Sei sulla pagina 1di 3

Oily aur Dry Skin Care ke 10 Gharelu Nuskhe aur Upay Hindi

Mein
kyakyukaise.com /oily-dry-skin-care-tips-gharelu-nuskhe-upay-in-hindi/
By Govind
Skin Care Tips in Hindi: Sundar chehra sabhi ko acha lagta hai par pimples aur jhaiya chehre ki sundarta kharab
kar dete hai. Oily aur dry tavacha ki wajah se bhi face par daag dhabe aur kil muhanse nikalte rehte hai. In
samasyao se chutkara pane ke liye bahut se log market mein milne wale beauty products isteemal karte hai jo
mehnge hone ke bawjood bhi jada asardar nahi hote aur inke side effects bhi ho sakte hai. Abhi tak hum logo ne
padha hai chehre se kil muhase, blackheads aur jhuriyan kaise hataye. Is lekh mein hum janenge oily aur dry skin
ka ilaj ayurvedic nuskhe aur gharelu upay se kaise kare.
Jane 30 Minute Mein Paye Glowing Skin

Skin Care Tips in Hindi Oily Face ke Gharelu Upay


Tavacha mein tel hone se blackheads, pimples, whiteheads aur skin mein jalan jesi samasya hoti hai. Kuch logo
mein ye problem genetic ke karan hoti hai aur kuch logo mein beauty products ke side effect ki wajah se ho jati hai.
Oily face ke liye yha bataye natural homemade ayurvedic face pack bana kar lagaye.
1. Tavacha mein badhe hue oil ko sokhne mein dahi bahut upyogi hai. Dahi ko chehre par lga kar chod de aur
15 minute baad chehra dho le.
2. Dahi, besan haldi aur chawal ka aata mix karke paste bana le. Is paste ko chehre par lgane se chehre mein
jama oil khatam ho jata hai aur face glow karta hai. Is upay se chehre ke pimples aur kale daag dhabe bhi
saaf ho jate hai.
3. Pudine ke ras mein nimbu ka ras aur shahad mila kar chehre par lagane se bhi oily skin ka ilaj hota hai.
4. Multani mitti, haldi aur chandan ka lep face ki nami sokh leta hai aur tavacha oil free hoti hai. Is desi nuskhe
ko karne se chehre ki tavacha tight hoti hai aur face fresh dikhta hai.
5. Oily skin ka upay karne ke liye kheera, kakdi aur kache aalu ko chehre par ragde.
6. Ande (egg) ki safedi oily face ko tone karne aur tavacha ko tight karne mein kargar hai. 1 anda tod kar iska

1/3

safed hissa chehre par lga kar 15 minute ke liye chod de fir dho le. Ande ke safed bhag mein aap thoda
nimbu ka ras bhi mila sakte hai.

Oily Skin Beauty Tips in Hindi


Oily skin ho to face ko sabun se wash kare.
Dhoop mein bahar jane se pahle sunscreen lotion lagaye.
Tala hua khana, chini aur fatty food khane se parhej kare.
Makeup ka paryog kam kare.

Dry Skin ke Gharelu aur Ayurvedic Nuskhe


Rukhi tavacha ko oily ke mukable jada care chahiye hoti hai kyuki jiski tavacha dry hoti hai uski age jada dikhne lagti
hai. Dry skin par jhuriyan aur rashes jaldi padte hai. Jada thande aur jada garam mausam mein chehre mein nami
kam ho jati hai, iske ilava kisi bimari ke upchar mein li jane wali medicines ki wajah se bhi tavacha mein rukhapan
aane lagta hai. Dry face ke upay ke liye gharelu nuskhe.
1. Skin moisturize karne ke liye haldi aur nariyal tel ka ubtan bana kar chehre par lagaye, isse face par glow
aayega.
2. Nahane se pahle body par sarso ka tel lagaye, kuch din lagatar ye desi tarika apnane se dry skin ki problem
khatam hoti hai.
3. Aloevera skin ke liye natural beauty product hai, aloe vera ke patte ko beech mein se kaat kar chehre par
ragde, isse face par jami dhul mitti ke kan bahar nikalte hai aur chehra saaf hota hai.
4. Rukhi tavacha ka upay karne ke liye shahad ka paryog utam hai. Shahad ek natural moisturizer ki tarah
kaam karta hai.
5. Doodh ki malayi mein haldi mila kar face par lagane se rang gora hota hai. Jane Rang Gora Kaise Kare.

Sawle Rang ko Gora Karne ke Upay


Gharelu Nuskhe for Face Beauty in Hindi

1. Rang gora karne ke liye nimbu ke ras mein haldi mila kar lagane se fayda milta hai. Jinki skin oily hai unke liye
bhi ye upay acha hai.
2. Besan, doodh ki malayi aur haldi ko mila kar paste bana le aur face par lagaye. Jinki tavacha oily hai vo ye
nuskha na kare. Rukhi tavacha wale is skin care tips ko apna sakte hai.
3. Apple cider viginer, haldi aur aloevera juice ko mila kar ek paste bana le aur chehre par lagaye. Is paryog ko
karne se chehre ka sawlapan door hone lagta hai.
4. Chehre mein chupi mitti aur dhul ki wajah se bhi pimples aur kil muhase nikalte hai. Skin care ke liye chehre ko
bhap dena kafi acha hai. Isse chehre ke rom chidar mein jama mitti, tel aur dead skin nikal jati hai.

2/3

5. Face ke rom chidro se mel nikalne ke liye jaruri hai ki face wash karte rahe khas kar tab jab aap kahi bahar se
ghar aaye ho.
6. Chehre se dead skin nikalne ke liye kacha papita kaat kar chehre par male, isse face par nikhar bhi aayega.
7. Doodh mein shahad aur gulab ke patte mila kar paste bana le. Chehre ka rang saaf karne aur nikhar lane ke liye
ye utam upay hai.
8. Paka hua tamatar aur ananas ka face pack bana kar chehre par lagane se twacha ka kalapan kam hota hai aur
gorapan aane lagta hai.
9. Aawla powder, besan, dahi aur haldi ko mila kar ek lep bna le ab isme thoda nimbu ka ras aur aelo vera juice mix
kare. Is facial pack ko chehre par lagane se skin moisturize hogi aur kale dhabe bhi khatam honge.
10. Tulsi ke lep lagane se bhi chehra khil ( glowing face) uthata hai.

Dosto Oily aur Dry Skin Care Tips in Hindi, Sawle Rang ko Gora Karne ke Gharelu Upay ka ye lekh aapko
kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass chehre ko sundar banane ke ayurvedic nuskhe ho
to hamare sath bhi share kare.

3/3

Potrebbero piacerti anche