Sei sulla pagina 1di 1

Koi kaise samajh paayega rutba sabz gumbad ka..

Ke Kutba pad raha hai khud hi kaaba sabz gumbad ka..


Jo poocha maine jannat se teri bhi koi jannat hai
to jannat ne diya mujhko hawala sabz gumbad ka
Hare patton ko aksar dekhkey ye mehsoos hota hai
Darakhton ne sajaa rakhaa hai thogra sabz gumbad ka
Badi hasrat se takti hai nigaahein aasmaan isko
Zami nein jab se baandha hai amama sabz gumbad ka
Raza ke chahney waalon ne ek soorat nikali hai
Ke bareli se vo kehtey hai nazara sabz gumbad ka.
Chale aaye yahaan khich khich ke aashiq sabz gumbad ke
Asad ne jis gadi cheda tarana sabz gumbad ka
Koi kaise samajh paayega rutba sabz gumbad ka..
Ke Kutba pad raha hai khud hi kaaba sabz gumbad ka..

Potrebbero piacerti anche