Sei sulla pagina 1di 2

Baba Ramdev ke Ramban Gharelu Nuskhe Aur Ayurvedic

Medicine
kyakyukaise.com /baba-ramdev-ke-gharelu-nuskhe-upay-ilaj-ayurvedic-medicine-hindi/
By Govind
Baba Ramdev ke Gharelu Nuskhe: Jab kabhi yoga, desi nuskhe aur ayurveda medicines ke bare mein baat ki jati
hai tab baba ramdev ka naam jarur liya jata hai. Yoga sikhane ke sath sath swami ramdev rogo ke ilaj ke liye natural
remedy isteemal karne ke liye logo ko jagruk karte hai aur iske sath hi bimariyo ke upchar ke liye ayurvedic dawa
patanjali store par provide karte hai. Chahe motapa kam karna ho, badhana ho ya r blood pressure, sugar,
bawaseer, kabz, periods problems, cancer, liver, kidney ya koi aur health diseases ho aap ghar baithe gharelu upay
aur nuskhe paryog kar ke treatment kar sakte hai. Aaiye jane baba ramdev home remedies tips in hindi .
Jane Swasth aur Sehatmand Rahne ka Raj

Baba Ramdev ke Gharelu Nuskhe aur


Ayurvedic Medicine

1. Kidney stone (gurde ki pathri) nikalne ke liye divya


ashmarihar ras ka sevan kare. Pite ki pathri ke
upchar mein bhi ye dawa upyogi hai.
2. Bawaseer ka ilaj ayurvedic dawa se karne ke liye
divya arshkalp vati ka sevan kare. Kapalbhati aur
anulom vilom karne se bhi piles (hemorrhoids) se
rahat milti hai.
3. Aadha sir dard (migraine) hone par desi ghee ki
jalebi khaye aur doodh piye. Iske ilava anulom vilom pranayam karne se bhi sir dard se chutkara milta hai.
4. Pet ki charbi (belly fat) aur motapa ghatana ho to har roj kapalbhati kare, khane mein carbohydrates ki maatra
kam le aur meetha bhi kam khaye. Gomutar ka ark pine se bhi weight loss karne mein benet milta hai, iske ilava
ashwgandha ke patte khane se bhi fayda milta hai.
5. Teeths problem jese ki daanto mein sadan, kida lagna, masudho se khoon nikalna aur dant mein dard jesi
samasyao se bachne ke liye rojana manjan ya datun kare. Aap divya dant kranti toothpaste bhi istemal kar sakte
hai ye aap ko kisi bhi patanjali store se mil jayega.
6. Heart blockage ho ya dil ki koi bimari ho to 1 glass lauki ka juice, 7 patte tulsi ke, 7 patte pudeene ke aur 3-5 kali
mirch milakar pine se fayda milta hai. Is desi nuskhe ke niyamit paryog se hemoglobin bhi badhta hai aur
cholesterol bhi control hota hai. Thyroid ke ilaj mein bhi is home remedy se aaram milta hai.
7. Periods (masik dharm) normal karne ke liye divya dashmularishta aur ashokarishta ka seven karne se irregular
periods ka upay hota hai.
8. Breast ka size chota ho to shatavar ka paryog kare isse stano ka aakar badhane mein madad milti hai.

1/2

9. Sugar, acidity, jodo mein dard, gathiya (arthritis) ya r skin problem ho aloevera ka paryog karne se rahat milti
hai.
10. Body mein kahi koi gaanth ho to haldi ke paryog se iska upchar kar sakte hai. Gungune paani ke sath 1-2 graam
haldi lene se gaanth ghul jayegi.
11. Aanwle ka juice pine se balo ka jhadna rukta hai. Naye baal ugane ke liye pyaaj ke paste ka paryog karna utam
upay hai. Ganjapan se chutkara pane ke liye nimbu ke beejo ko pees kar iska paste sir par lagaye.
12. Body mein blood ki kami ho to aadha cup gajar ke ras mein nimbu ka ras mila kar piye.
13. Madhumeh (diabetes) ka ilaj natural remedies se karne ke liye karele ke juice ka sevan kare, meethi dana aur
jamun ke patte bhi sugar control karne mein asardar hai.
14. Pet mein kabz ki samasya ho to har roj dhanurasan kare.
15. Blood pressure mein seb aur aanwle ka murabba khana labhdayak hai.
16. Pet mein marod uth rhi ho to adark ka ek tukda munh mein dale aur iske ras ka sevan kare.
17. Likoria jise safed pani ki samasya se jante hai iske ilaj ke liye shisham ke patto ka istemal karne se fayda milta
hai. Shisham ke 10 patte paani mein mila kar piye. Is gharelu upay ko karne ke liye har bar taaje patte hi paryog
kare aur agar har bar taaje patte na mil sake to ek hi baar mein sab patto ko chaya mein sukha kar pees le aur
powder bana kar sevan kare.

Baba Ramdev Yoga Tips in Hindi


Har roj yoga aur pranayam karne se hum sharir ko hane wali bimariyo se bacha sakte hai aur agar koi bimari hui hai
to uska ilaj karne mein bhi madad milti hai. Rojana kapalbhati aur anulom vilom pranayam karne se aap apne aap
ko healthy aur t rakh sakte hai. Koi bhi yoga karne se pahle use kisi yog guru ki madad se sikhe aur agar aap kisi
gambhir bimari se grast hai to yoga karne se pahle doctor ki salah jarur le.

Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye koi ayurvedic remedy paryog karna chahte hai to pahle iske
pryog ke bare mein puri jankari jarur le. Aap patanjali ki website par bhi apne sawal puch sakte hai
ya r kisi ayurveda chikitsak ki salah le sakte hai.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit Ayurveda Tips in Hindi
Dosto Baba Ramdev ke Gharelu Nuskhe Upay aur Ayurvedic Medicine ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment
kar ke bataye aur agar aapke pass koi natural home remedies tips in hindi hai to hamare sath share kare.

2/2

Potrebbero piacerti anche