Sei sulla pagina 1di 81

yehi wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi


yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
safeena doob raha hai, to koi baat nahi
rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
kise majaal kahe koi mujh ko deewana
agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

apne aagaaz se aaaj tak zindagi

teri hi yaad main gum rahi

phir bhi jaane kyon yeh ihsaas hai

jaise chaahat meri kam rahi


apne haatho se yun chehre ko chupate q ho
mujh se sharmate ho to saamne atay q ho

tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa


pyar karte ho to phir pyar chupate q ho

ashq aankho mein mere dekh k rote q ho


dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q h

in se vaabasta hai jab mera muqadar phir ....


mere shano se ye zulf hatatay q ho......

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho


milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...

apne haatho se yun chehre ko chupate q ho


mujh se sharmate ho to saamne atay q ho...
yeh qana aut hai qata aut hai ke chahat hai faraz
hmu to raazi hain who jis haal main jaisa rakhe
ghuftogho kijiyye key yeh fitrate insaan hai shokaib
jaale lagh jaate hain jub band makaan hoon
kiya khaber thi ke muhabbet ke safar main tanhaa
bina manzil ke chalna hooga
mashall e ghum na bujhaoo ke phir iske bager
raasta gher ka bhula deti hain yaadien
jorde laghte gaye fasaane main
raaz khulte gaye chupaane main
roothne ka sabab to tum jaano
hum to masroof the manaane main

jorde laghte gaye fasaane main


raaz khulte gaye chupaane main
roothne ka sabab to tum jaano

muhabbat main her zakham khatey rahey hain


magar phir bhi hum muskuratey rahey hain
kisi morr pe humse mil jayeingey woh
tasalli yeh dil ko dilatey rahey hain
talab terey bin kuchh nahin hai khuda se
younhi haath ooper uthatey rahey hain
kitabon main rakhi woh tasveer teri
subh-o-sham khud ko dikhatey rahey hain
zamaney ka darr us ko basla nahin hai
nazar pe nazar woh milatey rahey hain

main chaahataa bhii yahii thaa vo bevafaa nikle


use samajhane kaa koi to silsala nikle

kitaab-e-maazii ke auraaq ulat ke dekh zaraa


na jaane kaun saa safaa mudaa hua nikle

jo dekhne mein bahut hii qariib lagataa hai


usii ke baare mein socho to faaslaa nikale
phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya ---
dil jigar , tishna-e-faryaad aaya ---
dam liya tha na qeyamat nay hunooz ---
phir tera waqt-e-safar yaad aaya ---
zindagi yoon bhi guzar hi jaati ---
kyun tera rah guzar yaad aaya ---
aah ! woh jurrat-e-faryaad kahan ---
dil se tang aa ke jigar yaad aaya ---
phir teray koocha ko jaata hai kheyal ---
dil gum gushta magar yaad aaya ---
main nay majnoon pe larakpan main basla ---
sang uthaya tha ke sar yaad aaya ---

haal e dil dostoon say chupaya nahi kartay.


jo detain hann dhoka wo dost kehlaya nahi kartay.
ati jin say zara bhi dosti ki khushboo.
un ko bar bar azmaya nahi kartay.
jo rakhtay hann bharam dosti ka imar bhar .
un doston ko kabhi bhulaya nahi kartay…
dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
raat kaali sahi koi gham na karo
ik sitara bano jagmagatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho
baant'ni hai agar baant lo har khushi
gham na zahir karo tum kisi per kabhi
dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho
ashk anmool hain kho na dena kahin
in ki har boond hai motiyoon se haseen
in ko har ankh se tum churatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho
faaslay kam karo dil milatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho

itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,


ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !

pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,


main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,


kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !

zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,


tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,


main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga !

itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,


ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !

us larki k naam ...........


zindagi ki khawahish main
ek benaam si manzil par,
chalti huey yeh larkian
kya janain
yeh raasta unhain kahan tak lay jai ga
waqt ka pahiya jab achanak beraham ho jai ga
wafa ka waada karnay wala bewafa keh laai ga
chahat ka daawa karnay wala, tum ko dooshi thehray ga
tab khulay gi ek haqeeqat
yeh duniya mardoon ki hai
raaj chalta hai chaar soo inka
qoum humari hai bebus
dekho tu larki, ghoor karo
tum hi kyon majboor bano,
zalimoon k zulm saho,
kyon tum nay banaya khud ko beqas,
laachar,majboor aur bebas,
kyon ansoon hain taqdeer tumhari,
kyon khushiyaan tum say rooth gai hain
kyon auraat hi wafa ki dewi,
kyon is k zimmay hai qurbani,
shayad....
barsoon say aisa hi hota aya hai,
sadiyoon tak aisa hi hota jai ga,
ek na ek din har jhoota bharam toot hi jai ga,
haath pakar kar chalnay wala jab dhooka day jai ga,
yeh rasta sirf aur sirf mout tak lay jai ga,
phir tum soocho gi, ghabrao gi,
roo lo gi, pachtao gi,
suno larki.....,
gaar tum bachna chahti ho, zinda rehna chahti ho,
apnay qadam wapis lay lo,
ab bhi waqt hai lout aaoo,
lout aaoo tum lout aaoo.............
teri yadoon k saye se door

daman hum apna bachate rhey

tum samjh na sakey bewafa akher hum ko

bas jafaon se hi azmate rhey

teri ek muskhurahat par hum mar jate

magar tum bewafaion k nashtar chalate rhey

shayed k kabhi ajay unhein khyal hamara

bas yehi umeed hum dil ko beylate ray

wo to pathar ki murat hai na pighley gi kabhi

hum nadaan they jo iss se dil lagate rhey……

aziiz itanaa hii rakho ke jii sambhal jaaye


ab is qadar bhii na chaaho ke dam nikal jaaye

mile hain yuun to bahut aao ab milen yuun bhii


ke ruuh garmii-e-anfaas se pighal jaaye

muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadakaa saa


ke jaane kaun kahaan raastaa badal jaaye

rahe vo dil jo tamannaa-e-taazaa tar mein rahe


khushaa vo umr jo khvaabon hii mein bahal jaaye

main vo charaag-e-sar-e-rahaguzaar-e-duniyaa huun


jo apanii zaat kii tanhaaiiyon mein jal jaaye

har ek lahjaa yahii aarazuu yahii hasrat


jo aag dil mein hai vo sher mein bhii dhal jaaye

~*~.........~*~
manzlian bhi us ki thee ..rasta bhi us ka tah ...log bhi
usi k tahy karwan bhi us ka tah ..sath sath chalny ki
khawishain bhi us ki thee ..or phir bichrny ki arzo bhi
uski thee ...ajj q aklyaa hon dil sawal karta hay....log to
usi k tahy kia khuda bhi us ka tah

meri dharkan se dil ka dharkna mangoge


meri dharkan se dil ka dharkna mangoge
ek din tum mujhse mera pyaar udhar mangoge

main voh phool hoon jo tere chaman se na niklega


apni veeran zindagi ke liye bahar mangoge

farsh ta arsh ajal aur abad sab dekhenge manzar


beete huei har lamho ka tum azaab mangoge

abhi dekha hi kahan hai tumne meri muhbbat ka asar


tum mujhe ulfat main apni shamo-o- sahar mangoge

behtar hai waqt se samjhuta kar lo manan


guzre waqt se phir kaisay apna hisab mangoge

sabhi udaas moasam hain kabhi milney chaley aao


dukhon main ham tu gum sum hain kabhi milney chaley aao

tumhare baad kaise roanaqain is dil ki nagri main


sabhi charagh madham hai kabhi milnay chaley aao

tumharay paas tu hon gi zamane bhar ki sab khushian


hamare paas tu gham hain kabhi milney chaley aao

tumhari yaad ab dil ko bohat takleef deti hai


nigahain bhi tu purnam hain kabhi milney chaley aao

lagey hain zakham kitney bay baha dil pe mohabbat main


tumhare lafz merham hain kabhi milney chaley aao

bohat hamderd hain yun tu hamarey bhi zamane main


mager phir bhi bohat kam hain kabhi milney chaley aao
yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhte rasta
k khushian bhi tu berham hain kabhi milney chaley aao

na jane kab yeh feroz haar day sanson ki bazi ko


isse lahq tere gham hain kabhi milney chaley aao

"o0r kuch nahin hota to0 bhari barish


mein .........
tujh say bichday huay rasto0n pay safar
karta ho0n.........

shart-e-wafa
is zamanay say na hum koi gilaa rakhain gain
dil lagain gain tu na shart-e-wafa rakhain gain

na dekhain gain kabhi dil pay lagay zakhm unhain


dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gain

jaan day daingain agar aik ishaara kar day


hum usay apnay liey bhi na bacha k rakhain gain

sab hata daingain teri raah ki rukawat humdam


ghar k darwazay ko har waqt khula rakhain gain

unki har baat ko bhoolay say na bhoolain gain kabhi


unki yadoon ko bhi seenay say laga rakhain gain

toot bhi jay gi umeed jo terey aanay ki


ek diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gain….
aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do;
tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do;

duniya ke ghum soonp ker mujhe;


ab khush rehney ki dua na do;
dikhla ker mekhaney ka rastaa phir;
ab-e-zam zam ki sada na do;

kaantey bhar ker merey daaman mein;


mujhe pholoon ki si adaa na do;

mila ker zeher merey ja’am mein;


mujhe be-wajah maut ki wajah na do;

gunaah jo sarzad hua hee mujh se;


pal pal be gunaahi ki saza na do;

badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab;


uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do;

mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey;


ilzaam magroori ka de ker ye sila na do;

jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se;


pal bhar ki khalish se isey bujha na do;

mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon;


mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do;

zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool;


nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do;

cheen ker mujh se zindagi meri;


mujhe aur jeeney ki bad’dua na do

************
mout per bhi hey yaqeen
un per bhi hey itbar
dekhtey hain pehley koon ata hey
humain donoo ka intazer hey

kuch yadain dil per jum jati hain


jinhy nah barish ka pani mita sakta hai
na hi uonhy hawa ka zoor doour laiy ja
sakta hai
nah yee kisi terha hawa mai tahleel
ho sakti hain

nah mai inhe khurach ker


nikl sakti hain
aaisi hi ek yaad mery dil per hai

woh ekpal jisme humne dunya ji li


woh lamha amer ho chuka hai
lakin

aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota

sunno ek baatkahni hai

lout ao
lout ao

************
ankh ban jati hia sawan ki ghata sham ke baad
loat jata hia ager koi khafa sham ke baad
woh jo tal jati rahi sir se bala sham ke baad
koi to tha jo deta tha dua sham ke baad

ahhey bherti hia shab-e-hijir yatimoo ki terhan


sard hojati hia her roz hawa sham ke baad .

sham se pehley lakh sulaey rakhiey


jag uthti hia mohobat ki ana sham ke baad ,
sham tak qaid raha kertey hia dil ke under
dard ho jatey hia sarey hi riha sham ke baad,
khuab toot ker lipat jatey hia band ankho se
janey kis jurum ki hia kis ko saza sham ke baad,
chand jaab roo ke sitaroo se galey milta hia
aek ajib rang ki hoti hia fiza sham ke baad,
main ager khush bhi rahoon phir bhi mere siney main
soogawari to roti hia sada sham ke baad ,
tum gaey to siyah rang ke kaprey pehney
phir ti rehti hia mere gher main qaza sham ke baad ,

main ne tanhai se poucha miloo gi kaab tak


us ne foran hi baicheni se kaha sham ke baad
loat ati hia meri shab ki ibadat khali
janey kis arsh per rehta hia khuda sham ke baad ,

ajib muthi main jakrey rakhta hia din mujhey


mujhey iss baat ka ahsas howa sham ke baad,

koi bhoola howa ghum hia jo musalsal mujh ko


dil ke patal se deta hia sada sham ke baad,

mar deta hia ujer janey ka dohra ahsas


kash koi ho na kisi se juda sham ke baad ,,……………..
y our absence should be long
enough ...... so that somebody
misses u.
....but it should not be so long
.....that somebody learns to
live without u.
so .... keep in touc h

" oh love "


oh love, reach out with your heart,
i have been there from the start.
with love and feelings waiting to flow,
a mortal heart of love to fill your soul.
a fantasy of dreams with love that you had,
a true desire of love in heart makes me sad.
oh love, reach out from the past of time,
all past feelings of love you will find.
open your heart and soul with your care,
a tranquil of love from my heart fills the air.
reach out one more time from your heart,
embracing that love we shared from the start.

apne har har lafz ka khud ayina ho jaoonga


us ko chotha kah ke main kaise bada ho jaoonga

tum girane main lagay thay tum ne socha hi nahi


main gira to masla ban ker khada ho jaoonga

mujh ko chalne do akaila hai abhi mera safar


raasta roka gaya to qafilaa ho jaoonga

saari dunya ki nazar mein hai mera ahd-e-vafaa


aik tere kahne se kya mein bewafa ho jaoonga

jab say ahsaas kay shouloon nay bharakna seekha


shama -e- zeest nay har aan peghalna seekha

teri qurbat nay jalaey thay jo is dil main charag


teri doori say charagoon nay bharakna seekha

ak sannata tha , weeraan thi guzargah -e- hayat


janay kab dil nay mohabbat ko samajna seekha

aqal walay bhi jaha thokarain kha kha kay geray


ham nay us rah say darasal sambhalna seekha

dil ke har baat negahoon say ayaan hote hai


yah nazer milnay pay is dil nay samajna seekha

saher -e- ulfat say nekal paya na zohra wo kabhi


jis nay is raaz -e- mohabbat ko samajna seekha
du'aa (prayer) -- a nazm for pakistan's independence day, 1967
aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin
aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de
jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
un nazroon peh koi raah ujagar ker de
jin ka deen pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile
ishq ka sir-e nihaan jaan tapaan hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaan
aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e

uss akhri nazar mein ajab dard tha ali


jaane ka uss ke ranj mughe umar bhar rahe

judaiyon huwi to aisi ke umar bhar na milen


fareb do to zara silsile barha ke mughe

bicharte waqt kisi se humein bhi tha yeh guman


ke zakham kaisa bhi ho,umar bhar nahi rehta

awaz de ke dekh lon shayad woh mil hi jae


warna yeh umar bhi ka safar raigan to hai

ik dosre ko jaan na pae tamam umar


hum hi ajeeb the ke zamana ajeeb tha

paane ki arzoo bhi jo hoti to kis tarah


khone ki lazaton mein hi ik umar kat gai

hum tumhain bhuladen, yeh mumkin nahi raha


agar ho sake to tum hi, hamain bhuladena

shikwa na karenge koi ,zingadi bhar tum se


chaho to dil se meri ,tasweer bhi mita dena

pyaar ki kahani jo kabhi ,shuru hui thi darmiyan


is kahani se agar hosake to ,mera naam mita dena

zindagi bhar tumhain ,bewafa na kahenge hum


chahe tum khud hi mujhe ,dil se bhula dena
…………………………………………………………………………………………………………………………
…..
hum to dushman ko bhi pakeeza saza dety hain
haath uthay nahi nazroon say gira dety hain
socha tha pyaar main jannath basayen ge hum
thi kia khabar ke hum tanhai main ansoon bhahaan ge hum.
aik naam hi likha hai, ais dil-e- mohabbat se
taqdeer ka likha tha, ansoon se mitaa ne ko

woh aik pal tha khushi mujh ko us ke naam se milti thi


magar ab jab bhi rota hoon usi ki yaad aati hai.

ajeeb rang main guzri hai zindagi apni


dilon pe raaj kia, phir bhi pyaar ko tarse asgher,

dil ke bazaar main qeemat nahi dekhi jatee


pyaar ho jaye to surat nahi dekhi jati dosto

hum bad-naseeb mohabbat ke haqdaar nahi bante.


never_loose_hopes <never_loose_hopes@yahoo.com> wrote:
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai

yeh mehloon,yeh takhtoon,yeh taajoon ki duniya,


yeh insaan key dushman samaajoon ki duniya,
yeh doolat key bhookey riwajoon ki duniya,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

har eik jism ghayal,har eik rooh piyaasi,


nigahoon mein uljhan,diloon mein udaasi,
yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

yahaan eik khiloona hai insaan ki hasti,


yeh basti hai murda parastoon ki basti,
yahaan tu jeevan sey hai maut sasti,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,


jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
yahaan pyaar hota hai beopaar ban kar,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,


wafa kuch nahi,doosti kuch nahi hai,
yahaan pyaar ki qadr hi kuch nahi hai,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

jala du isey,phoonk daloo yeh duniya.


meray saamney sey hata loo yeh duniya,
tumhari hai tum hi sanmbhaloo yeh duniya,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

apne hontoon se lagana chahta hoon


tere dil mey samana chahta hon

tumhey apne pyaar mey rang kar


apna ghar basana chahta hoon

mey tum se pyar karta hon


haan mey tumhey yeh jattana chahta hon

tumharey aanchal se apna aanchal band kar


tumhey mey apna banana chahta hoon

tere daman par apna sir rakh kar


mey khud ko bhool jana chahta hoon

tere pyaar is ghareeb k lye hai ya nahi


aaj mey yeh aazmana chahta hoon

yeh hein mere dil k kuch armaan


jo mey is zindagi se chahhta hoooonnnn

jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai


wo mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai
bicharh kar us se pereshan mein to hoon
par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai
tadaptaa hai jo bina aapke
use gair ka saath nahin chahiye
nashe mein hoon main sharaab ke
yeh khaali gilaas nahin chahiye

kitaabon mein jo rakhe woh phool yaad ate hain


haathon mein leke jaam ham ab muskaraate hain

mudkar mat dekhnaa


yeh waqt thehar jaayega
paani teri aankhon ka
meri aankhon mein utar jaayega

aansuo mein raatbhar rona pada ,


tere milan se to haath dhona pada ,
tera milna tha khwaab mera ;
khwaab laane ke liye sona padaÂ…

dil ki sada ho...!!


pahle baarish ki bund ho tum
raat mein nikalta chand ho tum
machalta armaan ho tum
kah na paaya woh baat ho tum
thandi hawa ho tum
haya ho tum
fiza ho tum
niswaarth prem ka pratik ho tum..

jab tumahara dil udaas ho


humari muskaan ko yaad kar lena
jab sub saath chod de tera
humari baahon ko yaad kar lena

hajaro jaam piye hai humne tumse bichadne ke baad,


par woh nasha nahin jo tumhare hoto se milne ke baad
khhoob gaye pardes ke apne, deewaaro dar bhool gaye,
sheesh mahal me aisa bhi kya, mitti ke ghar bhool gaye

hum to musafir hai.. koi safar ho


hum to guzar jaayenge heee..
lekin lagaya hai jo daav hum ne..
woh jeet kar aayengehee

padte hain sanam teri khat ko hum, in labon se chumne ke baad !


jab labon se pehle is dil ko aa jati hai teri yaad

jee raha hoon kis liye mai iss gam-e zindagi ko,
marke bhi keh na sakoonga apni kahaani ko !

chup raha to mar degi mujhe meri hi tanhaaee,


keh diya to seh na sakoonga mai duniya ki rusvaee

agar kuch thi to bas itni tamanna aakhri apni


ke tum saahil pe hote aur kashti doobti apni

jhoothe waadon ke haathon par


main rakh ke sar so jaata hoon
ek murdaa si pagdandi par
umeed ke diye jalaata hoon

merii aarzoo men rahi hai tuu


mere dil-o-jaan men basi hai tuu
tujhe kaise dil se judaa karun
mere dil ki khilti kali hai tuu

kyun sonch men doobaa hun, kyun jaan pe aayii hai


mujhko to pataa thaa ye, ulfat men judaaii hai!

meethi se yaad teri hai


teekhi si baat meri hai
tum jo na kah sakay ho
wahi kadwi baat meri hai...
dilo ka logo nein bazar laga rakha hai
ishk ko jaisey karobaar bana rakha hai
khelna dil sey jalan hai k sukhan
apni surat pey ishtihaar laga rakha hai

apni hasarat ka hai maatam kaisa


ek ek lash k das tumney kharidaar bitha rakha hai
dard hasil hai jo pakizah hai
is tarhaa tumney kyu nilaam laga rakha hai

apni hasti pey sitam yaad hai ab tak tumko


aur sitam tumney wo sab khud pey saza rakha hai
koi koshish n karey dil ko dukhaney ki jahhan ??
dil ko tumney kyu saman bana rakha hai

lafzoon mein fasany dhoondty hain ham loog


lamhoon mein zamany dhoodhty hain ham loog
tu zehar hi dy sharaab keh kar saqi
jeeny ky bahany dhoondty hain han loog

dil ki baate.n dil mei rakhe


kis tarha se jee paogi
meri hai vo dil ki dhadkan
kaise unhe chhipa paogi

hamare dil mei toh dher sari


baten karvaten leti hai
par zubaan par nahi aati hai
kahane ko lab khole to sharm
se nazar jhuk jaati hai

jo kuchh kahana thaa woh


zubaan to naa kah paayi
par saanso ki aawaz ne
har baat unn tak pahonchaayi

jee rahe hai hum tanha


aur tera gum tanha
kaise sahenge tere har sitam tanha
yeh hawa bhi roti hai mere dil ke zakhmo par
kaise muskuraayegi ye chashme-nam tanha

jee rahe hai hum tanha


aur tera gum tanha

saath koi kya dega


is zindagi ki raho mein

subaah bebasi tanha


shaam-e-dardogum tanha
jee rahe hai hum tanha
aur tera gum tanha

kaisa beadab dost hai mera,


chandni hee lay gaya,
ghustaak ! aaya thaa dil mera roshan kerne,
dekho dil hee ley gaya !!

baat itni si hai kehdey koi naadaano se


aadmi who hai jo khela kare toofaano se

mohabbat chod di maine, gareebaan see liya maine


zamaane ab to khush ho ja zehar yeh bhi pee liyaa maine

mohabbat mein jo saadiq hai woh kab faryaad karte hai


zubaan pe mere khamoshi hai dil mein yaad karte hai

puchha hai kai baar kisi ne pata mujhse meri taqdeer ka,
meri mohabbat ke kore kagaz par bani huee tasveer ka !

na bata saka hun aur na hi khud jaan saka hun mai,


rang un gore hathon mai mere ishq ki laqeer ka !!
ahsaas to hai hame, judaee main jeene ka !
magar mazaa aata nahin, sabar ke ghoont peene ka !!

nazar jhooka ke dekhoon, yaa palke uthaa ke dekhoon !


e-mere mehboob, tujhe mai kis tarah se dekhoon !!

mere khune-arzoo ko woh samaz rahe hain paani,


unhe honsh tak na aya meri loot gayi jawani

jitne bhi gham the dil ke,


duwaon me aagaye,
hum leke sab chiraag,
hawaaon me aagaye.

main waqt ki mez pe ek dard ka guldasta hoon,


bahaar ke baag main patjhar ka rasta hoon,
aur aajkal zindagi ki fitrat hi kuch aisi hai ki,
aanchal ke saaye mein bhi, dhoop mein phansa hoon........

apne ghar ke bagiche me


gulaab ke phool khila dena
jab humari yaad sataye to
un gulaabo ko dekh kar muskura dena

love is a fire but whether it is going to warm your heart or burn


down your house you can never tell.

we take a risk when we open our hearts because the truth is if we


open our hearts we will get hurt you cannot open your heart and not have
some hurt.

one best book


is equal to
hundred good friends...
but,
one good friend
(like u) is equal to
a library..! good morning have a nice day
titaliyaan phoolon mein manderati to hongi,bhavro ka man lubhati to
hongi,hum tadapte hai thumari yaad mein pal pal,hichkiyaan aapko bhi
aati to hongi...

dil k kareeb aa k wo jab door ho gaye, saare haseen khwaab chur-chur


ho gye, hamne wafa nibhayi toh badnamiyan mili, aur jo log bewafa the
woh mashoor ho gaye..

pyar ki baharoon ka maza bhi nahi le sakta


kyu tere ansun ka katra bhi nahi le sakta
yun to hazar bar zafa ki hai maine
tujh mai kya bat hai ki dagga bhi nahi de sakta

saare dost bewafa ho gaye hum apne mobile se khafa ho gaye ek sms
toh kar de yaar warna duniya wale samjhenge ki hum dono juda ho gaye...

kuch kahe to wo kehte hai bahut bolte ho,chup rahe to wo puchte hai
naraz ho?dilki baat kaise kahe?izhar karne se kehte hai mazak karte ho.

halaat se pyar ki saza mil gai,dekhte hi dekhte jindgi badal


gai,pyasi nigahe liye khade the hum unke intzaar me,unhone hume dekha or
unki
rahen badal gayi.

humase door hoke bhi hamare paas ho .hamari sooni zindagi ki aas ho
tum .kaun kehata hain humase door ho tum .yaadon ki rooh me hamari sham
ho tum.

hanjuaan da vapaar karan di aadat hai, pathraan naal pyaar karan di


aadat hai, jhootha hi wada kar le sohneya, saanu ta aetbaar karan di
aadat hai...

tusin rusde rahe asin manaunde rahe,terian raawan ch palkan


vichaunde rahe,tusin nazar mud k v nahin takeya te asin aakhan jhapkaun ton
v
katraunde rahe...

hanju sadi takdir,asin hanjuan de vitch rul jana, asin umran tak
tuhanu yaad rakhana,par tusi hauli hauli bhul jana...

'mere' dil vich si thikana usda,


do kadam vi uston aaya na gaya.
main puchheya kyon todia tu vada mera,
tan hass ke boli bas nibhaya na gaya'...

asi maut rok rakhi te ohda intzaar kita,dostan de jhuthe lareyan da


aitbar kita,
asi jaan den laggia ik pal v na laayia,te usne jaan laindyan nkhra
hazaar kita.

aashiq puche rab nu,"tu jagg pyaar da vairee kyun bna chadya?"
rab hasseya te boleya, "ashiqan ne kehra mere naal changi kiti, ohna v
yaar nu rab bna chadeya."

jive langdi hawa sukke patteyan cho,ove naina cho hoke supne langde
rahe,bina mangeya hi dukh sanu mil gaye bathere,ik mileya na pyar jo si
mangde rahe.

waqat mile je fursat de pallan chon,meri yaad nu seene naal la


lavi,doori taan teri meri pata nahin kini hove,kite dilan ch doorian na pa
lavi.

ki kariye lokan da,


har gall nu lok jhamela kehnde ne..
je sms na kariye taan kanjus,
je kariye taan vehla kehnde ne...

aashiq ne pucheya rab nu,"tu jagg pyaar da vaire kyun bna chadya?"
rab hasya te boleya, "ashiqa mere naal kehri changi hoyi, tusi v yaar
nu rab bna chadeya."

manzil na de charaag na de hosala to de


tinkey ka hi sahi tu magar aasara to de
main ne ye kab kaha k mere haq main ho javaab
lekin khaamosh kiun hai tu koi faisala to de
barson main tere naam pe khata raha fareb
mere khuda kahan hai tu apna pata to de
beshaq mere nasib pe rakh apana ikhtiyaar
lekin mere nasib main kya hai bata to de ..

~*~....~*~
hum faqeeroon se dosti karloo
sikhaadeinge dang baadhshaahi ke
<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
zaat k samandar main doobtay ubhartay hain

zaat k samandar main doobtay ubhartay hain


jo kinaaray lay jaein tinka woh nahin milta

dard say sisakti hay zaat yohn khandar ho kar


her qadam bekhartay hain aasra nahi milta

is ghulam gardish main phir rahay hain sadiyon


say
hain khizar kay mutlaashi per humain nahi
milta

dhoop dhoop kartay thay hum hi sard mousam


main

phir rahay hain dar-ba-dar hum talash main


ghar k
loutna tu chahtay hain raasta ab jo dhoop nikli
hay saiban nahi milta
nahi milta
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
i could see you before me when my eyes
shut...
i could feel your touch when breezes hit
me...
i could hear your voice when i listen to
soft music...
but i don't want all these...
all i need is your love for me.
it's my love for you that is leading my life.

oh my beloved!
with all my love filled in my heart, i am
waiting for you alone in the garden of this
beautiful world
come on wherever you are and say that
you love me.
i would even die for your love.

<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………………………>>>>>>>>>>>>>>
ya allah yeh larkay bhi kitne ajeeb hote hain......
larkion ki batein kerte hain yeh kitne ghareeb hote hain.....
.koi jo chahta hai mil jata hai kisi ko nahien milta.......
yeh to her aik ke apne naseeb hote hain..
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
zindagi tu guzer kiun nahi jati ik baar
yun rooz rooz marna bura lagta hai ...
meri in ankhon ki nammi ko kon mahsoos karay
mujhsay to har koi badguman lagta hai..
bhol jana kathin to nahi magar asaan bhi nahi
main uss musafer ki tarha hon jisko agaaz bhi ikhtitam lagta hai ...
<<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………….>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

pyaar chuptta nahin


chupanay say
pyaar chupta nahin chupaanay say.
paas aatay ho chootay ho baat kartay ho,
kabhi mutlab say kabhi bahaanay say.
poochh lo tum bhi is zamaanay say,

pyaar dil main hai tu laao zabaan pay,


aag barhti hai yeh bujhaanay say.
tumhain na paana shaayad behtar hai,
paa k phir say tumhain ganwaanay say.
chalo ek dua to apni poori huey,
mil liey apnay ek deewaanay say.
roye jaatay ho, bas roye jaatay ho,
kya hoga yeh dhan lutaanay say.
karo koshish ki kurbatain hi rahain,
dooriyan barh jaati hain barhaanay say.
kya sunaayain kisi ko raaz-e-dil,
dard bhi barhta hai sunaanay say.
bhool jaao kar k achha hai..mohsin
ehsaan rehta nahin jataanay say.
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………………..>>>>>>>>>>>>>>

one song can spark a moment,


one flower can wake the dream.
one tree can start a forest,
one bird can herald spring.
one smile begins a friendship,
one handclasp lifts a soul.
one star can guide a ship at sea,
one word can frame the goal.
one vote can change a nation,
one sunbeam lights a room
one candle wipes out darkness,
one laugh will conquer gloom.
one step must start each journey.
one word must start each prayer.
one hope will raise our spirits,
one touch can show you care.
one voice can speak with wisdom,
one heart can know what's true,
one life can make a difference,
you see, it's up to you!
<<<<<<<<<<<<<…………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.

woh mera hai magar


mera nahin
woh mera hai magar mera nahin
merey qareeb nahin
woh merey dil main hai
magar mari zandagi nahin
woh mari nazar main hai magar
merey samnay nahin
woh meri qismat main hai magar
mari taqdeer main nahin
woh mera humsafer hai magar
merey saat nahin
woh mari rah main hai magar
mujhay milta nahin
woh mari yaad main hai mager
main isay yaad nahin...!!!
mere dukh kii koii davaa na karo
mujh ko mujh se abhii judaa na karo

naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir


duub jaao, khudaa khudaa na karo
ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
dost banakar kabhii wafaa na karo

ishq hai ishq, ye mazaak nahiin


chand lamhon men faisalaa na karo

ashiqii ho ya ba.ndagii 'faakir'


be-dilli se to ibatidaa na karo

ajab dil hy muqader se rukhsatein maange


ye shehar-e sang mein reh ker bhi chahtein maange
wo paiker-e sitam k ubharta hy nafraton ko sadaa
mager ye dil k uss he se mohabatein maange
mien ulfaton k siwa kuch na de sakoon jis ko
ajeeb shakhas hy wo mujh se nafratein maange
dil mein hasrat hy k taaron se sajaa doon uss ko
aik wo k her dam siraf zulmatien maange

<<<<<<<<<<<<<<<<………………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
ye ibaaratein jo haraf haraf
meri tumhari gawah hui hein
ye he hisab-e dostan , paiman-e wafa ki asas
nazer basadd-e khaloos-o ehitram
meri kitab-e dil ka intisaab
ab faqat tumharay naam
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<……………………………….>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
ab faqat ye kehna hy mujeh
k
hoslay k aadmi
apnay dil k zakhmon per muskura bhi saktay
hein
butt bananay walay haath
faisalay k lamhon mein
butt gira bhi saktay hein
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<…………………………..>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

*hum nahi chatay*


"shaam furqat
javascript:ol('http://groups.msn.com/immohsin/messages.msnw');

dhalay hum nahi chahtay


ghum say fursat milay hum nahi chahtay

phir naya waar sehnay ko tayar hain


tu pareshan rahay hum nahi chahtay

aaj ansoon bahanay say mat rookiey


aaj barish thammay hum nahi chahtay

hum terey baad ujray huey theek hain


ab kahin dil lagay hum nahi chahtay

terey pekaar ko hum dekhtay hi rahain


tu nazar say hattay hum nahi chahtay

kis qadar dil nasheen hai yeh mojon ka shoor


ghum ka darya rukay hum nahi chahtay

is qadar pyar say tu pukara na kar


aag dil ko lagay hum nahi chahtay
khoshi ka ghum hai,na ghum ki koi khoshi ab to !
bohat udaas guzarti hai zindgee ab to !

tere bagher bhi dil ki tasaliun ke liye


lk intzaar ki shab thi, so dhal chuki ab to !
lk ashna ke bicharne se kai nahi badla
hawa-e-shehar bhi lagti hai ajnabi ab to !
tamam raat rahi dil mein roshni ki lakeer
misaal-e-shama sehar wo bhi jal bujhi ab to !
chali thi jin se yehaan rasm-e-khudnahedari
onhein azeez hua zikr-e-khudkoshi ab to !
kaha gaye wo shanasa wo ajnabi chehray
ujaarh si nazar ati hai , har gali ab to !

tere ikhlas sey mohabbat ki hai


tere ehsas sey mohabbat ki hai...

too mery pass nahi hay phir bhi


teri yaad sey mohabbat ki hai...

main tum ko kis tarha bhool sakta hoon


main ne tere osaaf sey mohabbat ki hai...

kabhi to tu ney bhi mujhe yaad kia ho ga


main ne un lamhat sey mohabbat ki hai...

jin main hoon sirf tere or mery baten


main ney un oqaat sey mohabbat ki hai...

or jo mehke ho sirf tere hi mohabbat sey


main ne un jazbat sey mohabbat ki hai...

tujh sey milna to aab khawab sa lagta hai


main ney tere intezar sey mohabbat ki hai...

<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<………………..????????????????????
mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi

jaisy woh ajnabi larki

mujh se pyar karti hai mujhey chahti hai

akser yunhi chup chup ker dekhti hai,


janey kiya sooch ker nazrein chura jati hai

kuch ghabra si jati hai

apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai

mehsoos mujhey yeh hota hai k

shayad mujhey woh bohat chahti hai

mujhey aisa ehsas dilati hai

jesay woh mujh sey kuch kehna chahti hai

meray pochnay per kuch sharma si jati hai

kuch ghabra si jati hai

"suniyey" keh kar bhaag jati hai

ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey

aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey

dil bhi kitna pagal hai kiya kiya sochta rehta hai

kuch masoom se jazbey hain


kuch undekhey sapney hain

mager woh nahin janti shayad...!!! woh meri zindagi hai......

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,………………………………………..
itni muddat bad mili ho,kin sochoon mein guum phirti ho
itni khaaef kion rehte ho, har aahat say darr jati ho

tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhte rehte ho
kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kion jagtey ho

kaisay kahoon main akaila hun tujh bin aay dost meray
saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehti ho.

main dariyaa say darrta hun, tum dariyaa say bhi gehri ho
koun se baat hai tum mein aisi, itnay achi kion lagti ho.

meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhti ho


kehnay ko rehti ho dil mein, phir bhi kitney doore rehti ho.

dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par


jaan meri! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehti ho.

hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisi ho
tum ziddi bahot ho, jaisi ho, phir bhi achi lagti ho

main kesy ginwaoon mohabtein uss ki


mujhy kitni par gei hein aadtein uss ki

zindagi bas naam hi ki zindagi reh


jay gi
tu jo routi meri palkon pay nami reh jay gi,,
zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi,,

tark-e-ulfaat ke irade par zara phir sochiye,,


main chala jaaonga aur tu dekhti reh jay gi,,

ye nahi kehte ke tuj bin jee nahi paengy hum,,


haan humari zindagi mein ik kami reh jay gi,,

piyar ke sadqe ye lagta hai hamare darmiyaan,,


aur kuch na bhi raha ye dosti reh jay gi,,

main to tae kar ke chala jaonga duniya ka


safar,
, mere baren mein ye dunia sochti reh jayegi

gila bhee nahee ...


bichar giya hai too ab is say kuch gila bhee nahee
keh sach too yah hai k wo shaks mara tha bhee nahee
main chahata hoon isay or chahanay k siwa
maray liya koi rasta bhee nahee
hum ek doosray ki simt chal paray thay magar
kadam rukay bhee nahin rasta kata bhee nahee
dhuhaan sa kuch too yahan baraf say bhee utha hai
soo dil jalon ka yah asa koi pata bhee nahee
ragoon main jamay howay khon ki taha hai
wo harf-e-hijar jo is nay abhee kaha bhee nahi
last breath

from those around i hear a cry,


a muffled sob, a hopeless sigh,

i hear their footsteps leaving slow,


and then i know my soul must fly!

a chilly wind begins to blow,


within my soul, from head to toe,

and then, last breath escapes my lips,


it's time to leave. and i must go!

so, it is true (but it's too late)


they said: each soul has its given date,

when it must leave its body's core,


and meet with its eternal fate.

oh mark the words that i do say,


who knows? tomorrow could be your day,
at last, it comes to heaven or hell
decide which now, do not delay!

come on my brothers let us pray


decide which now, do not delay!

oh god! oh god! i cannot see!


my eyes are blind! am i still me

or has my soul been led astray,


and forced to pay a priceless fee

alas to dust we all return,


some shall rejoice, while others burn,

if only i knew that before


the line grew short, and came my turn!

and now, as beneath the sod


they lay me (with my record flawed),

they cry, not knowing i cry worse,


for, they go home, i face my god!
oh mark the words that i do say,
who knows, tomorrow could be your day,

at last, it comes to heaven or hell


decide which now, do not delay !

come on my brothers let's pray


decide which now, do not delay
hum dost to ban jain per humien yeh darr hai ke hum dosti ki keemat chuka na sakien...................
is dosti per hum mar mittien per shart-e-zindagi se wafa na kar sakien...

un ko rodad-e-gham-e-
ishq sunai na gai

un ko rodad gham-e-ishq sunai na gai,


aisi kuch bigari k phir baat banai na gai

hum nay kia un say raho rasm-e-mohabbat


karli,
dil main kuch aisi lagi agh bojha na gai

jal gaya shama pay parwana magar lab na


hilay,
raz ki baat thi gheroon ko sunai na gai
hum nay ki un say wafa un ki jafa k badlay,
dil ki duniya bhi magar un say basai na gai.
.

dil ki batain, bata deti


hain, aankhain
dil ki batain , bata deti hain , aankhain
dharkanon ko jaga deti hain, aankhain ,

dil pay chalta nahi jadoo, chehroon ka kabhi


dil ko tu , deewana bana deti hain ,aankhain,

woh hum say baat nahi kartay , tu na karain


haal sara unk dil ka , suna deti hain aankhain,

gham sada rehta nahi , aadmi k saath


ashk bana kar , chalka deti hain aankhain,

aata hai jab dor-e-jawani , tu aye dostoon


sundar sapnay zehan main ,basa deti hain
aankhain,

ma na k neend aati hai , aankhon hi k rastay


magar kabhi kabhar ,neend ,ura deti hain
aankhain,

shukar hai , khuda nay ata ki , aankhon ki


neemat humain
dard-o-gham ,saray dil k , chupa deti hain
aankhain
tumhy pyar nibhana aa to gaya ~*~

hum se na sahi,gairoon se sahi


tumhy dil ka lagana aa to gaya

dunya mein kisi k ho to gaye


tumhy pyar nibhana aa to gaya

pholoon k khuwab dikhaye mujhy


aor de dii baharein auroon ko

dil mera raha veeran to kya


gul tum ko khilana aa to gaya

baithy ho kisi k pehloo mein


aankhoon mein chamakta pyar liye

hum khush hain kisi k jeewan mein


yeh waqt suhana aa to gaya

dunya mein kisi k ho to gaye


tumhy pyar nibhana aa to gaya...!!!
jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai
wo mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai
bicharh kar us se pereshan mein to hoon
par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai

un ko rodad-e-gham-e-
ishq sunai na gai

un ko rodad gham-e-ishq sunai na gai,


aisi kuch bigari k phir baat banai na gai

hum nay kia un say raho rasm-e-mohabbat


karli,
dil main kuch aisi lagi agh bojha na gai
jal gaya shama pay parwana magar lab na
hilay,
raz ki baat thi gheroon ko sunai na gai

hum nay ki un say wafa un ki jafa k badlay,


dil ki duniya bhi magar un say basai na gai.
she walks in beauty

she walks in beauty, like the night


of cloudless climes and starry skies;
and all that's best of dark and bright
meet in her aspect and her eyes:

thus mellow'd to that tender light


which heaven to gaudy day denies.

one shade the more, one ray the less,


had half impair'd the nameless grace

which waves in every raven tress,


or softly lightens o'er her face;
where thoughts serenely sweet express
how pure, how dear their dwelling-place.

and on that cheek, and o'er that brow,


so soft, so calm, yet eloquent,
the smiles that win, the tints that glow,

but tell of days in goodness spent,


a mind at peace with all below,
a heart whose love is innocent!
jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay

jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay...

baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
gamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay...

nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam

barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay...

tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum

achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay...

teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal

unhain kaatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay...


*** kuch to kaho ***

kuch kaho
kuch to kaho
koi taiz si baat
koi khanjar sa lehja
mery naam kar do
koi toota houa taara
koi sookha houa phool
bhijwa do mujh ko
koi jhoota aansoo
koi boda jazba,
k yaroon kayii din beety
kayii ratein guzrien
mujhay kuch na mila
main khaali bohat hoon
main tanhaa bohat hoon...!!!

jahaan tak hadd-e-nazar hey


buss safar hii safar hey
saraab rahoon pey chaltey chaltey
yunheyn hasrat sey haath maltey maltey
aankheyn khooj rahii heyn
kissi rahbar koo
per koii rahbaar naheyn miltaa
jiss sey kah sakoon
mein iss jahaan mein
iss hajoom-e-beykaraan mein
tanhaa hoo giyaa hoon
haan mein khoo giyaa hoon
mujhey merey ghar tak ley jaeyey
mujhey mera ghar naheyn miltaa,,,,,,,,,,,,,,,.
************

wo kahin bhi rahe mere dil mein rahegi,


hansi banke labon pe sajega ashaq ban ke palkon se bahe ga,
koi naam jo lega kabhi dosti ka chahat ka zindagi ka,
nazr ke samne mere chehra usi ka lehra jaye ga
************
main apna aaj apna kal tumharay naam kerta hoon
main iss jeewan ka her ek pal tumharay naam kerta hoon

mera guzra howa kal, tou mayray maazi ka hissa hai


main apna aaj apna kal tumharay naam kerta hoon

tumharay dukh, udaasi, ghaam, sabhi ranjh-o-alaam lay ker


main yeh khushiyoun bhari chaagal tumharay naam kerta hoon

sitaray aasman ke sab tumhari maang main bhaar doon


shab-e-teera ka sab kaajal tumharay naam kerta hoon

tumharay bin ye her aik pal mujhey bay-chain rakhta hai


main apna dil jo hai bay-kal, tumharay naam kerta hoon

khizaaein, sardiyaan, garmi, bahaarein, barishein, jaarha


main her mousam ka her her pal tumharay naam kerta hoon

************
ankho me arman diya karte
hain hum
ankho me arman diya karte hain hum,
sabki neend chura liya karte hain hum,
ab se jab jab apki palke japkegi,
samaj lena tab tab apko yad kiya karte hain hum!

unki tasveero ko seene se laga lete hai,


is tarah judai ka ghum mita dete hai,
kisi tara kabhi unka zikar ho jaye to bheegi palko ko juka lete hai.

log kehte hain ke ishq itna mat karo


log kehte hain ke ishq itna mat karo,
ke hussan sar pe sawar ho jaaye,
hum kehte hai ke ishq itna karo,
ke patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye...

************
sirf tum ho

"meri soch ki udhan hai jahan talak,

wahan tum hi tum ho,


meri nazar ki had hai jahan talak,
wahan tum hi tum ho,
mera sehra hai jahan talak,
barsaat tum hi tum ho,
meri barsaat hai jahan talak,
ghata tum hi tum ho,
mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
har qadam pe tum hi tum ho,
mere dil ki waadi hai jahan talak,
har chehraa tum hi tum ho,
mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
muskurahat tum hi tum ho,
meri aankhon ki shararat hai jab talak,
woh sharart tum hi tum ho,
mere pyaar ka sehar hai jahan talak
us sehar mein tum hi tum ho,
mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
wahan tum hi tum ho,
meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
woh umeed tum hi tum ho,
mujhe sahara hai jahan talak,
woh saheban tum hi tum ho,
mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
woh sapne tum hi tum ho,
meri nazar mein chandni hai jahan talak,
woh roshn i tum hi tum ho,
meri umeed ki kirne hai jahan talak,
sab roshniyan tum hi tum ho.

************
~~yeh kaisay faisalay~~
yeh kaisay faisalay hotay hain ooper
jo neechay ehed tootatay hain
khushi k mor per hi kiyun yeh ahir
hamaray khawab saray tootatay hain
************
chandni raat ke khamosh sitaroon ki kasam
dill main ab terey siwa koi bhi abadh nahin
************
~~~kaho ik din tum aao gey~~~

jhuki hein ab meri nazrein,

tumhe jo yaad kerti hein,

baharein laut lao gey,

kaho ik din tum aao gey.

woh sari teri perchaiyan,

tasawar ki woh tanhaiyan,


jo aankhon se barasti hein

kaho sab chor aao gey.

kaho ik din tum aao gey.

ye arzan hai khazan hum per,

pholon ka hai eeman tum per,

muhabat tor lao gey,

kaho ik din tum aao gey.

kyun nazrein teri piyasi hein,

kaho kis ki matlashi hein,

hakiqat ban ke aao gey,

khawabon ko tor jao gey.

kaho ik din tum aao gey.


************
na umeedain kisi se rakhtey to acha hota
aitbar na kisi pe kartey to acha hota
sabaq daita hai zamana yeh auron ko giraney ka
sahara na kisi ko samjhtey to acha hota
yaqeen apni kamyabi ka kisi ko kab hota hai
taqdeer k muqabil na hotey to acha hota
sochtey they aitbar andha ho ga dewana tum
per
na khuwaab jagtey main daikhtey to acha hota
na chatey tum kisi ko na koi tumheen poojta
na achey kisi ko lagtey to acha hota
darya mohabbat ka kab koi paar karta hai dost
na mohabbat kisi se kartey to acha hota
************
~~kaisa dastoor hai~~~
bara ajeeb muhabat ka yeh fasan hai
dil hai tera' tu kisi or ka dewana hai
jo jis ko chahta hai wo usay nahin milta
kaisa dastoor hai duniya ka' kia zamana hai
************
sitam gar waqt ka tever badal jai tu kya hoga?
mera sur tera pathar badal jai tu kya hoga??
ameron kucn na do tanay tu na do in garebon ko
zara socoh gar manzar badal jai tu kya hoga :d

__._,_.___ ************

mujhe chanda kaho


mujhe chanda kaho, jaan kaho
mujhe apne dil ka mehmaan kaho
mujhe dekho her lamha yunhi
mujhe tum apni pehchaan kaho
mai puri karoo tumhari her khawahish
mujhe tum apna maaan kaho
her haal mai tum mujh ko hi socho
mujh se dil ka her armaan kaho
her lamha tum ko hi chahoon mai
mujhe pyaar ki tum apni shaan kaho
mere dil ki dharti tumhari hi hai
us ko zameen kaho, aasman kaho
sab karte hain baatain tumhari
her azooo ko meri zuban kaho
tumhari dunia mai khoyi rehti hun
mujhe mast kaho, anjaan kaho
rakhoon door her shaher ko tum se
mujhe dost kaho, negebaan kaho
bheek pyaar ki apni de do
chahey fakir kaho, sultan kaho

__._,_.___ ************
!mere dil pe aaj bhi!
mere dil pe kisi ka raj ajj bhi hai
jitna tha pehle utna hi zalim samaaj ajj bhi hai
mana k gham khushion ko mita dete hain lekin
pehle ki tarah banda yeh khush mizaj ajj bhi hai

tum yeh samjhe ho k main aadi ho chuki hoon sitam ki


halanke mujhe kal bhi tha aitbar ajj bhi hai
khuda jhooth na bulwaye mujhse k woh shakhs
muhabbat ki kal bhi thi mohtaj ajj bhi hai
mareez apne ishq ki sitam zareefi ka shikar hai
haan yeh ishq la ilaj ajj bhi hai

tera gham..

har khushi kam hai


tera gum bhulane ke liye...
ek tera gum hi kafi hai
mujhe umr bhar rulane ke liye...

amanat..

dil ki basti bikhar gayi hoti


ke rooh ke zakhm bhar gaye hote...
yeh zindagi to aap ki amaanat hai warna
hum to kab ke mar gaye hote...

tera armaan..

mere jeenay ke liye tera arman hi kafi hai


dil ke kalam se likhi ye dastan hi kafi hai...
tir-e-talwaar ki tujhe kia zaroorat-e-nazneen
qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai...

tere chahne wale..

tujhe chahne wale kum na hon gein


waqt ke saath shayad hum na hon gein...
chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena
lekin teri yaadon ke haqdar sirf hum hi hon gein...

tujhe dekhay bina..

tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon...


tujhe janay bina tera haal bata sakta hoon...
hai meri mohabbat main itna dum...
apni ankh ke ansoon teri ankh se gira sakta hoon...

jab yaad na karna..

jab yaad na karna chaho gaye tu yaad ayein gaye hum


teri yaadon tere khawabon mein yun cha jayein gaye hum...
dhondo gaye har jaga meri tasweer ko magar
jab teri puhanch sey buhat door chalay jayein gaye hum...

tum bin..

tum bin kahi qarar na aaey to main kya karoo ..!!


har pal teri yaad sataey to main kya karoo ..!!
surat main apni bhool gaye tujh ko dekh kar ..!!
her aainey mein tu nazar aaye to main kya karoo ..!!

__._,_.___ ************

itna maloom hay


apnay bistar par buhat deer say neem daraz
soochti thi k woh is waqt kahan par ho ga
main yahan hoon magar us kocha-e-rang-o-bo main
rooz ki tarhan woh aaj bhi aya ho ga
aur jab us nay wahan mujh ko na paya ho ga..?
aap ko ilm hai, woh aaj nahin aye hain..?
meri har doost say us nay yehi poocha ho ga
kion nahin aye hain woh, kia baat huey hai aakhir
khud say is baat pay soo bar uljha ho ga
kal woh aye gi tu main us say nahin bolon ga
aap hi aap kai baar woh rootha ho ga
woh nahin hai tu bulandi ka safar kitna kathin
sehriyan chahrtay howay us nay yeh soocha ho ga
rahdari main, haray loan main, phoolon k kareeb
us nay har simmt mujhay aan k dhoondha ho ga
naam bholay say jo mera kahin aya ho ga
ghar mehsoos kar k woh chonka ho ga
aik jumlay ko kai baar sunaya ho ga
baat kartay howay so bar woh bhoola ho ga
yeh jo larki naye aye hai, kahin woh tu nahin
us nay har chehra yehi sooch k dekha ho ga
jaan-e-mehfil hai, magar aaj, faqat merey baghair
haye kis darjay wohi bazam main tanha ho ga
kabhi sannaton say wehshat jo huey ho gi usay
us nay bay sakhta phir mujh ko pukara ho ga
chaltay chaltay koi manoos si aahat pa kar
dostoon ko bhi kisi waja say rooka ho ga
yaad kar k mujhay, nam ho gaye hoon gi palkain
"aankh main par gaya kuch" keh k yeh tala ho ga
aur ghabra k kitaboon main jo li ho gi panah
har sattar main mera chehra ubhar aya ho ga
jab mili ho gi usay meri ilalat ki khabar
us nay aahishta say deewar ko thamma ho ga
sooch kar yeh, k behal jaye pareeshani-e-dil
yohn hi bay wajeh, kisi shaksh ko rooka ho ga..!
ittifaaqan mujhay us sham meri doost mili
main nay poocha k suno aaye thay woh..? kaisey
thay...?
mujh ko poocha tha...? mujhay dhoondha tha charoon
janib..?
us nay aik lamhay ko dekha mujhay aur phir hans di
us hansi main tu woh talkhi thi k us say aagay
kia kaha us nay, mujhay yaad nahin hai laikin
itna maloom hai, khowaboon ka bharam toot gaya...!
__ ************
ehsaas
apni nazroon say jo gir jaye woh chehra na
bana...
mujh ko lamha-e-rursat ka khilona na bana...
saink'roon rastay hain ajnabi ho janay k...
tark karna hai tu talook ka bahana na bana...
jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai...
mujhay insaan samajh khud ko farishta na
bana...
apni yaadein tu merey dil main basi rehnay
day...
is mehaktay huay gulzaar ko sehra na bana...
main tu pehlay hi zakhum liey phirta hoon...
mujhay ab shehar dard-e-tamasha na bana...
thak gaeen hain merey ehsaas ki aankhain...
naqsh-e-deewar par ab koi afsana na bana...
palak
main tujhay palkon ki chhaon mian chhupa lon laikin
too mere khwab mian aaey yeh zurori to naheen
tere qurb kay ehsas ko mian kardoon jamid
ban jaey fasanay se haqeeqt yeh zuroori to naheen
woh mere khwabon khayalon mian basi hai ab tak
woh bhi mujh ko dil main basaey yeh zurori to naheen
main nay shab ki tanhai main usay yaad kia tha phir bhi
usay hitchki na aey yeh zuroori to naheen
mere pyar bhari batoon ka aser laiker woh
khud hi samajh jaey izhare ishq yeh zuroori to naheen
mere dil ki halat koi kia janay is waqt
kaheen se koi rahnuma miljaey yeh zuroori to naheen
mujh ko halka sa imkan nazer ata hai
kay woh karday inkaar yeh zuroori to naheen

yaad aaon ga ...

tum merii aankh ke tevar na bhulaa paao ge


ankahii baat ko samajho ge to yaad aaoon gaa

ham ne khushiyon kii tarah gham bhii ikatthe dekhe


safaah-e-zeest ko palato ge to yaad aaoon gaa

isii andaaz main hote the mukhaatib mujh se


khat kisii aur ko likho ge to yaad aaoon gaa

sard raatoon ke mahakate hue sannaatoon main


jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaoon gaa

ab tare aashk main hoontoon se churaa leta hoon


haath se khud inhain poonchho ge to yaad aaoon gaa

shaal pehnaa-e-ga ab kaun december main tumhain


baarishoon main kabhii bheego ge to yaad aaoon gaa

aaj to mahafil-e-yaaran pe ho maghroor bohat


jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaoon gaa

haadse aayen ge jeevan main to tum hoke nidhaal


kisi deevar ko thaamo ge to yaad aaoon gaa

iss main shaamil hai merii bakhat kii taariikii bhii


tum siyaah rang jo pahano ge to yaad aaoon gaa

************
__

«•´¨*•.¸.*¤~*tum is tarhan wafa*~¤*.¸.•*¨`•»

tum is tarhaan wafa ke laaj nebhaye rakhna.


apne ansoono ko bhi anchal mei chopaye rakhna.
kahein dekhna le yeh dunya tum ko,
meri tasveer ko dil mei chopaye rakhna.
agar pochay yeh merey barey mein koi.
muskora kar tum is ko jawab dena.
keh dena hamri muhabat nakam nahi.
dono kay naseeb mein lekha hai door rehna.

*(`•.¸ ¸.•´)*
dost kiya khoob wafaon ka sila detey hein , har aik mor pe aik zakhm naya detey hein.
tum se toh khair ghari bhar ki mulaqat rahi , log sadyon ki rafaqat ko bhula detey hein.
kaisey mumkin hai ke dhuwan bhi na ho aur dill bhi jaley , chot partee hai toh , pathar bhi
sada dete….

*(`•.¸ ¸.•´)*
zindagi udas hone ka naam nahi,dosti sirf paas hone ka naam nahi.agar tum door rehkar
bhi hume yaad rakho,is se bada hamare liye koi inaam nahi!!!....

*(`•.¸ ¸.•´)*
ay muhabbat teray anjaam pay rona aayaa jaanay kyoon aaj teray naam pay rona aayaa
yun to har shaam ummeedon main guzar jaati thi aaj kuchh baat hay jo shaam pay rona
aayaa kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunyaa ka gilaa manzil-e-ishq main har gaam pay
rona aayaa……
\\\....bas itna yaad hay.... ///

aur to kuch maloom nahi


bas itna yaad hay
mere hathoon mein
uss k phool jaisy haath
kuch der thartharaye thy
shaam k barhty hoye saaye
hamarii aankhon mein utar aye thy
mujhay kuch kehna tha
shayed usay jany ki jaldi thi
isi ujlat mein uss ne
aik baar mud k dekha tha
aur doobtay hoye sooraj ne
hamary maathy ko
aakhrii baar chooma tha
aur to kuch maloom nahi
bas itna yaad hay
mere hathoon mein uss k phool jaisy haath
kuch der thartharaye thy...!!!
……………………………………………………………………
chund adhoore sapne hain chund adhoori batein hain
is adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai
gulshan k aagosh mein toh khusbhoo palti rehti hai
phool mehekte rehte hain roop nikharta rehta hai
per yeh baharon ki masti jab jab dhalne lagti hai
phool sisakte rehte hain shakhon se patte girr kar marne lagte hain
kalyon ki masoom adayein jiska roop nikharta tha
lekin yeh toh hona tha
is adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai
mein ne b kucch khuwab buney hain
kucch ujle shakhon per
kuch umangein basti hain
ik chanchal shehzadi si
jisko abhi dekha b nahi
uski yadin ko roz dilse laga kar sota hoon
mera bhi dil karta hai woh mujhse aaker mile
meri baanhon mein aaker meri dil ki dharkano ko
uska dil mehsoos kare
uski gehri aankhon mein apni hasti gumm kardoon
uske geele aanchal se apni baanhein tarr kardoon
mera bhi dil karta hai
uske dupatte ka palloo
apne daman se jorh kar
apni ujrhi raton ko kyun na chaand ki kirno se
dil apna aabad kardoon
phir achanak kyun dil sehem sa jata hai
daurh kar wapas ata hoon apni khayali duniya mein
phir magan hojata hoon
iss adhoore sapne ko
kab haqeeqat hona hai
iss adhoori duniya ka har kaam adhoora hota hai...!!

badil ban kar chaa jana


jeb panchi saray urd jain
her simt andhairay chaa jain
jeb guzri batain yaad aain
aur beetay lamhay terdpain
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
jeb koi din main shaam keray
yaa leb ki hansi bednaam keray
jeb wahshet dil k naam keray
yaa aankh main neend haraam keray
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
dil dhelti shaam say ghebray
yaa batain mayri dohrai
mazi say munn bhi ghebrai
aur kuch b bhool nahi paye
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
jeb badil boond na bersai
aur boond bhi munn ko tersai
jeb koi khula na der paye
aur dil main khwahish murr jai
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
dil pereet hamaray dohrai
yaa reet porani yaad aai
jeb milnay ko bhi munn chahay
aur piyaar bhera na dil pai
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
or badil ban kar chaa jana
kuch bondhen payaar ki barsana

meri khamosh mohabbat ka


itna to sila diya hota,
kabhi ek nazar chahat se
dekh hee liya hota
hum bhi tujhe ishq-0-mohabbat
se aashna karte,
bas ek baar apne dil mein
aane to diya hota.
kiya jata tumhara bas
hamein he dil se khushi milti,
apni zindagi ki kitaab mein
naam hamara bhi likh liya hota.
dekh lete zara ghor se shayad,
tumhare haath ki lakiron mein
hamari kismat ka bhi diya hota.
meri khamosh mohabbat ka
itna to sila diya hota,

piyar aik sapna


piyar mera aik sapna sa ban gaya hai,,
jis ki chahat thi wo rahi choot gaya hai,,
jis ko chaha tha is dil nay sada,,
aj wohi hamsafar baygana ban gaya hai,,
jin aankhon main us ki tasveer sajai thi,,
unhi aankhon nay us tasveer ko mita dala hai,,
jis dil main deap jaltay thay piyar kay,,
aj us deap nay is dil ko jala dala hai,,
~ takmeel ~
sari cheezein hi na muakamal hain
kuch b poora nahi hay paas mere
na mukamal hay rutjaguu ka safar
khuwab b hain sabhii adhooray se
aur takhayyul ki wadion mein kahin
chand ghazlein bhatakti rehti hain
jo pahunchtii nahi hain kaghaz par
aur agar yeh pahunch b jayein to
poora hota nahi hay shair koi
chand nazmein b hain adhoori jo
zehan mein aa k laut jati hain
jaisy mayoos ki dua koi
dil se niklay falak se takraye
aur phir be asar hi laut aaye
kuch b poora nahi hay paas mere
saary jazbay hi na mukamal hain
bohat dhoondny ki koshish ki
kho gaya apna aap jane kahan
mil na paya magar suragh koi
safar-e-agahi adhoora hay
mera sab kuch abhi adhoora hay
kuch b poora nahi hay paas mere
saary sapny hi na mukamal hain
chand ahbaab se b milna tha
par adhoori hain sab mulaqatein
yun to milta hoon har kisi se magar
poora milta nahi kisi se b
shayad apni hi zindagi se b
khat b kuch tere naam likhny thy
vo b pooray na ho saky ab tak
kuch b poora nahi hay paas mere
saaray waday hi na mukamal hain
kuch kitaabein k jin ko parhna tha
vo b ab tak yun hi pari hain kahin
sirf do chaar hi warq paltay
dil ko phir yeh khayal anay laga
saaray safhoon ko chor doon aisy
zindagi k tamaam rishtoon ko
kyun na chup chap tod doon aisy
kuch b poora nahi hay paas mere
saaray rishtay hi na mukamal hain
manjumand silsiloon mein hulchal ho
gham k sehraaon mein b jal thal ho
zindagii ka sabhii adhoora pan
tum chalay aao to mukamal ho...!!!

aisa na ho yeh dard banay dawa laye


aisa na ho k tum bhi dua na karsako
allah karay k tu mujhe bhool jaye
allah karay k tum aisa na karsako
---------------------------------------------------------
yeh jo teray hijir ka sal hey
so guzarna iska mohal hey
na mujhe koi bhi malal hey
mujhe serf tera hi khayal hey
-----------------------------------------------
yun qissay kisi k sare aam kartay nahin ashna
nazrein rakhtey hein lakh zamanay walay
------------------------------------------------------------------------
is nay mujh say apnay sarasy khuwab cheen liye
itnay sitam karta hey mujh per mera sanam
-----------------------------------------------------------------------
--------
tum jitnay bhi sitam karlo meray mehboob
mein yunhi hansti rahongi humesha
(nazam shamma)

shamma jab peghalti hai, humesha kion woh


behti hai
woh apnay aap ko kho kar, tumhain paigham
deti hai
sunehri rang main beshak kashish ek
jawaidana hai
magar us ki taraf jana hamaqat qatilana hai
sunehri dhoop suraj ki aur mehtaab hota hai
sunehri taaj-e-shahi bhi sunehri khuwab hota
hai
sunehri rang qunddan ka, sunehri aatish-e-zar
bhi
sunehri chaand ki kirnon main dehkta moom
ka ghar bhi
husn-o-jawani k sunehray rang hotay hain
tab sapnon main hum us dilruba k sang hotay
hain
magar jal kar zamanay ki tapish main roop
dhalta hai
sunehri aatish-e-gham main peghal kar sab
badalta hai
tumhain ek mar-de-moumin ki sunehri baat
batlaon
maidan-e-ammal dekhlaon ek soughat batlaon
khuda ki badshahi main wohi hasham hotay
hain
jo karobar-e-duniya main kahin ghumnam
hotay hain
nazaray main nazar k sarnagon si daal ban jao
magar apnay aammal say sahab-e-iqbal ban
jao
shamma ki mout say agar zindagi pao tu danai
undhairay ko mittanay main jo mit jao tu danai
khushi main ghair ki apni mussarat ko talasho
tum
kabhi apnay hi butt ko apnay haathon matt
tarasho tum
jab tareekh likhi ho, tumhain mohsin likha ho
shayad harf-e-zarain main tumhara naam likha
ho
tum na bhi raho laikin tumhara kaam likha ho..
sirf tum ho

"meri soch ki udhan hai jahan talak,

wahan tum hi tum ho,


meri nazar ki had hai jahan talak,
wahan tum hi tum ho,
mera sehra hai jahan talak,
barsaat tum hi tum ho,
meri barsaat hai jahan talak,
ghata tum hi tum ho,
mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
har qadam pe tum hi tum ho,
mere dil ki waadi hai jahan talak,
har chehraa tum hi tum ho,
mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
muskurahat tum hi tum ho,
meri aankhon ki shararat hai jab talak,
woh sharart tum hi tum ho,
mere pyaar ka sehar hai jahan talak
us sehar mein tum hi tum ho,
mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
wahan tum hi tum ho,
meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
woh umeed tum hi tum ho,
mujhe sahara hai jahan talak,
woh saheban tum hi tum ho,
mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
woh sapne tum hi tum ho,
meri nazar mein chandni hai jahan talak,
woh roshn i tum hi tum ho,
meri umeed ki kirne hai jahan talak,
sab roshniyan tum hi tum ho.

************
questions of life
how many steps will it take to walk a mile?
how many seconds will it take to wait a while?
how many battles do we need for us to win?
how many gods do we need to forgive our sins?

how many times must a man betray his faith?


how many times can a man control his hate?
when do we say that justice isn't fair??
how can we endure the burden that we bear?

where is the youth who will dare?


where can we find the people who really care?
where can we find the road to success?
is it in the north, south, east, or west?
where can i find true love?
that god had gave from above?
how many struggles do we need to make it through?
when do we say that a statement is false or true?

how can i forgive others?


when they killed my peers?
can you give help to those people in need?
after they have dropped you and you bleed?

who are the people you can trust?


in this world, to fight is a must.
the world will continue to evolve,
until those questions have been solved.

chooryaan hath mein thin


aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha
uski behaal larazti hui jawani thi
uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!

dil-e-naadaa.n tujhe
huaa kyaa hai
dil-e-naadaa.n tujhe huaa kyaa hai

aakhir is dard kii davaa kyaa hai


ham hai.n mushtaaq aur vo bezaar

yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai


mai.n bhii muu.nh main zabaan rakhataa
huu.n

kaash puuchho ki muddaa kyaa hai


jab ki tujh bin nahii.n koii maujuud

phir ye ha.ngaamaa, ai khudaa kyaa hai


us k

khoobsurat hain...
khubsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain
khubsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de
khubsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey
khubsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney
khubsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khubsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein

khubsoorat hain wo hath


jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khubsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!
khubsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey
khubsoorat hai wo insan
jis ko khuda ne ye
kisi lerki nay yay kaha tha kay lerkon ki islamiat or urdu kay
khubsoorati ata ki.
papers may f grade atay hain han
atahy hongay yaqeenan kuch lerkay fail bhi hotay hon gay is say kiya matlab
nikala jaye kay
lerkiyan bhot hi smart or zaheen ho ti hain lerkiuon ko to pehli baat perhnay ka
shock hi nahi
hota hay han kuch lerkiyan bhot perhakoon hoti hain likin woh yaqeenan net use
nahi kerti
hongi kiun kay un kau nazdeek net use kerna bayfazool kam hoga or ap to sari
net use kerti
hain is ka matlab saaf zahir hay kay ap may say koi bhi perhakoo nahi hay or ap
sari ki sari un
lerkiuon ki fehrist may hosakti hain jin kay islamiat or urdu jaisay subject kay sath
sath
doosray tamam subject may ya to supply ati hogi ya f grade to ata hoga hay
na.lerkiuon kay
pehli baat perhnay ka shock hota hi nahi hay in kay samnay filmon ki batay kerlo
star plus kay
dramo ki baat kerlo un kay actor kay nam poochlo actress kay nam pooch lo
unhon nay kiya
dress pehna yay poochlo to woh khush rehti hain or agar un say koi perhai kay
baray may
pooch lay to un ko tension ho jati hay aisa kiun hota hay akhir is say saf baat
zahir hay kay
lerkiuon ko perhnay ka shock hota hi nahi hay sirf perhai ka bahana banaker
university or
colleges may dakhlay layti hain takay ghar ka kam kernay say bachay rahain.aik
or bat in ki
sab say buri adat yay hoti hay kay jab msn , yahoo ,orjut ya kisi doosray kisi
chatting software
per koi lerka in say tameez say bat ker raha hota to yay us ko response hi nahi
dayti hay likin
jab woh hi lerka in ko khari khari sunata hay kay tum lerkiuon ko izat raz ati hi
nahi hay banda
tameez say bat kerna cha raha ho to badmashi dikhati hay or jab woh in ko
sunata hay theak
thak kisum ki to is kay hosh thikanay atay hay or phir izat say bat kerti hay.abhi
bhi likhnay
kay liyay bhot hay waqt kay sath sath new mailz may lerkiuon kay oper
comments jari rakhay
jain gay abhi tak may nay jo mailz perhi hay is may say na kisi lerknay nay or na
hi kisi lerki nay
koi acha point likha siwaye chand aik kay bhalay say meri mailz may bhi aisa
kuch na ho jab bhi
koi masla nahi hay valid points uthaiyay ap dono jab bat banay gi siorf mailz
kernay say koi
faida nahi hoga.
from

in lerkiuon kay hansnay or ronay ka time bara hi ajeeb sa hota hay in ka bas
chalay to kisi kay mernay per hansnay lagay or kisi ki shadi ho to ronay
lagay.umer kay mamlay may itni mohtat hoti hain kay agar 18 ho jain to is kay
bad in ki umer berhti hi nahi hain chahay woh 35 ki bhi hojain jab bhi 18 ki rehti
hain .lerkiyna sirf apni tareef sunay kay dhun may rehti hain agar in ki koi tareef
karaday chahay woh ganja or mota kiun na ho in ko pasand ajaye ga or agar koi
in ki burai or sath sath kisi doosri lerki ki tareef kerdi jaye to woh bhalay say kitna
hi acha lerka ho us say bad tameezi kernay lagay gi sachi bat hay ab woh tareef
kay kabil hay hi nahi to tareef kiun ki jaye .lerkiyan shadi kay baray may yay
herktain kerti hain jab 18 ki hoti hain to lerka kaisa hay , kiya kam kerta hay ,
dikhnay may kaisa hay , kitnay paisay wala hay jab 25 ki hoti hain to sirf lerka
kiya kerta hay bhalay say woh jaisa bhi dikhta ho or jab 30 per poochti hain to
direct lerka kahan hay phir kaisa hay kiun hay kitna kamata hay is ki zaroorat hi
nahi perti hay . lerkiuon ko her bat may tang aranay ka bhot shock hota hay kisi
shaks nay aik lerki kay samnay kisi or say yay poocha kay tum nay new jersi
dekha hay to lerki kehnay lagi han ji may to her new season may new jersi
kharidti hoon . lerkiyan kiya hoti hay agar mazeed in kay baray may perhna hay
to visit kijyay yay website
http://www.geocities.com/shahzadweb06/urdu1.html
http://www.geocities.com/shahzadweb06
dono links ko try karay website open ho jaye gi .
from
agar kal hum na bhi rahen.. humari yaadein sada rahengi.... sirf nazar uthake dekhna
chand ko.. humari dosti ki tasveer wahan bani rahegi

maine puchha chand se "dekha hai kahin mere yaar sa hasin", chand ne kaha "saale itni
upar se dikhta hai kiya..

sawaal paani ka nahi, pyaas ka hai, sawaal maut ka nahi, saans ka hai, dost to duniya
mein bahut hain magar, sawaal dosti ka nahi vishwas ka hai .....from# naveed ( 0300-
71700172-----0345-6801211
kadam kadam pay hawao ka diyan rakhna ,har mor pay dosti ko yaad rakhna ,hamari
messege ki mehak tumhe zaror aye gi , bus apna naak saaf rakna]

jo asani se milay wo hai ghum jo mushkil se milay wo hai paisa , jo kisi kisi ko milay wo
hai pyaar, jo naseeb walon ko milay wo hai apno ka messege

tumhey ehsas janey kab hoga!!!!


usey ehsas janey kab hoga
main apni zindagi na kho bethoon
main apni her khushi ganwa bethoon
usey khaber hai sab mager
najaney kyun mujhey rulati hai
na janey kyun mujhey satati hai
main khilkhilata hoon bas us k liye
main ro bhi jata hoon to us k liye
usey ehsas janey kab hoga!!!
main apni zindagi na kho bethoon
main apni her khushi ganwa bethoon
tamam umer phir woh terpegi merey liye
phir woh chaheygi bhi to kia hoga
phir woh aawaz bhi degi to kia hoga
phir chah ker bhi na kuch hoga
phir her taraf khamoshi hogi
ussey her pal yaad dilaigi
jo usey her ghari sataigi
main apni her khushi ganwa betha
main apni zindagi ko khobetha…

kitnay sajhay thay sapnay pyar key........


kia khabar the yeah zindagi hay eak raat
ke

ł ąm Ћε ВЭŞt

~~zindagy~~

yeh jo zindagy ki kitaab hai yeh kitaab bi kia kitaab hai

kahin ik haseen sa khawab hai kahin jaan lewa azaab hai

kahin ansoun ki hai dastah kahin muskurahtun ka biyaah

kaen chehray is main chupay hoye ik ajeeb sy yeh nikaab hai

kahin khoo diya kahin paa liya kahin roo liya kahin ghaa liya

kahin cheen lety hai har khushi kahin meherbaah bay hisaab hai

kahin chaoun hai kahin dhoop hai kahin or hi roop hai

kahin barkatun ki hain barishen kahin tashangy bay hisaab hai

socha aaj aap ke tareef main kuch kahon..


बरााह सचमाुच बहाुत बदिायाा हॆॆ. ताो पााना्डाे जाी अब ताो आप बहाुत खाुश हाोगाे सब काो
उपा्याोग करनाा चहिायाे पहलाे तखा्ताी पर िालखाो िाफ़र काापाी पाेसा्ट कराो। बडाा झांझट हाै
भााई।इससाे बाेहा्तर तराीकाा हाै िाक बरहाा काा उपयाोग कराो और साीधाे औरकाुट माें टााईप
कराो। और का्रपाा करा्काे हर पाोसा्ट काे बााद दबाानाा नाा भाूलाें। माेराे विाचाार माें
तखा्ताी साे याूनिाकाोड लिाखनाा और भाी आसाान हाोगाा सब काो उपा्याोग करनाा चहिायाे
पहलाे तखा्ताी पर िालखाो िाफ़र काापाी पाेसा्ट कराो। बडाा झांझट हाै भााई।इससाे बाेहा्तर
तराीकाा हाै िाक बरहाा काा उपयाोग कराो और औरा्कट माें िाहांदाी माें तता्परा्ताा साे िा
लखनाे काे िालयाे बरहाा काा उपयाोग कराें। औरा्कट माें िाहांदाी माें तता्परा्ताा साे िा
लखनाे काे िालयाे बरहाा काा उपयाोग कराें। भााई।इससाे बाेहा्तर तराीकाा हाै िाक बरहाा काा
उपयाोग कराो और साीधाे औरकाुट माें टााईप कराोवाापस आ जााओ भााई...बडाी गमा्भाीर समसा्याा
हाो गई हाै...ताेराी बहाुत यााद आ रहाी हाै साांयकााल पतांग उडाानाे काा विाचाार बनाे ताो
बताानाा साांयकााल पतांग उडाानाे काा विाचाार बनाे ताो बताानाा बडाी ..
bas yahi kahna tha mughay ager samgh aajaye tu bata dena lolzz

a smile is contagious
a smile costs nothing, but gives much. :)
it enriches those who give it. it takes but
a moment,
but the memory of it sometimes lasts
forever.
none is so rich or mighty
that he can get along without it,
and none is so poor
that he cannot be made richer by it.
a smile creates happiness in the home,
promotes good will in business,
and is the cornerstone of friendship.:)
it can perk up the weary,
bring cheer to the discouraged,
sunshine to the sad,
and is nature's best antidote for trouble.

yet it cannot be bought, begged,


borrowed or stolen,
for it is something that is of no value to
anyone
until it is given away. :)
when people are too tired to give you a
smile,
give them one of yours.
no one needs a smile so much
as he who has none to give
ishq hai be khudi hai kia bas teri arzoo hai jaan
poocho na zindagi hai kia bas teri arzoo hai jaan

phoolon ki taazgi hai kia chand ki chandni hai kia


rang hai roshni hai kia bas teri arzoo hai jaan

meri har ek soch ki hai teri zaat tak uraan


aur meri shayari hai kia bas teri arzoo hai jaan

mere shaam-e-fikar mein hai tere pyaar ki mehek


phool hai kia kali hai kia bas teri arzoo hai jaan

ik baarish ke baad doosri honay lagi


dhuli hui hawa mere saath ronay lagi
phir shehr e be-amaan mein wohi mausam aaya
phir raat apnay aanchal ko bhigonay lagi
shaam ki panah mein simat aaey sub mausam
jab seher gham ke saagar mein khonay lagi
zabt bhi kahan tak aakhir saath deta
wehshat itni barhi keh deewangi ronay lagi
lab thamey reh gaey, lafz bujhey reh gaey
baat jab nazar se bayaan honay lagi
kitna intezaar karti, kiran nikalnay ka aakhir
tareeki apna dukh orh kar sonay lagi
andhera barhta hi ja raha hai aas paas mere
woh seher ki roshni janay kahan khonay lagi
a silly poem

one bright morning, in da middle ov night


two dumb boyz,got up to fight
bak to bak they faced each other
a deaf police man heard da noise
came to da scene n hugged da boyz
a blind reporter witness da scene
n published da story in a fashion magazine
pyaar ka meetha "ehsaas" dilaney laga hai tu
ab to mujh se mujhi ko churaney laga hai tu

teri chahtoon ka chaya hai saruur iss kadar


har pal har jagah nazar aaney laga hai tu

veeraan thi yeh zindgi tere aaney se pehley


khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney laga hai tu

har pal mujhey hota hai bus tera hi "ehsaas"


iss kadar meri sansoon mein smaney laga hai tu

ik pal ki bhi durri seh nhi pati hoon mein


hoke juda kyun mujhey aazmaney laga hai tu

rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan


ke banke saya sath mere aaney laga hai tu

naam koi bhi luu to naam aaye tera laboon pe


ban ke jadu meri rooh mein samaney laga hai tu

teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera


ghul ke sath lahoo ke nas nas mein samney laga hai tu

janey kaun si dorr hai teri aur khinch le jati hai


mujh ko apna dewana bnanaey laga hai tu
tasvuur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
chorh ke duniya meri bahoon mein smaney laga hai tu

yeh to bta ke kya naam du iss dewangi ko


bechen ker ke har lamha mujhey tarpaney laga hai tu

tere khayaloon se mehkney lagti hai zindgi meri


mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney laga hai tu

yeh masumiyaat yeh bholapan yeh sadgi teri


mujh ko har adaa se ab sataney laga hai tu

zeest ke rahoon mein dhoop thi har taraf


apney pyaar ki barish ko barsaney laga hai tu

kya iss baat ka tujhey "ehsaas" hai "jaan"


mere har sher mein har gazal mein aaney laga hai tu !!

main jo aankhon me teri khwab hun bankar rahti


aaj tu jaan le maine bhi tujhe chaha hai
meri aakhon ki kisi kajal ki zarurat kab hai
ye teri yaad se sharma ke jo jhuk jaati hain
mere haathon me jaane kyun na rachati hai hina
ke tere haathon ki garmi se ye hain surkh bahut
maine aanchal bhi to chere pe bar bar dala
par tujhe dekh ke ud jata hai baadal ki tarah
mere hamdam ye bata konsa singar karun
mujhko milne ki hai jaldi kya intezaar karun

hum se her shaam mili hai tera chehra banker


kabhi aansoon kabhi khushboo kabhi naghma banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥
chand nikla hai teri ankh k ansoo ki tarah
phool mehkay hain teri zulf ka saya banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥

meri jaagi hoe raaton ko usi ki hai talash


so raha hai meri ankhon main jo sapna banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥
dil k kaghaz par utarta hai tu sheron ki tarah
mere hontoon pe machalta hai tu naghma banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥

raat bhi aaye tu bujhti nahi chehray ki chamak


rouh main phail giya hai wo ujala banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥

mera kiya hall hai yeh a k kabhi dekh tu lay


jee raha hoon tera bhoola howa vada banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥

dhoup main kho giya wo haath chura kar angel


gher se jo saath chala tha mera saya banker

♥♥*`•.¸. *`•.¸.♥♥

kabhi aanson kabhi khushboo kabhi naghma banker


hum se her shaam mili hai tera chehra banker

ishq mohabbat to hazaro karte hai,gum e judai


se vo sabhi darte hai, hum to na ishq karte hai
na mohabbat karte hai, bas dosto ka 1 smile
ke liye email karte hai........
dil ke kone se ek aawaz aati hai, hame har pal
unki yaad aati hai. dil puchta hai bar-bar
humse,jinhe hum yaad karte hai, kya unhe bhi
hamari yaad aati hai.......
dekhi hazaro mehfil par ye fiza kuch aur hai,
jalwe dekhe hai hazaro magar aapki ada kuch
aur hai,waise to hazaro aate hai par aapke
email kanasha kuch aur hai.....
dil ko adat si ho gayi hai chhot khane ki, bhigi
palko k sang muskurane ki, kash anjam hum
pehle se jaan jate,to koshish bhi na karte dil
lagane ki.....

haqiqat pehchaan lo bichard jane se pehle,meri


sunlo apne sunane se pheele.ye soch lena
bhulane se pehle,bhut royi hai ye aankhe
muskurane se phele....... ..
tumhain maloom hey
guzri shab miney kya kia?????

aoo main tumhain guzri shahb ka hal sunaoon


miney guzri shab jagh ker ik kam kiya

miney apni aur tumhari zindagi main


aney wali tammam kushion aur ghamon ko ik jaga akhtah kia

phir miney tumhari aur apni apni zindagi main aney wali
kushion aur ghamoon ko elheda elheda kia

phir miney ik kam kiya


apney hisey ki kushion ko tumherey hisey k ghamoon se badal diya

dekh meri jaan guzri shaab miney yeh kia


main tujhey chahti nahi laikin....

phir bhi jab paas tu nahi hota


khud ko kitna udaas paati hoon

ghum apnay hawaas paati hoon


janay kia dhun samayi rehti hai

ek khamoshi si chaayi rehti hai


dil say bhi guftugo nahi rehti

main tujhay chahti nahi laikin …


phir bhi shub ki taweel khalwat main

teri oukaat soochti hoon


kon say phool tujh ko bhaatay hain

rang kia kia pasand aatay hain


kho si jaati hoon teri jannat main

main tujhay chahti nahi laikin


phir bhi ehsaas say nijaat nahi

soochti hoon tu ranj hota hai


dil ko jaisey koi dabota hai

jis ko itna sahaarti hoon main


jis ko is darja chahti hoon main

us main teri si koi baat nahi


main tujhay chahti nahi laikin ….!

aalam-e-hijr hay kiya wasl ki soorat kiya hay


kown paihchaan sakay tairi mohabbat kiya hay

aap nay ashk bhi aankho'n say mairi cheen liye


aap ko kaisay bataoo'n kay yeh dowlat kiya hay
paas say tum jo guzar jaatay ho bay'ganay say
yeh bataao kay tumhai'n ham say shikayat kiya hay

tu abhi waaqif-e-asraar-e-mohabbat hi nahi'n


ham tujhay kaisay bataei'n kay mohabbat kiya hay

ham nay thukratay huway daikha hay duniya ko háya


ham ko maloom hay insaa'n ki haqeeqat kiya hay

lahuu say dil, kabhi chehray ujaalnay kay liyeh


main jee raha hon andheron ko taalnay kay liyeh
.

utar paray hain parindon kay ghoul saahil par


safar ka bojh samandar main daalnay kay liyeh
.

sukhan libaas pay the'hra to jogioon nay kaha


kay aasteen hai faqat saanp paalnay kay liyeh
.

main sochta hon kabhi main bhi koh'kunn hota


teray wujood ko pathhar main dhaalnay kay liyeh
.

kisay khabar kay shabbon ka wujood laazim hai


fizaa main chaand sitaray uchhalnay kay liyeh
.

baha rahi thi woh selaab mein jehez apna


badan ki doobti kashti sambhalne k liyeh
.

wo mahtaab siffat, aaina jabeen mohsin..!


galay milay bhi to matlab nikalnay kay liyeh

aasmaan ke malik say,do jahan ke raziq say


aur kuch nahin chaha sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
………………………………………………………………….
kis ne kaha tha
kisne kaha tha itni door jane ke liye,

shama bhi na jal saki is parwane ke liye.

sari raat koee tadpata raha pagloyon ki


tarah,
cheerag lekar betha raha me us chand ko
dikhne ke liye.

eak to wese hi door tha,us par or door


jane ka sitam,
kahan taq jayogai bhaag kar,koee to
ayega mannane ke liye.

dhoond le koee to rasta, koee to khat


bhej de sitamgar,
kasid bhi nahi aya in raho me , apna
chehara dikhnae ke liye.

kitna waqt guzaroge whaan,jsi chaman


me bahar hi nahi,
bulbul ro rahi hai yahan, tere sath ko
pane ke liye.

umr ke us mukaam par tu khada hai


wahan,
eak pal hi kafi hai, khushooyon ko lane ke
liye.

tun jitni jaldi ho aa ja apne thikan e par


ye sanam,
khushee dhaleez par bethi hai, tere
daman ko sajane ke liye,

kya kahoon,kya na kahoon tuu hi bata ye


jana,
lafz nahi hai mere pass, bus asq haitumhe
dikhane ke liye.

plz plz yar mujay kese nay kah key mujay


doste kernay nahi ate hay plz yar if u like
my mailz then only reply me plz dont
add mee han wesay bhe may aap jesay
achay dosto ke doste key qabil nahi hoan
sorry

love that person who loves you and


not that person to whom you love"
muhabbat kya hai.....???
mehsoos karne ka naam hai
aur jab muhabbat iqrar karti hai toh dil khushi se jhooom uth'ta hai
muhabbat ko kabhi bhi alfaaz mein bayan nahi kiya jasakta
yeh khud hi kisi k dil mein apni raah banaleti hai
tumhari muhabbat ne hi mujhe jeena sikhaya hai
merechahat bhare dil mein sirf tumhari hi jaga hai
jab tumhara sath ho toh pal pal zindagi muskurati hai
mehekte gulabon ko dekh kar tumhara hi chehra dikhayi deta hai
tumhe yaad karke dilko chein ata hai
ajj bhi chaand se sirf tumhari hi batein karti hoon
dua'on mein faqattumhara hi naam ata hai.
rattjagon mein tum hi toh ate ho
tumhi ko mein zindagi maanti hoon
tumhare khayalon se meri roooh tak mehek uth'ti hai
har aahat per mehsos hota hai k tum aye ho
har sham tumhari yaad ka diya jalai hoon
diary mein pare sookhe pholon mein ab bhi khushboo baqi hai
tumhare pyar ki khushboo aj bhu mujhe sanwaar deti hai
toot'te taaron ko dekh kar tumko paaane ki dua karti hoon
itni chahat hai tumse...yehi iqrar-e-muhabbat hai...!!!
-
-
hazaron dukh pare sehna muhabbat mar nahi sakti
hai bass tumse yehi kehna muhabbat mar nahi sakti
aankhon se dil mein utar janay ka fun rakhta hoon
main lafzoon ko apnany ka fun rakhta hoon
kuch log jeet kar b haar jatay hain
main haar kar b jeet janay ka fun rakhta hoon...!!!
………………………………………………………………………………..
bebas ho kar dil k hathoon
main ne socha
aaj main uss ko phone karoon ga
aur kahoon ga
main ne tum ko laakh bhulaya
loh-e-dil se naam tumhara laakh mitaya
lekin jaana!sach poocho to
dil k hathoon haar gaya main
aao ab ki baar milain to,mar kar bichrein
number uss ka dial kar k
uss k naram lehjay ki,hello,sun kar b
chup nahi tooti
dharak dharak k dil b machla
kuch to bolo.....lab to kholo
lekin aaj reciever rakh kar,kuch b na keh kar
apnay dil se
bil aakhir main jeet gaya hoon...!!!
…………………………………………………………………………………..
my love wil never die
may god bless you whereever you are,
may he hold you in his heart, near or far.

may each day find you well and whole,


may each night find you warm and safe.

may my love ever reach you in the form of a prayer,


even though, my love, i'll never be there.

i pray that all i dreamed for us comes true,


if not for me, then, always, for you.

my love will never die,


even though we said goodbye.

so i hold you in my heart,


even though we're far apart.

jhunjhlaaye hain, lajaaye hain phir muskuraaye hain


kis ehtimaan se ham unhen yaad aaye hain
ab jaa ke aah karne ke aadaab karne hain
duniyaa samajh rahii hai ke ham muskuraaye hain

guzre se mai-kade se taubaa ke baad ham


kuch der to aadatan bhii qadam larkharaaye hain

ai josh-e-giriyaa dekh na karnaa khajil mujhe


aankhen merii zaruur hain, aansuu paraaye hain

ai maut, ai bahisht-e-sukuun aa khush’aamde


ham zindagii men pehle-pehal muskuraaye hain

jitnii bhii mai-kade men hai saaqii pilaa de aaj


ham tashnaa-kaam zuh’d ke sehraa se aaye hain

insaan jiite jii kare taubaa khataaon se


majbuurion ne kitne farishte banaaye hain
kaabe men khairiyat to hai hazrat-e-khumar
ye dair hai janaab yahaan kaise aaye hain
ghazab ki ghazal likhi hay aap nay bohat shandaar

dunya mein har ik shakhs mein koi kami to hoti hei


chahe jitna khudh ko muqamal samjhe,uski aankh bhi roti hei

khud ko tanha pata hei har koi, dunya ke iss mele mein
aur tanhai mein uske ghamon ki, ik bheed si lagi hoti hei

dil mein hon lakhon gham, par ajeeb baat ye hei


ke honton pe uske har pal, ik muskan saji hoti hei

baton se tumhe lagta hei ke, gham usne kabhi dekhe nahin
jhanko jo uski ankhon mein, chupi ajeeb si nami hoti hei

dil ko na jane dhadkane ka, usne hunar kaha se seekha hei


uske hath pe rakho hath jo, to uski nabz to thami hoti hei

har koi wafa ka haqdar nahi, zara kareeb se dekhna


kuch logo ke chehre par bewafai ki, ik teh si jami hoti hei

khaar hain yaa ghulaab ' mat poocho


hijratun kay azaab mat poocho
bheeghy palkun pay jugnoun ka sabab
hum hoye lajawab ' mat poocho
aaj masroofiyat bahut hai hamain
kab karen gay hisaab ' mat poocho
jo mehekta tha aankh main mery
kaisay toota woh khuwaab ' mat poocho
tha mery zindaghy ka woh pehla safha
kiyun nikaala woh baab ' mat poocho
ham unhen vo hamen bhulaa baithe
do guneh-gaar zahar khaa baithe

haal-e-gham kah ke gham barhaa baithe


teer maare the teer khaa baithe

aandhion jaao ab karo aaraam


ham khud apnaa diyaa bujhaa baithe

jee to halkaa hu’aa magar yaaron


ro ke lutf-e-gham ganvaa baithe

be-sahaaron kaa hauslaa hii kyaa


ghar men ghabraaye, dar pe aa baithe

uth ke ek be-vafaa ne de dii jaan


rah gaye saare baa-vafaa baithe

jab se bicchre vo, muskuraaye na ham


sabne chheraa to lab hilaa baithe

hashr kaa din abhii hai duur “khumar”


aap kyun zahidon men jaa baith
poet name : khumar barabankvi
collected and shared by: adeem

kuch khood b they afsurda se

kuch khood b they afsurda se,


kuch tum b hum se rooth gaye
kuch khood hi zakhm k aadi the,
kuch sheeshey haath se choot gaye

kuch khood b they hassas boht,


kuch apne muqaddar rooth gaye
kuch tum ko such se nafrat thi,

kuch hum se na bole jhoot gaye

kuch logo ne uksaya tumhein,


kuch apne muqaddar phoot gaye
kuch khood itne mohtat na they,
kuch log b hum ko loot gaye
kuch talkh haqaa'iq they itne,
k khuwab hi sarey toot gaye

meray hum nafs meray hum nava,


mujhay dost ban kay dagha na day,
mein hoon dard-e-ishq say jaan balab,
mujhay zindagi ki dua na day.

na ye zindagi meri zindagi,


na ye dastan meri dastan,
mein khayal o vehm say duur hoon,
mujhay aaj koi sada na day.

meray ghar say durr hain rahatein,


mujhay dhondhti hai musibatein,
mujhay darr hai kay mera pata koi,
gardishon ko bata na day.

wo tarap jo shula-e-jaan main thee, mairay tan badan say lipat


gaye,
jo bujha sakay to bujha isay,
na bujhaa sakay to hawaa na day.

mairay sabar ka na lay imtihaan


mairee khaamoshi ko sadaa na day
jo tairay baghair na jee sakay,
usay jeenay ki too duaa na day.

tujhay bhool kay na bhulaa sakoon ,


tujhay chah kay bhee na paa sakoon,
mairee hasratoon ko shumaar kar ,
mairee chahatoon ka silaa na day.

tujhay gar milain kabhee fursatain,


mairee shaam phir say sanwaar day,
gar qatal karna hay to qatal kar,
yoon judaaiyoon ki sazaa na day .

tujhse bicchar ke ham bhii muqaddar ke ho gaye


phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye
phir yun hu’aa ke ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafraten thiin ke baahar ke ho gaye
kyaa log the ke jaan se barh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye
ai yaad-e-yaar tujh se karen kyaa shikaayaten
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye
samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa khud usii kaafir ke ho gaye
ab ke na intizaar karen chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye
rote ho ek jaziira-e-jaan ko “faraz” tum
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye

kyoon nahin
.

benaam sa ye dard, thehar kyon nahi jata,


jo beet gaya hai, woh guzar kyon nahi jata,

woh ek hi chera to, nahi sare jahan mein,


jo dur hai woh dil se utar kyon nahi jata,

main apni hi uljhi hui raho ka tamasha,


jate hain jidhar sab, main udhar kyon nahi jata,

woh naam jo barso se, na chehra na badan hai,


woh khawaab agar hai to bikhar kyo nahi jata

kuch khuwaab hain jin ko likhna hai


tabeer ki surat deni hai
kuch log hain ujrre dil wale
jinhain apni mohabbat deni hai

kuch phool hain jin ko chunna hai


aur haar ki surat deni hai

kuch apni neenden baaki hain


jinhain baantna hai kuch logon main

aey umer-e- rawaan ahista chal


abhi bohat sa karz chukaana hai

meri umr say na simat sake mere dil men itnay sawal thay
tere paas jitnay jawaab thay teri ik nigaah men aagay!

tufan me kashti ko kinare bhi mil jate hai

jahan me logo ko sahare bhi mil jate hai

duniya me sabse pyari hai zindagi

kuch log zindagi se pyare bhi mil jate hai

ujalay apni yaadon k hamare sath rehne do


najane kis gali main zindagi ki shaam ho jay

aik baat kahoon agar suntey ho ?


tum mujh ko achey lagtey ho

kuch chanchal se , kuch chup chup se


kuch pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut par


tum mein hai aik baat bohat.......
tum apney apney lagtey ho

aik baat kahoon agar suntey ho ?


tum mujh ko achey lagtey ho

yeh baat baat pe kaho jaana


kuch kehtey kehtey ruk jaana

yeh kis uljhan mein rehtey ho....?


kiya baat hai hum se keh daalo

aik baat kahoon agar suntey ho ?


tum mujh ko achey lagtey ho

aagaaz ka wasoq na aanjam pee yaqeen


aisay katy howay hain kisi dastaan say hum

ussey kaho kay buhut na-murad shai hai junoon


ussey kaho kay mujhey hai buhut junoon uss ka

nazar se door hota ja raha hai


k woh majboor hota ja raha hai

ussey hum sey taghafal ka gilla hai


jo khud maghroor hota ja raha hai

azzal sey rouh to apni thii ghayal


badan bhi choor hota ja raha hai

mohabbat jurm banti ja rahi hai


ajab dastoor hota ja raha hai

khuda jaaney teri aankhon mein kya hai


k dil majboor hota ja raha hai

mohabbat ka ahdhoora sa fasaana


buhat mashhoor hota ja raha hai

Potrebbero piacerti anche