Sei sulla pagina 1di 2

Dengue Bukhar ka ilaj, Lakshan, Karan, Bachne ke Upay in

Hindi
ilajupay.com /dengue-bukhar-ka-ilaj-lakshan-karan-upay/
admin
Dengue ka Bukhar macharo se hone waali ek jaanlewa bimari hai. Puri duniya me aur khaaskar Bharat me ye
vayral badi tezi se fail rha hai. Akhir ke 2-3 saal me degue ke mareejo ke sankhya me tezi se ijafa hua hai. Dengue
Bukhar ek parkar ke virus family se hota hai jo machoro ke kaatne se Aapke shareer me parvesh kar jata hai. Yeh
paya gaya hai ki Dengu ka machar din ke ujale me he kaat ta hai. Par agar raat me bhi kahi roshni ho to yeh us time
bhi kaat sakta hai. Dengue Bukhar ka Ilaj agar samay rahte kar liya jaaye ko yeh thik ho jata hai. Yeh fever vaise to
kisi ko bhi ho sakta hai. Par jyada hone ke sambhawna un logo me hoti hai jinka partirakshi tantar (Bimaari se ladne
ke takat) kam ho.

Dengue Bukhar ka ilaj, Upchar Lakshan, Karan aur Bachav ke Upay Hindi me
Dengue Bukhar kaise hota hai, Dengue hone ke
karan (Cause)
Dengue bukhar Aedes aegypti naam ke machar ke kaatne se
hota hai. Ye machar jyadatar din me he kat ta hai ya r raat
hone se pahle sham ko. Dengue Bukhar saath me rahne,
khaane peene ya hawa ke maadhyam se nahi failta. Isme
khoon me pletlets kam ho jaate hai.
Padhe : Mardana Kamzori ka ilaj
Dengue virus 4 parkar ka hota hai, type 1, 2, 3 aur type 4. Jo Aedes aegypti Dengue machar ke kaatne se hamare
khoon me parvesh (enter) kar jata hai. Jab kisi sankarmit (infected) vyakti (person) ko yeh machar kaat ta hai to uske
virus machar me aa jaate hai. Aur jab vahi machar kisi thik vyakti ko kat ta hai to wo virus usme aa jaate hai. Aur us
thik thak vyakti ko dengue ho jata hai.

Dengue Bukhar ke Lakshan (Symptoms)


Ekdum se Tez Bukhar chadna.
Sir me dard
Kamzori mahsoos hona, Muh ka sawaad kharab hona.
Bhuk naa lagna
Maanshpeshiyo aur Jodo me dard hona.
Bukhar ke 2 se 5 din baar shareer me laal chatte nishan hona.

Dengue Bukhar ka ilaj Upchar


Dengu Bukhar ke ilaj ke liye koi Vishesh dawa nahi hai. Agar apko yeh fever hai to aap dard se rahat ke liye koi
painkiller le sakte hai. Bukhar thik karne ke liye Disprin ya aspirin na le kyonki yeh halat aur kharab kar sakti hai. Is
haalat main rogi ko bas liquid ka sevan karna chahiye, Paani ka peena chahiye. Agar 24 hour ke ander bhi apki

1/2

condition aur kharab hone lage to turant hospital admit ho jaaye.

Dengue Bukhar ke Gharelu desi Nukhse: Kya khana khaye


Taral Padarth (Naariyal Paani/Falo ka Rash)
Dengue ke mareej ko jitna ho sakte Liquid (Taral) peena chahiye. Falo ka rash, Nariyal paani aur Nimbu paani
peeye. Yeh hamare shareer se Visheley (Toxin) padarth peshab ke jariye bahar nikal dete hai. Santare ka juice
peena chahiye jisme bharpur maatra me vitamins hote hai. Yeh hamare pachan shakti aur antobodies ho bho
badhata hai. jo Dengue Bukhar ka ilaj me madad karta hai.
Dekhe: Sugar ka ilaj

Papeeta Patte se Dengue ka ilaj


Papeete ke patto ka juice bnaa ke peena bhi Dengue ka acha upchar hai.
Hari Pattedaar Sabjiya
Apne shareer me Dengue Virus se ladne ke liye ek healthy Diet lena bahot jaruri hai. Dengue ke Upchar me Hari
sabjiya khaali chahiye jo paushat tatvo se bharpur hoti hai. Tali hui chijo ka parhej kare.
Protein Diet
Dengue ke thik hone ke baar uchch protien yukt aahaar (High protein diet) lene chahiye. Isse mareej ke andar sab
kamzori door hogi. Hamare body me Khanij, Vasa, Proteen ke punar nirmaan ke liye yeh jaruri hai.
Jaane: Kaan dard ka Upay ilaj

Dengue Bukhar se bachne ke Upay aur Roktham


Ghar ke ander aur apne aas paas paani jama mat hone de.
Cooler aur gamlo ka paani 1-2 din me jarur badal de. Hafte me ek baar cooler ka sara paani nikal kar use
sukhaaye.
Macharo se bachne ke liye machardaani, saprey, cream yaa aur koi macharo ko bhagane wale chijo ka
paryog kare.
Pure baaju ki shart/ t-shirt pahne, jisse macharo se katne se bacha jaa sake.
Ghar me samay samay par keetnaashak ka chidkaav kare.
Dengue ka machar saaf paani me panapta hai. Isliye kahi bhi jyada samay tak kahi bhi saaf paani jama naa
hone de.

2/2

Potrebbero piacerti anche