Sei sulla pagina 1di 5

SMS POETRY

Collection: Maqsood Hasni

1- tari haratoon kay aseer ho ga'ay


hum to bas ghamoon ki tasveer ho ga'ay
kal hum mohabatain banta kartay thay faraz
aaj tairi mohabat kay faqeer ho ga'ay

2- hum apnay moqadar par hiran bohat thay


ossay kho kah hum paraishan bohat thay
kabhi jo ossay talash karnay ko jo niklay hum
os kay qadmoon kay sath aur bhi nishan bohat thay

3- Soch raha hai Pakistan:


na ko dhanda na koe kaam
rishwat aam trafic jam
mohabat kam nafrat aam
ameer karay aaram
ghareeb ka kaam tamam
loot raha hai her namak haram
amrika ka bana ghulam
sari dunya main baad'naam
Soch raha Pakistan
bumb har shehar main aam
her cheez kay hain baray daam
36 hazar sona 10 gram
na Dein na Islam
ho ga maira kya anjam
soch raha hai pakistan
soch raha hai pakistan

4- ay chand yahaan na nikla kar


bai'naam say sapnay dikhla kar
yahaan olti ganga behti hai
es dais main andhay hakim hain
na dartay hain na martay hain
na logoon kay woh khadim hain
hai yahaan par karobar bohat
is dais main gurday biktay hain
aur ghareeb sisak kar martay hain
kuch log hain Aali'shan bohat
aur kuch ka maqsad roti hai
woh kehtay hain sab acha hai
maghrab ka raaj hi sacha hai
yah dais hai andhay logoon ka
ay chand yahaan na nikla kar

5- kaam kaj aur mazaj kaisa hai?


kal to kal tha batao aaj kaisa hai?
hamaray shahar main hain mohabat kay dushman saray
batao tumharay shehar main ravaj kaisa hai
os ki aawaz son loon to milta hai sakoon-e-qalab
mairay gham ka daikho elaaj kaisa hai
os ki mithi batoon bhool sakta nahai kabhi
dil tairi awaz ka mahtaj kaisa hai

6- kis liay itni saza daitay ho


kabhi kartay ho yaad to kabhi bhola daitay ho
ajeeb tairi dosti ka silsala daikha
kabhi khushi to kabhi dil jala daitay ho

7- Allah bacha'ay paghal bivi say aur poranay tv say


dubai kay sheikh say aur nae kay shave say
ourat ki baiwafae say aur porani mathae say
haram ki kamae say aur apki jodae say.

8- bohat samjhata hoon dil ko


shaboon ko jaag kar aksar
array nadan,
mohabat kis ko hoti hai?
mohabat koon karta hai?
mohabat kis ko hoti hai?
sabhi apni zarorat ko
mohabat ka naam daitay hain

9- woh shakas mairi jan bana rehta hai


os ka piyar mairi pehchan bana rehta hai
koe montazar hai os ka kitni shidat say
woh janta hai magar anjan bana rehta hai

10- mein ghomta raha tairay shehar main wassi


kisi nay cha'ay pochi na lassi
ja oay wassi
tu vi khassi taira shehar vi khassi

11- dolat hai mujh ko jan say piyari


dolat pay kar doon qurban mein yari
dolat kay liay toor doon mein reshtay saray
ab dost tum say kiya chupana tum hi to ho dolat hamari

12- os ko Rab say itni baar manga hai faraz


ab to hum hath othatay hain dua fareshtay kartay hain

13- shaeri choor kar pakoray bach raha hoon wassi


kalaija monh ko aata hai anjam-e-faraz daikh kar

14- tum jab bhi milo to nazrain otha kar mila karo
mujhy pasnd hai tumhari aankhoon main apna aks daikhna

15- Kayoon rakhoon mein apnay qalam main siyahi


jab koe arman dil main machalta hi nahain
na'janay sab kayoon shak kartay hain mujh par
jab koe sukha gulab mairi kitaboon main milta hi nahein
khaesh to bohat thi mairi piyaar main
magar kiya karoon koe pathar dil pighalta hi nahein
agar Khuda milay to os say apna piyaar mangoon
par sona hai woh marnay say pehlay kisi say milta hi nahein

16- kadi mehak naein mok di pholaan vichoon


phul suk day sok day sok janday
dil tut day tut janday
koe mol naein jag tay reshtiaan da
ay chutday chutday chut janday
kadi piyaar naein mok da dilaan vichoon
saan mook day mokday mok janday

17- kash mein taira di hota


tairi yadoon tairi sochoon pay mushtamil hota
tairay sath mein lumha lumha dharkata rehta
Khud say mujh ko juda na tu kar pata
tairi zindagi ka daro madar mein hota
mairay bagher taira jina bohat mushkil hota
kash mein taira dil hota
mein agar kush hota to hasata tujh ko
jo kabhi rota to sath rolata tujh ko
tairay sang jita tairay sang hi marta
tairi tamam chahtoon ka mehwar hota
kash mein taira dil hota
kash mein taira dil hotas

18- os ko yah baat koon samjha'ay;


log sab to wafa nahein kartay
yaad karna tujhy ebadat hai
soo hum essay qaza nahein kartay

19- qissa abhi hijaab say aagay nahain barha


mein aap woh janab say aagay nahain barha
modat hoe kitab-e-mohabat shuru kiay
likin mein pehlay baab say aagay nahain barha
lambi mosaftain hain es sawar ka
paoon rakab say aagay nahain barha
tool-e-qalam kay liay mein nay kya sawal
woh mokhtasar jawab say aagay nahain barha
rukhsar ka to pata nahain aankhain to khoob hain
didar abhi niqaab say aagay nahain barha
woh lazat-e-gonah say mehroom raha
jo khaesh-e-sawab say aagay nahain barha

20- aankhoon main nami thi


aur vitamins ki kami thi
jis say raat bhar baat hoe faraz
woh girl'friend ki ammi thi

21- woh kya ajeeb shaks tha kah jis ki zaat par
jab itbar barh gya to ekhtayar na raha

22- mairi aankhoon main otar aao inhai somondar kar doo
kuch dair sahi, mohabat ki ek nazr kar doo
toot kar yoon milo aaran na reh ja'ay koe
yoon mohabat kah her lamhay ko amar kar doo
tum pay aa'ay na waqt kabhi qiyamat jaisa
bari mushkal hai jodae issay mukhtasar kar doo
jin kay noor say mil ja'ay binae mujh ko
apnay khaboon ko mairi aankhoon ki nazar kar doo
dunya ki talb nahain yahhi hai hasrat mairi
apni bahoon main lo aur dunya say bai'khabar kar doo
23- shehar main aisi bhi qiyamat na hoe thi
tanha thay magar khud say wehshat na thi
yah din hain kah yaroon ka bhi bharosa nahain
wo din thay kah dushmun say bhi nafrat na thi
ujray howay es dil kay her zakhm say pocho
es shehar main kis ki kis say mohabat na thi
ab saans ka ehsas bhi ek bar-e-giraan hai
khud apnay khalf aisi baghawat na hoe thi
khaboon ki hawa jab tak raas thi mujhay
yoon jagtay rehna mairi adat na hoe thi

24- hum neind kay shoqein to nahain hain faraz


tairay khab na daikhain to gozara nahain hota

25- os kay pas 10 marlay kay 2 palat hain faraz


phir bhi kehti hai, zara si dil main day jaga tu bhi

26- yaad aa'ay to bas itni si anaet karna


apnay badlay howay lehjay ki wazahat karna
tum to chahat ka shakar howa kartay thay
kis say sikhi hai ulfat main milawat karna
hum sazaoon kay haq'dar banay hain kab say
tum hi keh doo kah jurm hai kiya mohabat karna
tairi furqat main yah aankhain abhi tak num hai faraz
kabhi aana, mairi aankhoon ki zirarat karna

27- kayoon jagay ho,


kya sochtay ho
kuch hum say kaho
tunha na raho
ab raat ki palkain bheeg chalein
aur chand bhi hai chup janay ko
kuch dair main shabnum aa'ay gi
pholoon ki piyas bhojanay ko
taroon kay safar pay kho jao
ab soo jao
ab soo jao
good night

28- raat chup hai magar khamosh nahain


kaisay kahoon kah aaj hosh nahain
aisay doba ho tairi yadoon ki gehrae main
ankhoon main neand hai magar sonay ki hosh nahain

29- os say kaho mairay vajood main wafa ki roshni otaar day
phir itna piyaar day kay mujhy chahtoon main maar day
bohat odass tha so oth kay tairay pas aa giya
kuch aisi baat kar jo dil ko qaraar day
sona hai tairi ek nazr sonwarti hai zindagi
jo ho sakay to aaj mairi zindgi sanwaar day

30-New song
ik khuda ko daikha to aisa laga jaisay:
khana kharab
total azaabadha faqeer
murda zameer
nasoor ho koe sarta howa
ho o o o
ik khuda ko daikha to aisa laga jaisay:
bijli ki taar
khanjar ki dhaar
dozakh ka azab
khanzeer ka pishab
zarila naag
moflis ka bhaag
Aguest ki dhoop
shatan ka roop
bai'ghairat ho koe hasta howa
ho o o o
this song is brought to you by ghreeb awaam

31- tairi yari da mol asein taar naein sakday


toun mangain jan tay asein kar inkar naein sakday
munyaan zindagi laindi imtihan baray
par toun hovain nal tay asein haar nahein sakday

32- Woh mujh say pochta hai kis kis kay khaab daikhtay ho
bai'kabr janta nahain kay yadain oski sonay kahan daiti hain

33- kaam kaj aur mazaj kaisa hai?


kal to kal tha batao aaj kaisa hai?
hamaray seh'har main hain mohabat kay dushman saray
batao tumharay seh'har main ravaj kaisa hai
os ki aawaz son loon to milta hai sakoon-e-qalab
mairay gham ka daikho elaaj kaisa hai
os ki mithi batoon bhool sakta nahai kabhi
dil tairi awaz ka mahtaj kaisa hai

34- kis liay itni saza daitay ho


kabhi kartay ho yaad to kabhi bhola daitay ho
ajeeb tairi dosti ka silsala daikha
kabhi khushi to kabhi dil jala daitay ho

35- ay chand tu oon ko humara paighaam daina


khushi ka din hansi ki shaam daina
jab woh daikhay tujhy bahir aa kar
to oon ko jhuk kar humara salam daina
have a peaceful sleep

Potrebbero piacerti anche