker di aur manjneeq se
pathar marne lagy aur un ki aag ke sholoon se
Ka'aba ke parday, chhat aur us danba ke seeng jal
gaey jo Hazrat Ismail Alaihessalam ka fidya bana
ker bheja giya tha. Aur jo us zamanay se Ka'aba ki
chhat per latkay chale aate thy.

Tareekh-ul-Khulafa Page 302


Yazeedion aur kharjion mein koi farq
nhe hai
Ibn Zubair radi Allah anho ne ibn numair se kaha
qareeb a mien tujh se kuch batain kronga. Aur ye us
se batain kr rhe the k un k gorron mein se kisi gorray
ne laid ki, haram ke kabooter laid per giray. Ibn
numair gorray se utter kr kabootron ko bachane laga.
Ibn zubair radi Allah anho ne kaha ye kiya ker rhe
ho?
Kaha aisa na ho ke haram ka koi kabooter gorray ki
top se kuchal jaey.. kaha wah kabooter ke qatal se to
perhaiz hai aur musalmanoon ke qatal per amada
hai.

Tareekh Tabri Vol 4 Page 266


‫کیا وہ امت جنہوں‬
‫نے حسین کو قتل‬
‫ کیا وہ یوم‬،‫کیا‬
‫حساب کو انکے نانا‬
‫کی شفاعت کی امید‬
‫رکھتی ہے‬
KIYA WO UMMAT JINHOON NE HUSSAIN
KO QATAL KIYA:

Logoon ka aik groh aik ghazwa mein bilad e room ki


taraf gia to unhoon ne aik kaleesa mein likha dekha:
"kiya wo ummat jinhoon ne Hussain Radi Allah
Anho ko qatal kiya hai, yaum e hisaab ko un ke
Nana ki shafa'at ki umeed rakhti hai?
Inhoon ne un se pocha ye shair kis ne
likha hai, unhoon ne kaha ye aap ke Nabi ki ba'sat se
300 saal pehle ka likhha hua hai, rawayat hai jin
logoon ne aap ko qatal kiya unhoon ne wapas aa ker
sharab noshi kerte hoey raat guzari aur sar un ke
pass tha to aik ahni qalam un ke samne namoodar
hua aur us ne un ke liye diwar per ye shair likhha:
Kiya wo ummat jis ne Hussain Radi Allah Anho ko
qatal kiya, yaum e hisaab ko un ke nana ki shafa'at
"ki umeed rakhhti hai?
Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 256

Hazrat ibn abbas Radi Allah Anho bayan kerte hain


ke mein ne do'pehar ko khawab mein Rasoolallah
Sallallahu Alaihe Wasallam ko para'ganda mu
ghubar aalood halat mein dekha aur Aap Sallallahu
Alaihe Wasallam ke Pass aik sheeshi hai jis mein
khoon hai, mein ne kaha Ya Rasoolallah Sallallah
Sallallahu Alaihe Wasallam mere maa baap aap per
qurban hoon ye kiya hai? Aap Sallallahu Alaihe
Wasallam ne farmaya ye Hussain aur un ke as'haab
ka khoon hai mein musalsal us roz se ussay jamah
ker raha hoon.

Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257

‫قاتلین حسین کو دنیا میں بھی‬


‫سزا ملی‬
QATLEEN E HUSSAIN DUNIYA MEIN BHI
MUSIBAT MEIN PHHANSAY:

Aur aap ke qatal ke baray mein jo ahadees aur fittan


bayan kiye gaey un mein se aksar sahih hain aur jin
logoon ne aap ko qatal kiya hai un mein se koi kam
he duniya mein aafat aur musibat se bacha hai. Aur
wo us waqt tak is duniya se nhe gia yahan tak ke
ussay marz la'haq hua aur un ki aksariyat ko junoon
hogia.

Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 258.

Note:
‫نوٹ‬
Yahan un logoon ke daway ki takzeeb ho jati
hai jo kehte hain ke yazeed qatal e hussain mein
mulawis nhe tha kion ke yazeed bhi dard e qolanj ki
wajah se tarrap tarrap ker mara, jaise is ke aur sathi
marray koi payas ki waja se mara to koi kis waja se.
yazeed ke man'ne waloon ko jo bidaya wan.nahaya
kehte kehte nhe thakte hain kabhi is book per ghaur
to ker lete. Kiya yazeed dard e qolanj mein mubtala
ho ker nhe mara? Yes offcourse wo isi dar e qolanj
ki wajah se he mara.

‫یزید کے کفریہ‬
‫اشعار‬
YAZEED KA GUMRAHI WALA SHAIR

Yazeed ne jo ash'haar ghazwa e uhad ke baray mein


kahay, wo kehta hai:
"kash mere shayookh badar mein naizoon
ke parrne se khazraj ki gabrahat ko dekhte jab wo un
ke sehan mein utartay to unhoon ne untoon(camels)
ko betha diya aur abdul ash'hal mein khub khoon
raizi hoi aur ham ne un(musalmanoon) ke dugnay
ashraaf ko qatal ker diya ham ne badar ki kujji(dagh
ko )darust ker diya aur wo darust ho gai."

Aur baz rawafaz ne in mein ye izafa bhi kiya:


"hashim ne hakoomat ke sath khail kiya pas
ussay na hakoomat mili na wahi nazil hoi"

Al.bidaya wan'nahayah vol 8,page 285

"kaash mere bazurg badr mein naizoon ki chot per


khazraj ke gabrahat ko dekhte, unhoon ne awaz
buland ki aur khushi se chamak utthay phir unhoon
ne mujhe kaha na poch jab un ke oontoon ke sehan
mein takrao hua aur abdul-assal mein khub qatlaam
hua, ham ne tumaray dugnay sardaroon ko qatal kiya
hai aur ham ne badr ki kajji ko seedha ker diya hai
pas tub bhi seedha ho ja.
(in shairon mein yazeed kehta hai ke mein ne
tumaray badr k muslim k hathoon hone wale
kaafiron ka badla liya hai…ASTAGHFIRULLAH)

Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 246

IMAM IBN KATHEER KA YAZEED PER


TABSARA

Yazeed ka muslim bin uqba ko ye kehna mein ke wo


madina ko 3 din tak mubah ker de, fahash ghalti thi
aur ye aik bahut barri qabeeh ghalti hai. Aur is ke
sath bahut se sahaba aur un ke betoon ka qatal bhi
shaamil hai aur pehle bayan ho chukka hai ke us
(yazeed) ne Hazrat Imam Hussain aur aap ke as'haab
ko ubaidullah bin ziyad ke hathoon qatal kiya aur 3
ayaam mein madina munawra mein be'haddo
be'hisaab mufaasid roo'numa hoey. Jinhain Allah ke
siwa koi nhe janta aur us ne muslim bin uqba ko
bhej ker apni hakoomat aur iqtadar ko mazboot
kerne aur jhagra kerne wale ke baghair apne ayaam
ko dawam bakhashna chaha magar Allah ta'ala ne is
ke iraday ke khilaaf ussay saza di aur us ke iraday
ke darmiyaan haiyl ho gia pas Allah ta'ala ne ussay
halaak kiya jo charoon 4 (yazeed,uqba,ibn ziyad,ibn
sa'ad) ko halaak kerne wala hai aur us ne ghaalib
muqtadar ki tarah grift ki aur isi tarah tere Rab ne
zaalim bastiyoun per grift ki, bilashuba uski grift
dardnaak aur sakht hoti hai.

Al'bidaya wan'nahay, vol 8, page 283

‫یزید لعنتی‬
‫کیسے ہوا؟‬
YAZEED LANTI KAISE HUA?
HOW YAZEED CURSED?
In ahadith ko parhne aur ooper hone wale waqiyat ke
ba'd koi insane yazeed ko raheemullah nhe kahega
aur na us ko jannati bole ga.

‫حدیثیں‬ AHADITH

HADEES: 1

MADINA HARAM HAI.

Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se


rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram
qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko
haram banaya hai.

1: Ibn abi shaiba, al'musnaf, 296/7, raqm 36228


2: Abu ya'la, al'musnad, 402/4, raqm 2526

HADEES: 2
Hazrat Abdullah bin Abbas radi Allah anhuma se
rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Her Nabi k liye koi na koi harom hai aur mera harm
Madina hai.

1: Ahmad bin humble, al'musnad, 318/1


2: Tabrani, al'majum al'awsat, 356/6, raqm 6607.
3: Ibn juh'd, almusnad,492/1, 3427.
4: Delmi al'firdous, 335/3, raqm 5007.
5: Haithmi, Majmuaz'zawa'id, 301/3.

HADEES: 3

Hazrat jaber bin Abdullah radi Allah anhuma se


marwi hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne
Farmaya:
"Kisi fard(human) ke liye jaiz nhe ke Madina mein
larrne ke liye hathiyar utthaey".

1: Ahmad bin humble, al'musnad, 347,393/3


2: Sunnan abu dawood, 216/2, raqm 2035.
3: baihaqi, sunnan al'kubra, 201/5
4: shokani, neelal awtaar, 101/5
Hadees: 4

Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:


Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya hai ke:
"Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke
darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka
irtakab kiya jaey, lehaza jis shakhs ne yahan koi
jurm kiya, us per Allah ta'ala, us ke farishtoon aur
tamam Insanoon ki lannat ho.

1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768


2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al'musnad, 526/2, raqm
10816
5: Baihaqi Sunnan Al'kubra, 197/5, raqm 9739

Hadees: 5

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai


ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle madina) ke
sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta'ala ussay
(dozakh mein) is tarah phiglaey ga jaisa ke namak
pani mein gul jata hai.

1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386


2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al'musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur'Razzaq, Al'musannaf, 264/9, raqm 17155,
17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al'musnad 492/2, raqm 1147

Hadees: 6

Hazrat Jaber radi Allah anho se rawayat hai ke:


Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya;
"Jo ahle madina ko khauf'zada krayga (qayamat ke
din) Allah ta'ala ussay khauf'zada krayga.

1: Sahih Ibn Habban, 55/9, raqm 3738


2: Ahmad bin Humble, Almusnad, 55,56/4
3: Nisa'I sunnan al'kubra
4: Abdur Razzaq, al'musnaf
5: Tabrani, majum al'kabeer

Hadees: 7
Hazrat ebada bin saamat radi Allah anho aur Hazrat
saaheb bin khalad radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne Allah
Rabul izat ki bargah mein arz kiya:
"Aey Allah jo bhi Ahle Madina per zulm kray
ya unhain daraey to tu ussay dra. Aur us per Allah
ta'ala, Malaika aur tamam logoon ki lannat ho. Us se
Allah ta'ala faraiz qabool farmaey ga na nawafol.

1: Tabrani Al'mahjum Al'kabeer, 144/7, raqm 6636


2: Tabrani Al'mahjum Al'osat, 53/4, raqm 3589
3: Delmi, Al'firdous, 505/1, raqm 2067
4: Muqadasi, Al'ahadeesul Mukhtaar, 330/8, raqm
399
5: Mudhari, Al'targheeb Wal'tarheeb, 152/2, raqm
1891

YAZEED LANTI KAISE HUA. AB DEKHTE


Hain

Short revision
‫ایک نظر پیچھے آنے والے‬
‫واقعات پر‬
Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala
ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain)
zindagi ka kiya maza! Uttho aur logoon ko le kr
rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz
ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke
area ko hijaz kehte hain) ki taraf rawana ho. Aao
apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so
dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye
jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k
liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne
likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne
ko rawana ho

Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot


shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko
qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
Tareekh Tabri Vol 4 page 261

Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba


kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na
kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din
ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik
jaza na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko
qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko
loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian)
ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida
hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal
kiya gia un mein hazrat ma'qal bin sanan bhi thy.
Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim bin uqba ne
madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo jis
shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur amwaal ko
loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte hain ke in
ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon
ko hamal (pregnant) hogia. Almadaiyni ne
ba'hawala abi qurta bayan kiya hai kehishaam bin
Hassaan ne bayan kiya hai ke mar'raka(adventure)
harah ke ba'd ahle madina ki aik hazar auratoon ne
khawand ke baghair bachoon ko jannam diya. Aur
sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat
ro'posh ho gai. Ansaar aur muhajreen ke 700
sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad
aur ghulam waghairham ko mein nhe janta wo 10
hazar thy.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, pages 280.281,282

‫احادیث‬
Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se
rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram
qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko
haram banaya hai.

1: Ibn abi shaiba, al'musnaf, 296/7, raqm 36228


2: Abu ya'la, al'musnad, 402/4, raqm 2526

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai


ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle madina) ke
sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta'ala ussay
(dozakh mein) is tarah phiglaey ga jaisa ke namak
pani mein gul jata hai.
1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al'musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur'Razzaq, Al'musannaf, 264/9, raqm 17155,
17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al'musnad 492/2, raqm 1147

Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:


Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya hai ke:
"Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke
darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka
irtakab kiya jaey, lehaza jis shakhs ne yahan koi
jurm kiya, us per Allah ta'ala, us ke farishtoon aur
tamam Insanoon ki lannat ho.

1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768


2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al'musnad, 526/2, raqm
10816
5: Baihaqi Sunnan Al'kubra, 197/5, raqm 9739

Aik ghaibi awaz ko suna gia


‫‪Aey Hazrat Hussain radi Allah anho ko azrah e zulm‬‬
‫‪qatal kerne walo! Tumain azaab o saza ki basharat‬‬
‫‪ho, tamam ahle aasman , Nabi,Maalik aur log‬‬
‫‪tumaray khilaaf bad'dua ker rahay hain, tum per‬‬
‫‪Hazrat daood,Hazrat Moosa aur haamil anjeel‬‬
‫‪alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai.‬‬
‫‪Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 254‬‬

‫‪Muslim bin uqba ne yazeed ke hukam ke mutabiq‬‬


‫‪Madinah ko teen din ke liye mubah ker diya.‬‬
‫‪Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 280‬‬

‫اب آپ سب نے اپنی آنکھوں سے پڑھ لیا کہ مدینہ میں‬


‫کوئی جرم کریگا تو اس پر ہللا کی‪،‬فرشتوں کی اور تمام‬
‫انسانوں کی لعنت ہوتی ہے۔ یزید نے آرمی بھیجی اور‬
‫اس نے تین دن مدینہ مباح کردیا اپنی فوج کے لیۓ اور‬
‫لوٹ مار کی اور عورتوں سے زنا کیا۔ تو یہ سب جان‬
‫لینے کے بعد کوئی جاہل ہی ہوسکتا ہے جو کہے کہ‬
‫یزید جنّتی ہے اور اسکو رحیم ہللا یا رحمت ہللا کہنا‬
‫جائز ہے۔‬
‫امید ہے کہ لوگ زاکر نائیک جیسے گمراہ کن لوگوں‬
‫سے بچنے کی کوشش کرینگے کیونکہ جن کی یہ‬
‫پیروی کرتے ہیں وہ صحیج نہیں تو ان کا عقیدہ کیسے‬
‫ٹھیک ہو سکتا ہے۔ ہللا نے ہر ایک کو عقل سلیم عطا کی‬
‫ہے یہی سوچنے اور سمجھنے کے لیۓ۔ ہللا ہم سب کو‬
‫نیک اور سیدھی راہ پر چالے۔آمین۔۔۔‬
Ab aap sab ne apni ankhoon se parh lia ke madina
mein koi jurm kray ga to us per Allah ki , farishtoon
ki, aur tamam insanoon ki lannat hoti hai. Yazeed ne
army bheji aur us ne 3 din madina mubah ker diya
apni fauj ke liye aur loot maar ki aur auratoon se
zina kiya. To ye sab kerne se kiya wo lannati nhe
hoa. Waqia karbala aur Makkah mein hone wali
sang bari aur aatish zani ko bhi chhorr dain to bhi
Madina mein kiye gaey jurm us per lannat kerne k
liye kaafi hain.
Ye sab jaan lene ke ba'd koi jahil he ho sakta hai jo
kahe ke yazeed jannati hai aur us ko raheemullah aur
rahmatullah kehna jaiz hai.
Umeed hai ke log zakir naik jaise gumrah kun
logoon se bachne ke koshish krain gay kion ke jin ki
ye zakir naik pairvi krta hai wo lannati hain wo sahih
nhe hain to in ka aqeeda kaise theak ho sakta hai.
Allah ne her aik ko aqal e saleem ata ki hai yehi
sochne aur samajhne k liye.
Allah ham sab ko naik aur seedhi rah per chalaey..
aameen.
Itni Ahadees jo Imam Hussain Alaihessalam ke
hawalay se hain, aur 61 hijri ki ahadees hain aur
Yazeed ke hawalay se ahadees hain aur bani
Ummayya ke hawalay se hain aur itne tareekhi
books ke hawala jaat jin mein sab kuch saaf bayan
howa hai ke yazeed ne kiya kia aur us ka character
kaisa tha.kiya in Ahadees ke ba'ad bhi hamain is per
scholars ki commentary ki zaroorat par sakti hai?

Akhir mein Yazeed ko Raheemullah kehne waloon


ke liye aik hadees paish hai jis mein Khalid bin
Yazeed bin Muawiya ki pusht se niklne wala
Sufiyani jo shaam ka ilaqay se Imam Mehdi k
khilaaf aik lashkar bhejay ga. Aur us ka lashkar
baida ke muqam per zameen ke andher dhans jaey
ga. To aap Yazeed ko to pehle he raheemullah kehte
hain us se mohabbat kerte hain to zahir hai sufiyani
us ki olad se hoga to sufiyani se bhi aap log
mohabbat krain gay.. ham to aaj bhi Hussain se
Mohabbat kerte hain aur kal Mehdi Alaihessalam se
mohabbat krain gay. INSHA ALLAH
HADEES NICHAY HAI
YAZEED KI PUSHT SE AIK FITNA SAAZ
SUFIYANI NIKLAY GA
Hazrat Ali Radi Allah Anho se manqol hai ke: wo
Sufiyani (jo akhri zamanay mein shaam ke ilaqoon
per qaabz o hukamran hoga) "Nasli tor per Khalid
Bin Yazeed Bin Muawiya" ki pusht se talluk rakhta
hoga, wo barray sar aur aur chichak zada chehray
wala hoga. Us ki ankh mein aik safaid dhaba hoga,
damishq ki taraf us ka zahoor hoga. Us ke
tabedaroon ki ziyada'ter qabila kalb se talluk rakhne
wale logoon per mushtamil hogi,
Logoon ka khoon bahana us ki khas adat hogi, yahan
tak ke wo haamla auratoon ke pait chalk ker ke
bachoon ko halaak ker diya kray ga.woh jab Hazrat
Imam Mehdi Alaihessalam ke zahoor ki khabar
sunay ga to un se jung kerne k liye aik lashkar
bhejay ga to un se jung kerne k liye aik lashkar
bhejay ga jo shikast kha jaey ga, us ke ba'd wo
sufiyani ba'zat e khud aik lashkar le ker Hazrat
Imam Mehdi Alaihessalam ke muqablay ke liye
chala jaey ga lakin wo muqaam e baida per pohanch
ker apne tamam lashkar waloon ke sath zameen
mein dhans jaey ga aur koi shakhs bhi zinda nhe
bachay ga siwaey aik shakhs ke jo Hazrat Imam
Mehdi Alaihessalam ko Sufiyani aur us ke lashkar ki
ibratnaak hasher ki khabar sunaey ga.
Alamat e Qayyamat Se Mutallik Rasool e Akram
Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Paish'goiyaan
Writer Muhammad Haroon Muawiya
Page 47
Ab is hadees se bhi sabit hogia hai ke yazeed aur us
ke pairokaroon ne Hazrat Imam Hussain
Alaihessalam ko Shaheed kiya tha. Aur anqareeb e
qayyamat Aale Ali ya Aale Hussain se Imam Mehdi
Alaihessalam ko shaheed krne ke liye Yazeed ke
betay Khalid ki pusht se Sufiyani bhi Hazrat Mehdi
Alaihessalam ko shaheed kerne ke liye jaey ga lakin
is baar mamla aur result mukhtalif hoga aur is baar
Allah ki ghaibi imdad Aale Ali ke sath hogi aur
Yazeedi pairokar maray jaeen gay.Yazeed bhi
Shaam ka hukamran tha Aur Sufiyan bhi shaam ka
hukamran hoga.Imam Hussain bhi Madina se thy aur
Imam Mehdi Alaihessalam bhi Madina ke hoon
gay..Phir pata chale ga ke jo log ab Yazeed ko
jannati aur Raheemullah kehte hain tab kis ka sath
dain gay. Offcourse apne mehboob yazeed ki aal
olad ka sath dain gay.
Kuch Scholars
ki Commentary
Yazeed ke
Hawalay se
English commentary mere friends ki
sharing hai jo izafi tor per shamil ki
hai
. Shaykh ul Islam Ibn Hajr al-Asqalani
(rahmatullah alaih)
Imam Ibn Hajr (rahmatullah alaih) made the
whole title in his book al-Imta bil al-Arb'ain as
"SENDING LANAH ON YAZID (Lanati)"
Loving and glorifying him (Yazid) is not done
“EXCEPT BY A HERETIC” who has void belief
because he (Yazid) had such characteristics
that his lover deserves to be faithless, because
to love and hate just for the sake of God is a
sign of faith.
[Publisher's name: Dar ul Kutb al iLmiyyah,
Beirut, Lebanon, Book name: al-Imta bil al-
Arba'in al-Matbainatus Samah
), Author: Imam Ibn ‫(اإلمتاع باألربعین المتباینة السماع‬
Hajr al Asqalani (rah), Publication date: 1997,
Page No. 96]
. In Tafseer Ruh al Maani Declairing Yazeed a
kafir

"Allamah Alusi stated, Yazeed the impure


denied the Prophethood of Rasulullah
(salallaho alaihi wasalam). The treatment that
he meted out to the people of Makka, Medina
and the family of the Prophet proves that he
was a kaafir".

Once in the gathering of Amir Ul Mominein


Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz .people talked
about yazeed, someone among the people said
( Amir Ul Mominein to Yazeed ) Hazrat Ummar
Bin Abdul Aziz replied in anger,'' you call
Yazeed ( Bad Character Person as Amir Ul
Mominein?. Than Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz
gave order of 20 lashes to the person who
called Yazeed Amir Ul Mominein
[ Tahdheeb Al'Tahdheeb Vol 1 Page 361]

The Proof of Sending Curses(Lanat) on


Yazid!
Translation:The Proof of sending Lanah upon
Yazid is derived from this (ayah), as was
mentioned by Al-Barzanji (rahmatullah alaih) in
his Al-Ashaat and Imam Haythami (r
rahmatullah alaih) in As-Sawaiq from Imam
Ahmed (rahmatullah alaih) that his son
Abdullah asked him about sending Lanah on
Yazid, and how sending Lanah upon him is
mentioned in the book of Allah (i.e. Quran).
Imam Ahmed (rahmatullah alaih) in proof of
(sending Lanah upon Yazid) mentioned these
verses:Would ye then, if ye were given the
command, work corruption in the land and
sever your ties of kinship? Such are the men
whom Allah has cursed…(47:22-23), So could
there be a greater fitnah than the actions
committed by Yazid?
[Ruh ul Ma’ani by Imam Al-Alusi, Volume 9
Under Surah Muhammad 22-23]
Yazeed k bete Mawiya Ne Kaha k Mere Bap
Yazeed Ne Jub Hukumat Sanbhali Tu Woh Is
Ka Ahl Hi Na Tha. Us Ne Rasool ke Nawase Se
naza' ki. Aakhir Uski umr Ght Gaee Or Nasal
Khatam Ho Gaee.... Hamain Malum hai k Usne
Rasool ke Qurabat Daron Ko Qatl Kia Or
sharab Ko Halaal Kia Or Baitullah Ko Weeran.
{As Sawaiq ul muhriqa by Imam ibn e hajar
makki Page:134}
20 korray
‫بیس کوڑے‬
Nofal bin abu al'dharat kehte hain ke mein
Umer bin abdul aziz ke pass baithha tha. Aik
shakhs ne yazeed ka zikr kiya. Ameer
ul'momaneen yazeed bin muawiya ne youn
kaha, Umer Bin Abdul Aziz ne kaha tu ne
ussay ameer ul-momaneen kaha hai. Phir
ussay bees 20 korray lagane ka hukam kiya.
Tareekh-ul-Khulafa Page 301

Abu al'farj ibn jozi ne yazeed per lannat ko jaiz


qarar diya hai
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 284

Ibn Jauzi's comments on Yazeed


Ibn Jauzi in Wafa al-Wafa:
"Yazeed appointed his cousin Uthman bin
Muhammad bin Abu Sufyan as Governor of
Madina. He sent a delegation to visit Yazeed
who bore gifts so that they might take the oath
of allegiance to him. Upon their return they said
'We have returned having visited a man who
has no religion, he drinks, plays instruments,
keeps the company of singers and dogs [civil
word for bestiality], we declare that we have
broken our allegiance to him. Abdullah bin Abi
Umro bin Hafs Mukhzumee commented
'Yazeed gave me gifts. But the reality is this
man is an enemy of Allah (swt) and a drunkard.
I shall separate myself from him in the same
way that I remove my turban [from my head]…
Ibn Hajr's comments on Yazeed
In Sawaiqh al Muhriqa:
"One group have deemed Yazeed to be a
kaafir, another has stated he was a Muslim but
a fasiq (transgressor), a fajir (one that commits
debauchery) and a drunkard. There is
consensus over his fisq (transgression). One
party of Ulema have stated that you can curse
him by name, this includes individuals such as
Ibn Jauzi and Ahmad. One group made up of
individuals such as Ibn Jauzi deem Yazeed a
kaafir, others say he was not a kaafir but rather
this is a matter that has caused a difference of
opinion.
The majority of Ahl'ul Sunnah all agree that he
was a fasiq (transgressor), a fajir (one that
commits debauchery) and a drunkard. Waqidi
had recorded a narration 'Verily we opposed
Yazeed fearing Allah (swt) would reign stones
down on us, Yazeed considered nikah
(marriage) with mothers and sisters to be
permissible and drank alcohol".
"Dhahabi narrates that when Abdullah bin Kuzai
returned from Damascus he stated that Yazeed
performs zina with his mother, sister and
daughters. We had better start a movement to
oppose Yazeed otherwise stones may reign
down on us"
This is one reason why Ibn Hajar al Makki calls
Yazeed one of the most debased men in
history.
Ibn Taymiya's condemnation of unjust
Yazeed
Ibn Taymiya in Minhajj:
"Yazeed had the sword and hence he had the
power to deal with anyone that opposed him.
He had the power to reward his subjects with
the contents of the treasury, and could also
withhold their rights. He had the power to
punish criminals; it is in this context that we can
understand that he was the khalifah and king.
Issues such as Yazeed's piety or lack of it, or
his honesty or lack of it, is another matter. In all
of his actions Yazeed was not just, there is no
dispute amongst the people of Islam on this
matter".
Shariat Mukhammad Majid 'Ali Shakir stated in
Badh Shariat:
"Some say 'Why should we discuss such a
thing since he [Yazeed] was a King and he
[Husayn] was also a King' - one who makes
such comments {refusing to hold opinion on
Yazeed and Husayn (as)] is accursed, a
Kharijee, Nasibi and hell bound. The dispute is
over whether he [Yazeed] was a kaafir. The
madhab of Abu Hanifa stipulates that he was a
fasiq and fajir, nor was he a kaafir nor a
Muslim".
Yazeed used to copulate with his mother and
sisters We read in Tabaqath:
"Abdullah bin Hanzala the Sahaba stated 'By
Allah we opposed Yazeed at the point when we
feared that stones would reign down on us from
the skies. He was a fasiq who copulated with
his mother, sister and daughters, who drank
alcohol and did not offer Salat"
Other sources:
1. Tabaqath al Kabeera Volume 5 page 66 Dhikr Abdullah bin Hanzala and Volume 4
page 283
2. Tareekh ul Khulafa page 209 Dhikr Yazeed
3. Sawqih al Muhriqa page 132 Dhikr Yazeed
4. Mustadrak al Hakim Volume page 522
5. Al Isaba Volume 3 page 469
6. Ya Nabi al Mawaddath page 326
7. Tareekh Ibn Asakir Volume 7 page 275
8. Fatawi Abdul Hai page 79
9. Tareekh al Islam Volume 2 page 356
10. Al Masalaik Sharh Muwatta Imam Malik page 435
The Fatwa of Allamah Baghdadi - Yazeed
denied the Prophethood, to curse him is an act
of Ibadath
We read in Tafseer Ruh al Ma'ani page 72
commentary of Surah Muhammad:
"The wicked Yazeed failed to testify to the
Prophethood of Hadhrath Muhammad (sawa).
He also perpetrated acts against the residents
of Makka, Medina and the family of the Prophet
(sawa). He indulged in these acts against them
during their lives and after their deaths. These
acts are so conclusively proven that had he
placed the Qur'an in his hands it would have
testified to his kuffar. His being a fasiq and fajir
did not go unnoticed by the Ulema of Islam, but
the Salaf had no choice but to remain silent as
they were living under threat."
The Fatwas of Qadhi Abu Ya'ala and Abu
Husayn deeming it permissible to curse Yazeed
Ibn Katheer in al Bidaya stated:
"Whoever frightens Medina incurs the wrath of
Allah, His Angels and all the people - and some
Ulema have deemed it permissible to curse
Yazeed. This includes individuals such as
Ahmad ibn Hanbal, Allamah Hilalee, Abu Bakr
Abdul Aziz, Qadhi Abu Ya'ala and his son
Qadhi Abu Husayn. Ibn Jauzi wrote a book
deeming it permissible to curse Yazeed".
Al Suyuti personally cursed Yazeed
In Tareekh ul Khulafa page 207, Dhikr
Shahadath Husayn we read as follows:
"May Allah's curse be upon the killers of Husayn and Ibn Ziyad".

Qadhi Thanaullah Panipati deemed it


permissible to curse the kaafir Yazeed
We read in Tafseer Mazhari Volume 5 page 21,
under the commentary of Surah Ibrahim verse
28 as follows:
"The Banu Umayya were initially kaafir, then
some of them presented themselves as Muslim.
Yazeed then became a kaafir. The Banu
Umayya maintained their enmity towards the
family of the Prophet (sawas), and killed
Husayn in a cruel manner. The kaafir Yazeed
committed kufr in relation to the Deen of
Muhammad (sawas) proven by the fact that at
the time of the killing of Husayn he made a
pointed reference to avenging the deaths of his
kaafir ancestors slain in Badr. He acted against
the family of Muhammad (sawas), Banu
Hashim and in his drunken state he praised the
Banu Umayya and cursed the Banu Hashim
from the pulpi

Jin scholars ne yazeed per lannat na bhejne ka


kaha hai ta ke wo lannat us ke baap ya kisi
sahabi ki lannat ka zariya na ban jaey.

Potrebbero piacerti anche