Sei sulla pagina 1di 3

mashoor hai k kisi shahaer main aik gharib or kasir ul aal lakarhara rehta tha har roz jungle

jata lakriyan katta or shehar main ja kar farokht karta or bachon ka pait palta tha aik roz lakriyan farokht nahi hui raat ho gayi khayal kiya k khali hath kia ghar jaon bache sab bhook se beqarar honge unki bechini dekh kar or sadma hoga behtar hai k rat ishi jagah basar kr lun subah ko lkariyan baich k ghar jaon is ka bayan hai k main wahin reh gaya nisf (half) shab ko aik sawar moon pe naqab dale kible ki tarf se namodar hua or meri halat daryaft ki or mujh pe shafqat farma kar 5 paise ata kiye or farmaya in paiso ki sheerni kharid kar molaye kainat ka fateha de khudawande karim iski barkat se tera aflas door kar dega lakarhare ne wo paise khush ho kar rakh liye ushi waqt uspe ghunudgi tari hui phir ankh khuli to kia dekha k apne ghar main khara hai or lakriyo ka gatha sehan mn para hai us ne apni zoja kobedar kiya or shab ki tamam kaifiyat bayan ki or kaha k mola mushkilkushah ki fateha dilwane ka intezam karo phir dono mian bivi ne nah dho kar fateha k liye sheerni muhaiya ki or hazrat amirulmomennen ki nazar de kar khud bhi khay or bacho ko bhi khilaya is roz iski lakriyon ka gatha doni keemat per farokht hua dusre roz lakarhara apni adat k mutabik lakriayn katne jungle gaya or aik khushk darakht (tree) dekha bismilah keh k kulhari(axe) ka aik hath mara to wo shikasta ho gaya dusri zarb ya ali keh kar mari to darakht jar samait gir para to us jar mn se aik khazana zahir hua lakarhara usay dekh k bht khush hua or sijda e shukar bja laya phir us me se chand asharfiyan le k bazar gaya or kahane pine ki chezn le k ghar gaya dusre roz ghar walo ko le kr us darkht k pass aya or ushi jungle ko kharid kar wahn aik khubsurat mehal banwayay or ja baja musafir khane or abdar khane tameer karwaye or langar khnae jari kiye or bht se mulazimo ko unki dekh bhal per mukarar kiya aik din us shehar ka hakim bagahrz shikar is jungle ki taraf a nikla piays se beqarar ho kr khidmat garo ko pani pilane ka hukam diay khidmat gar pani ki

talash mn hr taraf phel gaye ittefaq se aik mulazim ka guzar us lakarhare k mehal ki tarf hua hakim k mulazim ne wahan k admiyo se pani talab kia inhone aik surahi or aik piyala isk hawale kia wo le kr hakim k pas aya usne pani piya magar intehai taajub se surahi or piyale ko dekha phir apne mulazim se daryaft kia k is jungler mn yeh nafees surahi or yeh khusgawar pani kahna se dastiyab hua mulazim ne arz ki huzur aik sal ka arsa hua k 1 lakarhare ne is jungle mn shahere basaya apna mehal banwaya or jabaja musafir khane or abdar khane banwadiye hn or musafiro gharibo muhtajo or hajatmando ko malamaaaaaal kr diya hai yeh pani surahi or piyala ushi k yahan se laya hun hakim ko bht hairat hui or kaha k hm ne to is jungle mn kabhi kisi basti ka koi nishan tak na dekha tha is hakim ne hukum diya k lakarhare ko bama ahalo ayal hazir karo isk hamrahiyo ne hakim ko samjhaya k aise naik or sualeh admi ko yun talab karna munasib nahi gharz wo hakim apni dulate sara ko wapis aya or tamam wardat apni begum se bayan ki begum ne bhi lakarhare or usiki zoja se milne ki khuwaish zahir ki hakim ne dono ko talab kia lakrahare ne hakim or uski bgm ko ashrafiyan nazar ki hakm ne in dono ko apne sath rehna ki khawahish ki or wo ushio k pas khush khush rehne lage aik roz bgm ne hamam jate waqt apna 9 lakha har apne galay se utar kr khonti pe latka diay or lakhare ki zoja ko hifazat ki taked ki khuda ki shan . wo khunti har nigal gayi or wo hairt se dekhti rahi hakim ki bgm ne hamam se farigh hokr har ko na paya to us se poocha usne jo dekha tha keh diay hakim ki bgm ko ykin na aya apne shohar se shikayt ki us ne in dono ko qaid kar diya or ishi hal mn dono aik sal tak rahe 1 rt phir wohi sawar khuwab mn aya or pocha k ae lakrhare kai to amerulmaominen hazart ali as ki nazar karta tha . dono ne arz ki nhi sawr ne farmaya yehi sbab hai k tm is bal mn giraftar huay ho ab fateha dila do usne kaha hmare pas apsie nhi hn farmaya tere bistar k niche hn wo khuwab se chonk para or paise utha liye dono k hath or pairon ki zanjerain bhi khuli hui thn suabh hui to dekha k 1 zaefa ja rhi hai in dono ne us se iltaja ki k hmn hazrat ali mushkilkuhsa ki nazar k liye sheerni ladn

usne kah mere bete ki aj shadi hai mn nhi la k de sakti ittefaqn dusri zaefa ka guzar hua jiska farzand mar gay tha wo roti hui ja rhi thee in dono ne us se sherni kharid kr lane ki khuwaish zahir ki usne hazart ali ka nam sunte hi razanmandi ka izhar kia or shirne la kr bazar se de di lakrhare ne hazrat mushkil kusha ki nazar ki khud bhi khay or us barhiya ko bhi khilaya wo zaefa jab apne ghar wapis ayi to apne bete ko zinda paya or wo zaefa jisk bete ki sahdi the jabapne ghar wapis gayi to uska farzand yak bayak margaya tha ye khabr mashur hui to us burhiya ne jiska beta yak bayak margaya tha us burhiya se jiska beta mara hua zinda ho gay tha is se mare hauy bete k zinda hone ka sabab pocha to usne kaha or koi sabab to mmjhe malom nhi al batta mne 1 qaidi ki khuwaish pe mola mushkilkusha ki nazar ka saman bazar se la kr diya tha or jba nazar ka samn majbur qaidi ko dekr wapis ghar ayi to mne apne larke ko zinda paya yeh sun k burhiya apne dil n nadim hui or toba kar k sadq e dil se niyat ki agar mera beta bhi zinda ho ajye ga to mn bhi fateha dilaongi khuda ne apni rehmat se usko zinda kia or udahr us khonti se bhi har ugalna shuru kiya yeh hal dekh kr hakim ki bivi ne apni ankhon se dekha waqia hakim ko sunaya usko bhi yakin na hua or kaha k lakrhara or uski zoja ko mne bekasur qaid kr diya tha lehaza usne forun ushi waqt lakrhare or uski zoja ko rihai ka hukum diya rihai pakar dono hakim k samne hazir huay to unse poocha tm ne aisa kia kam kiya k aisi karamatin zahir hui dono ne arz kia k hm har jumarat ko hazrat ali ki fateha dilaya krte thy ghaflat k sabab se kai jumerat ko nazar na dila sake thay jisk natije mn is bala mn mubtila huay ab jab k is nazar ko kiya hai ishi ki barkat se khudawande kairnm ne ham dono ko qaidse nijat di lihaza jo shaks har jumerat ko nazare mushkilkusha dilata rhe ga wo tamam afat arzi osamvi se mehfoz rhe ga or uski umar or rizq mn izafa hoga us k dushman or bad khuwah hmesha maqhoor rahin ge inshallah tarkibe nazr agay peechay 3 bar droor 7 bar alhamd 7 bar qul patrhe or yeh kaho k in suraton k prahne ka jo swab hasil hua hai mn is sawab ko hazrat ali ibne abi talib as ko hadiya krta hun

Potrebbero piacerti anche