Sei sulla pagina 1di 2

Zahoor Ki Chand Allamaat..

Allamaat e Zahoor:
Yeh sawal k HAZRAT E HUJJAT JJH ka zahoor kb hoga to is ko to khuda he janta hai magar
mojooda zamana k halaat btate hain k wo waqt qareeb hai js k mutaliq seinkron sal phle
peisheen goiyan ho chuki hain. Yeh islam or peighambar e islam ki suchai hai k Rasool o
ahleibait e Rasool ne jo khbrein di hain or akhir zamana ki alamatein bayan frmai hain wo rafta
rafta samne arhe hain. Agarchay Zahoor mubarak k liye in mein se kuch btein htmi hain magar sb
aisi nhe hain, waqiyaat maslihat e ilahi se badal skte hain or badalte rhein ge. Ba-hukm e illahi hr
vhiz bdl skti hai, nizam e alam taabay qaza o qadr hai, khaliq e kainat qadir mutliq hai, mukhtar e
kul hai..
Akhbar ka khulasa yh hai k QAIM E AALE MOHOMMAD A.J.T.F hidayat e aalam k liye jis waqt
zahir hn ge jb dunia mein azeem inqilabat ronuma hn ge. Dunia mein be-deeni pheil jayegi, deen
dunia se beicha jayega. Khuwahish e nafs ki peirwi hogi, namaz ki taraf tawajha na rhe gi. Haj
tijarat or dikhaway k liye hoga, khums o zakat matruk ho jayein ge, masjidon me arish hone lgegi,
un k minaret buland kiye jayeinge. Wahan log saf basta ek dusre se qarib hnge, zahiri ijtima hoga
leikin batini iftiraq rhe ga. Dil bheiryon k jaise hnge, rah e kheir bnd ho jayegi, shar k darwaze khul
jayeinge. Haram halal hone lgega log haq ka rasta bhool jayein ge. Ailaaniya bad kaariyan hn gi.
Ulama o muhadis zaleel smjhe jayeinge. Waizon ka qol o feil yaksan na rhega. Kitab o sunnat
moatil ho jayegi. Qariyan Quran fasiq o fajir hnge. Ehle batil ehle haq pe ghalib aayeinge,
momineen tangi mein fasiqeen aish mein hnge, aulad na-farman or ma baap k marne se khush
hogi, chote baray ka waqar na rhe ga baron ki choto pe mehrbani na rhe gi, parosi se parosi se
aziat hogi, suchay jhootay or jhootay suchay mane jayeinge, amen khain or khain amen smjha
jayega. Waada khilafi or ehd shikni hone lgegi, gheebat aib na rhegi.
Sharab khori or sood khori barh jayegi, sharab khulam khulla farokht hogi, khoon rezi pheile gi,
kisi ko marna mamooli bat hogi. Chorion ki ziadti hogi yahan tk k qabrein khod k murdon k kafan
nikale jayeinge, lehwo lab k jalse hnge, gaane bjane ki mehfilein hn gi, koocha bazaar gali gali
gaana hoga jis ki koi rok tok na hogi. Haram e khuda o Rasool me saaz o tamboor k nasaishta
aamal barmala hnge.
Zina kari ki ziadti hogi. Mard auraton ki kamai khayein ge. Qaramsati ka zor hoga. Biwian
shoharon pe musalat hngi, be hayai ki yh halat hogi k maqaribat parde me na rhe gi, blke dusre
haiwanon ki trhan sarkon pe yh amal hnge. Auraton ka parda uth jaye ga, misl mardon k auraton
k bhe jalse hone lgen ge. Mard apne liye auraton ki surat ikhtiar krein ge or auratein mardon ki
shabeeh hngi. Auratein mardaana libaas pehnein gi, auratein ghoray pr sawar hn gi, mard
mardon pe iktifa krein ge, auratein auraton pe iktifa krein gi. Shoharon k na-jaiz taluqat jin mardon
k hn ge us se saz baaz biwion ka hoga.
Jor o zulm barh jayega, umrah o wuzrah zalim hn gi. Suchi shahadat rad krdi jayegi, riyaya mein
sarkashi hogi, jan o maal ka nuqsaan hoga, hr chiz ki girani hogi, wabai amraz hnge, auraton ki
kasrat hogi, darakht km phoolein phalein ge. Kheitian km barhein gi, mevoon mein barkat na rhe
gi. Halal rozi hasil krne pr mazahimat or haram pr madha hogi, faqeeron ko deina rehm o karam
ki bina pr na hoga blke maskhara pan hoga. Hr sal taza bidat namudar hogi, insanon ki aankhein
khush ho jayein gi, logon k liye zikr e khuda sangeen hoga.
Rukn o muqam k darmian aale mohommad mein se ek jawan nafs e zakiya qatal kiye jayein ge,
sham se sufiyani or yaman se yamaani lashkar kaseer k sath niklein ge. Hazaron admi qatl hn ge
or seinkron auraton ki fazehat hogi. Lashkar-e-sufiani k admi atraf e kufa ko tabah krein ge,
Madinah mein theen shabana roz loot maar hogi. Jab makkah ki taraf chlein ge or arz e beda
mein pohnchein ge aakhir kar hukm e illahi se sb zameen mein dhans jayein ge or sara lashkar
khatm ho jayega. Dajjal niklega jo dar-haqiqat ek bala o fitna hai jese k qom e musa k lye go sala
is he wajha se peighambar e islam he nhe bl k hr peighambar is fitne se makhlooq ko darata rha
hai magar abhe wo peish nhe aaya or khuda wand aalam ne takheer farmai hai, duniya k ibtilao
imtehan k liye sheitan ki tarhan khalaq e alam ne usko bhe dheel di hai. Yeh bhe naql hai k dajjal
ka nam SAED BIN SAID hai, woe k jazeeray mein qaid hai. Yeh bd tareen khalaiq bashar isfihan
moza yahoodia se baramad hoga. Dahini aankh nidar o bayein khooni paarchay ki trhan peishani
or gadhay pr sawar hoga, aagay aagay dhuwein k pahaar piche koh e safad jin ko log qeht k
zamane mein rotion k pahar smjhein ge, jis chashma ya kuwein pe pohnche ga wo khushk ho
jaye ga, khudai ka dawa krta hoga, is k yaar o madadgar wald ul haram hn ge jin k saron pe sabz
topian hn gi. Is k taabay ziada yahoodi or arab ki jngli oratein mard hnge. HAZRAT SAHIB UL

ASAR WAZ ZAMAAN ATJF ya Hazrat Issa a.s k hath se Sham me dar e uqbah pr maara jayega.
Nabuwat ka jhoota dawa krne walay taqreeban 60 aamion ka guzarna, 15 ramzan ko suraj gehn,
damdaar sitara ka mashriq se tulu, masjid e barsa ki bardabi, deewar masjid e kufa ka inhidam
janib e gharb se ek lashkar ka uthna or simt e mashriq se is ka muqabila, mashriq se alam gir
fitna ka bulanad hona jese k kutta peishab krte waqt apni tangein unchi hrta hai, maghrib ki janib
bari aag ka bharakna, khurasan ki taraf se siyah jhandon ka buland hona, ajam ki 2 jamaaton
mein jiddal o qitaal, turkon ka baaz qabilon mein farokush hona, ehle misr ka apne ameer ko qatl
krna, misr mein ek maghribi mard ka zahir hona, or sham k shehron pr uski hukumat. Sham ki
kharabi, iraq mein bad-amani, baghbad mein awal roz siyah aandhian aana or phr zalzalay se bht
si imaraton ka munhadim hona, tidion ka hujoom, khiton ki tabahi. Yeh sb sooratein qurb e
qayamat ki alamaat hain, pus aise khofnak dor mein or aisi gumrahi k zamanay mein us rehnuma
ka zahoor hoga jo saaray alam k liye hidayat o rehmat hai, ta k duniya ko aman o amaan ka
peigham pohnchaye or maada parasti k toofan e azeem mein safeena e aalam kin a-khudai kre.
Safha aalam zulmat o kufr o masiaat se pak ho or hr hr hissa arz noor e imaan se jagmaga uthe.
Yeh qayamat ki ek roshan dallel hai or yehe siraat e mustaqeem hai.

Potrebbero piacerti anche