Sei sulla pagina 1di 1

Chalo kuch dost ghar bulaye jayein

Kuch latifon ke daur chalayein jayein


Chand kahkahe yun hi lagaye jayein
Yeh ranj-o-gham ke silsile bhulaye jayein
Chalo kuch dost ghar bulaye jayein
Purani yadon mein naye rang lagaye jayein
Apni nakamiyon ke kisse sunaye jayein
Bewafaiyon ke bhi jashn manaye jayein
Chalo kuch dost ghar bulaye jayein
Dubo sharaab mein sukhanwar kuch banaye jayein
Meer aur Ghalib zamin pe utaare jaayein
Nashe mein mila ke aashar chand pilaye jaayein
Chalo kuch dost ghar bulaye jayein
Shikve, shikayaton ke hisaab milaye jayein
Arman purane, khwab naye kuch sajaye jayein
Ummeed nayi, hausle kuch badhaye jayein
Chalo kuch dost ghar bulaye jayein
Khud parasti ke aib mitaye jayein
Haisiyaton ke waham hataye jayein
Banawaton ke pairahan jalaye jayein
Chalo kuch dost ghar bulaye jayein

Potrebbero piacerti anche