Sei sulla pagina 1di 3

Chikungunya ka ilaj ke 5 Gharelu Nuskhe aur Upay Hindi

Mein
kyakyukaise.com /chikungunya-ka-ilaj-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-hindi-mein/
By Govind
Aajkal dengu, chikungunya aur viral bukhar bahut faila hua hai aur yahi wajah hai ki normal fiver hone par bhi log
ghabra jate hai aur mehnge mehnge test karwane ke liye bhi tyaar ho jate hai. Vese to ye bimari dengu ki tarah
khatarnak nahi hai par agar sahi samay par iska ilaj na kiya jaye to ye rog bhayanak roop le sakta hai. Isse pahle
humne dengu aur viral fever ke lakshan aur upchar ke gharelu nuskhe bataye hai, kya kyu kaise ke is lekh mein
hum padhenge chikungunya ka ilaj aur isse bachne ke liye kya upay kare, home remedies for chikungunya
treatment in hindi.
Jane Dengu ka Gharelu ilaj Kaise Kare
Jane Viral Fever ke Desi Nuskhe

Chikungunya ke Karan aur Lakshan : Causes and Symptoms


Kisi bhi bimari ke sahi upchar ke liye uske karno aur lakshano ki jankari hona bahut jaruri hai. Chikanguniya ka
bukhar vyakti se vyakti mein nahi failta ye bimari adiz machar ke katne ki wajah se hota hai. Is bimari ka sabse bda
symptom hai jodo mein dard aur tej bukhar hona, machar katne ke lagbhag 10 se 12 din mein iske lakshan dikhne
shuru hote hai.
1. Sir dard, Ulti hona.
2. Haatho, chehre aur talvo par daane nikalna.
3. 2 se 3 dino tak bukhar aana, jodo mein sujan aur dard hona.
4. Kapkapi lagna aur thand lagne ke sath tej bukhar hona.
5. Kuch logo ko masudho aur naak se khoon nikalta hai.
Kuch afwaho ki wajah se hum normal bukhar mein bhi chikangunya ke test karwane lagte hai jo bahut mehnge hote
hai. Agar aap ko bimar hone par ye lakshan dikhe to test jarur karwaye.

1/3

Chikungunya ka ilaj ke Gharelu Nuskhe aur Upay


Home Remedies for Chikungunya Treatment in Hindi

1. Papite ke Patte (Papaya Leaf)


Bukhar hone par body mein platelets ki matra kam hone lagti hai. Papite ke patte 3 se 4 ghante mein blood mein
platlets bdha deta hai.
Papite ke patto ki danthal ko alag kar le aur patto ko pees kar inka juice bna le. 2 se 3 chammach juice din mein 3
baar pine se jaldi aaram milne lagega.
Papite ke patto ka ye upay dengu ke ilaaj mein bhi asardar hai.

2. Gajjar aur Angur


Chikungunya ka ilaj mein kachi gajar khane se fayda milta hai, isse marij ki immunity badhti hai.
Gaay ke doodh ko halka gunguna kar ke piye aur sath mein bina beej wale angur khaye, isse chikungunya ka virus
khatam hota hai.

3. Lehsun
Chikanguniya mein jodo mein kaafi pain hota hai aur isse rahat pane ke liye sajwaine ki fali aur lehsun ko kisi tel
mein mila kar garam kar le aur is tel se marij ke jodo ki halke hatho se malish kare, dard mein aaram milne lagega.

4. Laung
Lehsun pees kar laung ke tel mein daal de fir ise kisi kapde mein daal kar jodo par baandh de. Is upay se jodo ke
dard mein aaram milega aur bukhar bhi control hoga.

5. Ajwaine
Ajwaine, tulsi, kishmish aur neem ki sukhi pattiyo ko 1 glass paani mein ubaal le aur din mein 2 se 3 baar piye.

Chikungunya ka Upchar ke Jaruri Tips


Agar aapke test mein is bimari ki pushti ho gyi hai to sabse pahle doctor ki salah le.
1. Paani ki matra adhik le, ho sake to paani ko gunguna kar ke piye. Nriyal pani pina bhi acha hai.
2. Sharir ko thaka dene wala koi bhi kaam na kare, jitna ho sake aaram kare.
3. Patient ke room, bistar aur kapdo ko saaf suthra rakhe.

2/3

4. Karela, papita, doodh dahi ka sevan adhik kare.


5. Jodo ke dard se rahat pane ke liye koi pain killer le sakte hai, par job bhi medicine le doctor ki salah se hi le.

Ayurveda Medicine se Chikungunya ka ilaj


Chikugunya ke upchar mein vilvadi gulika, amritrishtav aur sudarshanam gulika jesi ayurvedic medicine di jati hai.
Aapko ye medicine baba ramdev patanjali store se mil jayengi, par hamari salah yahi hai ki inke sevan se pahle
kisi ayurveda vaid se salah le aur ye bhi jane ki in dawao ka sevan kaise aur kitni matra mein karna hai.
Jane Malaria ka Upchar ke Tips
Jane Typhoid ke Gharelu Upay

Rajiv Dixit ke Ayurvedic Upchar Kaise Kare


Neem ki giloy, tulsi, thodi si saunth aur thodi si choti pipar mila kar ek kadha banaye aur din mein 3 baar piye. Agar
jada kadwa hone ki wajah se ye kadha na piya jaye to isme thoda sa gud mila le.

Chikungunya Homeopathy Treatment


Chikanguniya ka treatment homeopathy se bhi kiya ja sakta hai. Ocimum 200 ki 2-2 boonde din mein 3 baar rogi ko
pilaye. Is upchar ko shuru karne se pahle homeopathic doctor se salah jarur le.
Jane Swine Flu ka ilaj Kaise Kare

Chote Bacho ko Chikungunya se Kaise Bachaye


Chikungunya mein chote bacho ka khas khayal rakhe kyuki bacho ki immunity kamjor hoti hai jis wajah se unhe
bimariya hone ka khatra jada hota hai.
Bache aksar khule mein khelte hai to machhar ke katne aur infection hone ki sambhavna adhik hoti hai, isliye jaruri
hai ki bacho ko pure kapde pehnaye, raat ko machardani mein sulaye aur machar bhagane wali creame ka paryog
kare.
Bukhar, ulti dast, neend na aana ya fir jada neend aana aur body par rashes hona, agar bacho mein aese lakshan
dikhe to turant doctor se checkup karwaye.

Dosto Chikungunya ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies Treatment in Hindi ka ye leekh aap ko kaisa lga
hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass chikungunya ka upchar ke desi nuskhe hai to hamare sath
share kare.

3/3

Potrebbero piacerti anche