Sei sulla pagina 1di 2

mai ain se hussain ka aashiq bhi ishq bhi be se hu buturab ki mai hasrate bhi zahir alif se hai abu

talib ki aa gahi aur seen se hasan ki samaj bujh sath bhi abbas dekhne mei faqad mera naam hai darasl yeh hussain ke lashkar ka naam hai abbas naam hai mera3 maanga hai rab se maalike qaunain ne mujhe beta kaha hai maadare hasnain ne mujhe asmaae panjetan ka asaasa hai alfaz hai tawaaf me kaaba hai israr aur ramuz ki duniya hai khud mustafa ki beti hai mera bejaan nahi hai harf koi mere seemti hui hai naade ali mere mera mera mera naam naam naam naam naam naam me me

tauheed ko hai naaz khudae wafa hu mai mushkil kusha ka laal hu mushkil kusha hu mai barso jabeen shere khuda me raha hu mai dohraya jab ali ko khuda ne bana hu mai khilqat mei meri dakhl nahi maao teen ko tohfa hu mai batul ka ummul banin ko kehre khuda ki bolti tasweer meri teg rooho pe maut karti hai tehreer meri teg tegho me misle ayate tatheer meri teg toofaane nuh khwaab hai taabeer meri teg ismat ki pehredaar hai tatheer ki qasam yeh choti zulfiqar hai shabbir ki qasam talwar meri jaaegi ran me jidhar jidhar baarish waha pe hogi saro ki sarar sarar ashal k paav peesege tumko qarar qarar dekhegi maut khud yeh nazaare tukar tukar san san ki saut aisi samaat me chaegi dhad dhad girege sar na sada tumko aaegi mai chahta hu quwato baazu se jang ho dekhu to tumko kitney bahadur ho shamiyo manzur yeh nahi toh khud faisla karo dikhlau maujizat mai apney jo tum kaho darya pe haath dhoge abhi tum hayaat se apney saro ko kaatogey khud apney haath se aisey karunga waar sambhal ne na dunga mai pehlu bhi tumko aaj badalne na dunga mai talwaar kya zabaan bhi chalne na dungaa mai nazro ke daaere se nikalne na dunga mai meri hai qaaenaat kaha bachke jaaogey sunlo jaha chipogey waha mujhko paaogey tumko ghamand fauj pe qasrat pe hai gurur in baazuo ke zor ka tumko nahi shauur pal me nikaal dungaa mai zehno ka har futoor dozakh ka naam aaj se hoga yazidpur hum kehke yaa ali jo abhi teg uthaege

murde tumhaare zere kafan thar tharaaege mashur hai yeh baat khuda ki khudaai me maahir hai meri teg safo ki safaai me tum kya mai do jahaan dubo du taraai me daste khuda ka zor hai meri kalaai me chahu toh baithe baithe mai ashal ki zeen par lehra ke aasmaan mai ulat du zameen par aalam tha tera saal me aisa jalaal ka siffin me badal diya naksha jidaal ka ab toh shabaab aaya hai mere kamaal ka abbas aaj ho gaya battees saal kaa sun lo qaza ke ghaat utaaruga mai tumhe ghera hai tumne gher ke maarungaa mai tumhe dunya na samjhi mir takallum yeh falsafa parcham hai surkh gumbade ibne batul ka yaani ruki nahi hai abhi jange karbala aur aa rahi hai rozae abbas se sada rokega mujhko tab na nawaasa rasul ka mehdi ke saath loonga mai badlaa batool ka

Potrebbero piacerti anche